Page 3 of 3 FirstFirst 123
Results 25 to 26 of 26

Thread: jhoota maseeha! maseeh al-Dajjal!

  1. #25
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Lightbulb

    Quote Arabian.Paki said: View Post
    Samjhany ki Baat Hai K America Nay khud ko Magrib Main nahi khelwaya balkay Jab Ye Daryaaft Hua to logoo nay is Ko Magrib main hona Hee tasawur kiya.Aur ab tak yehi hai.

    Time Zone koi aik din main Ijaad nahi hua Tha ,Jaisa K Musooof nay Tasur denay ki Koshish ki hai K America nay Khud ko Chupanay k liye Time zone aisa banaya ,Yahaan Say He in Ki Tehqeeq ka Pool khul jata hai.
    Time zone Aik English Geographist nay Samandri safer Main asaani k liye Ijaaad kiya tha,Laikin inhoon nay Pata Nahi is ko kiya say kiya bana diya.

    In ko to Her cheez main America ki Sazish Nazer ati hai.
    Al'Salaam alekum!

    aap ne farmaaya ke America ne khud ko maghrib maen hona nahin kehlwaya, balke amreeka ko daryaft karne waalon ne usse maghrib maen hona tassawur kiya , lehaza meri tehqeeq ke jhoota hone ka pool khul jaata hae.

    Zara ye to bataaiye ke amreeka ko kis ne daryaft kiya tha, aap ne? maen ne? jee nahin Britishers(colombus) ne aur aaj bhi Britian ke National Museum maen duniya ka puraana naqsha aur wo naqsha jo colombus ne chhora daryaft ke baad, uss maen USA maghrib maen nahin balke mashriq maen hae! mujhe umeed hae ke ab aap ye na keh den ge ke colombus aur aaj ke british museum maen wo naqsha e duniya aawezaan karne waale bhi mere jhoot ke palande ka hissa haen. maen ne iss tehqeeq maen sirf net nahin ghooma balke iss jism ke saath duniya ghoom kar inn do aankhon se tehqeeq ki hae aur uss waqt net bhi nahin ejad huwa tha, yani early 90's. aise kissi ko jhoota keh dena achi baat nahin. haan kissi ki baat ko bila tehqeeq maan jaan bhi theek nahin, maen aap ki iss tawaju ka ehsaan mand hun! Aur agar ho sake to kisi jaan pehchaan waale se jo UK maen rehta ho, uss se kahiye ke wo Museum jaa kar apni ankhon se aap ko wahan chispan Duniya ka naqsha dekh kar bata de ke Amreeka ko daryaft karne walon ne Amreeka ko mashriq maen paaya ya maghrib mae. baat aur bhi seedhi hae ke agar amreeka maghrib maen hota to waha red INdian ki bajaye red european hone chaahiye the na? Magar Europe se to zameeni safar mumkin na tha, lehaza Indians hi zameeni safar se Amreeka maen daakhil huwe aur wo bhi mashriq ki taraf zameeni safar karte huwe na ke maghrib ki taraf!!!


    aur mera yahan mozu time zone ke hawale se nahin blake mashriq aur maghrib ke hawale se hae, aik ghair Muslim ne sirf time zone hi nahin mukhtas ki apne aaraam ke liye balke unhon ne Allah ke liye beta bhi mukhtas kiya hae (muaz Allah min zalik), itna barra jhoot bolne waalon ki taraf dari maen aap aik Muslim ko jhoota keh den, Allah aap ko muaaf kare! Maen ne bhi muaf kiya.

    Maen waqayi aap ki post karne ka shukriya adaa karta hun, ke mujhe bayaan ka moqa mil jaata hae.

    wa Salaam alekum!

  2. #26
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default Sura kahaf maen maazi ka mustaqbil se jaa milne ka waaqia!

