As Salam O Alaekum
Dosto Mujhe yeh maloom karna hai ke yeh .psd files kia hoti hai
aur yeh kis software per run hoti hai

mainnai websites se kuch .psd logos download kiye hai yeh acdsee per to nazar aarahey hai leqin in logo mai text yeh likha howa hai ( Your Company Name) leqin ab is text ko same ussi fonts mai kaise change karoo
adobe mai open karta ho to change to ho raha hai text leqin simple font style ho jaata hai fancy wala nahi ho raha jo pehley logo mai hai
please aap log meri help karein

yeh logo ke sample hai mainnai yeh logo aik forum se download kiye they us mai is ko use karne ka koi tareqa nahi likha tha rapidshare per hi upload they waha se download kiyeh they
ab mai aap ko 2 logo zip kar ke rapidshare.com per upload kar ke link de raha hoo
aap is ko download kar ke mujhe bataye ke is ko kaise use karoo mai same text font style use karna chahta hoo
http://rapidshare.com/files/17853096/logo.zip.html

aur haan aik baat aur mai kuch website templates bhi download kiyeh hai leqin aik problem hai us mai kuch templates .psd and .php ke hai
ab aap yeh bhi bataye ke .psd ko html mai kaise convert karo aur .php ko kaise open karoo and .html mai kaise convert karoo
mujhe aap ke jawaab ka intezaar rahe ga
Thanx in Advance