    Quote Arabian.Paki said: View Post
    Ye Her Cheez ko ko kheench khaaanch ker aik hi tarafa lay ataay hain ye Ye Aisi baatain jin ko Koi moo sir nahi in main koi haqeeqat nahi.
    Ye Jo ayat main say aik lafaz naikaal k apna ulu sidha kiya jaa raha hai kiya ye Mazaak hai.Quraan k sath.Ye Gumrahi nahi to aur kiya ,K QUran kisi aur cheez ki bat ker raha hai aur ap is ko Kiya banaa rahay hain.

    Her cheez ki aik limit hoti hai.Dollar main aik Daira bana hua hai to us ko Dijjal ki Ankh bana diya hai.Kabi maerica Mashriq main hai.Kabhi kiya kabhi kiya .Kiya hai ye.

    Oh Bahi ye Kagaz aik medium of exchange hai.Kyun tum ko her baat main Sazish nazer ati hai.Sona ko Currency say is liye hathaya gaya hai k Aik to ye Precious metal hai aur dosri Kam Dastiyaab ap ko kis nay khe diya k Sona her jaga milta hai.


    Porana door aur tha.Aj k door main Economy itni Grow ker chuki hai jis ki Waja say Majboran Paper currency layi gayi kyun k is ka Hold kerna asaan hai.
    Aur ap kis zamany main ho Ab to credit Money bhi aa gayi hai.Islaam ye nahi kheta k koi nayi cheez na ijaad karo Balkay purani hi kertaty raho.Ye ISlam Nay kab kaha hai K Paper currency nahi Use kerni baqool ap k ap to khud khe rahay ho k k Ashab-e- kehaf khud Warqa Use kertay rahay hain.Is Ayaat main To Allah nay Kahain nahi kaha K warqa Use kerna maan hai. Balkay yahaan to ap ko samjhna chahiye k Allah Khud ap ko Bata raha hai k Werqa Use kernay main koi Burayi nahi wo to Ashaab-e-Kahaf bhi use kertay rahay hain.

    al Salaam alekum!


    al-Quran

    9:34 O ye who believe! there are indeed many among the priests and anchorites, who in Falsehood devour the substance of men and hinder (them) from the way of Allah. And there are those who bury GOLD and silver and spend it not in the way of Allah. announce unto them a most grievous penalty-

    9:35 (Asad) on the Day when that [hoarded wealth] shall be heated in the fire of hell and their foreheads and their sides and their backs branded therewith [52] , [those sinners shall be told:] "These are the treasures which you have laid up for yourselves! Taste, then, [the evil of] your hoarded treasures!"


    SAHIH BUKHARI KI HADITH HAE KE

    006.060.183 - Prophetic Commentary on the Qur'an (Tafseer of the Prophet (pbuh)) - - - -

    Narrated Zaid bin Wahb

    I passed by (visited ) Abu Dhar at Ar-Rabadha and said to him, "What has brought you to this land?" He said, "We were at Sham and I recitedthe Verse: "They who hoard up gold and silver and spend them not in the way of Allah; announce to them a painful torment, " (9.34) where upon Muawiya said, 'This Verse is not for us, but for the people of the Scripture.' Then I said, 'But it is both for us (Muslim) and for them.' "



    Allah ke Rasool ne jis cheez ko exchange ka medium banaya , istimaal kiya aur hamare liye chhorr gaye mujhe to wohi theek lagta hae, aur unhon ne to iss precious metal ko hataane ki bajaye iss ko jama karne waalon per laanat bheji, Sunnat se hat jaana agar aap ki nazar maen koi buri baat nahin, to aap ko Allah hidayat den. Aameen!

    Ashabe kahaf ne apne zamaane ke logon se alehida ho kar ghaaron maen panaah iss liye li thi ke wo uss nizam ke khilaaf the jo uss waqt ke batil ne raaij kiya huwa that, aur jo koi uss nizam ko challenge karta tha uss ko wo iss had tak majboor kar deta tha ke wo uss nizam ke aage be bus the. Ashaabe kahaf ke neend se jaagna aur paper currency de kar saathi ko bhejne ka zikr ye bata raha hae ke jab wo currency le kar bazaar gaye to wo currency hi unn ko pehchaan jaane ki waja bani, kyun aur kese? aise ke jab wo 300 kuch saalon kebaad uthe to wo baatil currency ka nizam khatam ho chuka tha aur uss purani currency se khaana khareedne ki koshish maen wo pakre gaye!

    aaj hum bhi jab koi cheez khareedne jaate haen to issi Quran ki ayat ki pakar sirf aik Lafz 'wariqa' se hamen sochne per majboor karti hae ke aik to hamari currency per jaandaaron ki taswaweer jo na sirf haraam haen chhappi hui haen, balke ye currency to Ashabe Kahaf ke daur ki currency se milti hae!

    Jab Allah ne saaf saaf sona jama karna haraam qaaar diya aur ye jaante huwe ke hamesha se sona hi currency ke taur per aur reserves ke taur per istimaal kiya gya, aur yehi Sunnat aakhri nabbi ki hae to phit ye ilzaam taraashiyan aap ki mujh per nahin aap ke apne emaan per haen!

    insha Allah ye batil nizam anqareeb khatam ho jaye ga, aur iss ki guarantee Quran ki Sura Kahaf hi hae! Aap ko shayad maaloom nahin ke maen ne Sura kahaf ke jis lafz ki taraf tawaju dilaaye hae, wohi lafz Quran maen 3 aur jaghon per bhi istimaal huwa hae magar currency ke taur per nahin, lehaza chunke Quran na aap ne likhe na maen ne aur na hi kisi aur makhulq ne, balke wahid KHaliq Allah ka kalaam hae, lehaza iss maen agar koi baat apni jaga se hat kar pesh ki gayi hae to wo iss liye nahin ke usse ignore kiya jaye, balke uss per ghaur karna hi uss ka assal maqsad hae! aur aik lafz bhi hamaari taqdeer badal sakta hae, ke ye lafz Allah ka lafz hae, mera ya aap ka nahin, aur iss ko iss tareekqe se bayan bhi ussi ne kiya ke hum bhi to apne jaib dekhen ke hamara zamaana konsa hae.

    Aur wo bhi ye jaante huwe ke Sura Kahaf ki shuru ki ayaat maen Hadith ki roshini maen Dajjal ke fitne ke khilaaf hujjat ka hona, aur phir aik aise lafz ka istimaal currency ke liye jo ya Ashabe Kahaf ke zamaane maen thi ya ab, to gumrah kon hae? jo Quran ki HUjjat ko mazaq bana ke ura de ya wo jo uss per ghaur o fikar kare ke Allah ne akhir dirham, dinar, sona aur chandi se hat kar aik aisa lafz kyun istimaal kiya jo 1940 se pehle koi bhi Muslim smajhne se qasir tha jab ke kaghaz ka ejad hona bhi Islam aane ke kayi so saal baad huwa aur bataur currency to aur bhi kafi der baad. to aap aur maen jin ki jaibon maen sona chandi ke sikkon ki jaga phir se 'wariqa' aa gya hae, kya yehi kafi nahin ke Allah ne Hamen yaad dehani ke liye Sura Kahaf maen zikr kar diya uss ka, aur Rasool Allah ne bhi hamen Dajjal ke fitnon se bachne ka elaaj sura kahaf hi maen bataya?


    baat boht simple hae agar dil maen ikhlaas ho smajhne ke liye!

    Aaj agar aap ke reserves aur currency wapis sona ho jaye insha Allah, to kya jurrat hae aik ankh waale Dajjal/dollar/jhoote ki ke wo aap per sanctions laga sake aur aap ko duniya ki koi bhi mandi kuch bechne se inkaar kar sake. wo sanctions iss liye laga sakta hae ke jiss currency ko aap ne reserve banaaya huwa hae wo ussi ki malkiyat hae aur wo hi uss ko chhaap sakta hae, jab ke sona koi nahin chhaap sakta ke wo Allah ki mohar hae!



    mat bhooliye ke Ashaabe kahaf ka dobara manzar e aam per aana bhi Dajjal ke daur maen riwaayaat maen milta hae. aap ankhen band kar len ya khol kar doosri taraf dekhen, haq aur baatil aapas maen kabhi mix nahin ho sakte, aur jab jab Quran o Sunnat ke noor se duniya ko kissi bhi daur maen parkha jaye ga to haq aur batil waziah nazar aa jayen ge!

    magar aap se shikayat ye nahin ye aap ko meri tehqeeq per aetraz hae, heraangi iss baat ki hae ke aap ko Allah aur Rasool ke sood ko haraam qaraar dene ke bawajud aik aise nizam aur currency maen reserves rakhne per zara bhi aetraz nahin jo Sood ber mabni hae aur saath saath sona aur chaandi ke zakheera andozi ka sabab bhi.

    aap ne kaha ke economy itni barh gayi hae ke sona rakhna mushkil hae aur kaghaz rakhna aasaan, bhala ye to bataiye ke aaj aik lakh rupee ke kaghaz zayada jaga len ge aap ki jaib maen ya 2 se 4 sone ke sikke? kuch din aur aap bethe rahe to sirf digital currency hi reh jaye gi aur phir jo ghulaami ka daur shuru ho ga, Allah uss se bachaye, aameen!

    mat bhooliye ke Sona aur Chandi ka muashre maen as currency mojud rehna iss liye zaroori hae ke sood khoron ko zakheera andozi se roka jaa sake, aur mat bhooliye ke ESA ibne Maryam A.S ko dee gayi kitaab maen bhi Dajjal ke zahoor ki aik nishaani duniya ki currency se sona ke ghaib hone ki nishaan dahi ki gayi hae. Sona ghayab hone ki waja chunke yahud ki nayi currency dollar bani, aur na sirf Quran lafz wariqa balke bible bhi $$$ ki nishani ke saath
    dollar hi ki taraf ishara kar rahe haen jab ke Aakhri Nabbi ki aik aankh ki nishaani ko bhi issi soodi yahud ki soodi mohar dollar per dekha jaa sakta hae, lehaza jo hae wo hae aur aap ka inkar uss ko badal nahin sakta!

    samajh na aayi ho to aise smajh leejiye, aap ka 1 kilo sona duniya maen kahin bhi aik kilo hi rahe ga, magar aap ka 100 rupiya ki roz ba roz qeemat kam hi hoti jaa rahi hae, kyun? jee janab issi ko sood kehte haen!

    Quran hamre liye wo roshan kitab hae jo aane waale har har shitaani fitne ko bayaan kar chuki hae, aur ye keh dena ke Mujasima e Azaadi aur uss ki kitaab ko maen shak ki nazar se na dekhun aur phir bhi musalmaani ka daawa karun, boht hi ajeeb baat ho gi!

    Sood se bachna hamari awaleen tarjeeh honi chaahiye thi, magar aaj baat kuch aur hae, aaj sood ko chhorna hamare liye mushkil hae, soodi karobar karne waalon ko Quran Allah aur Rasool se jang ka ultimatum de raha hae! baat itni ghambeer to na thi jitni aap ne bana dee, agar ye mere andaaz e bayaan ki kamzori ki waja se huwa to maen aik kamzor aam Muslim hun jo koshish hi kar sakta hae, kamyaami to Allah ke haath hi maen hae!

    wa Salaam alekum wa Rahmat Allahi wa Barakaatuhu, yahdi Allahu lana wa lakum, wa yaghfir Allahu lana wa lakum!

Page 3 of 3 FirstFirst 123

Similar Threads

  1. Replies: 308
    Last Post: 16th February 2021, 07:02 PM
  2. Replies: 192
    Last Post: 28th January 2016, 10:44 AM
  3. Replies: 593
    Last Post: 20th November 2015, 05:06 PM
  4. Replies: 139
    Last Post: 6th September 2011, 11:57 PM
  5. Replies: 82
    Last Post: 9th December 2010, 02:58 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •