Yahan sab se alag sab se juda hona tha mujh ko
Magar kiya ho gaya hoon aur kiya hona tha mujh ko

Abhi ik lehr thi jiss ko guzarna tha saron se
Abhi ik lafz tha main aur adaa hona tha mujh ko

Phir is ko dhoondnay mein umer sari beet jati
Koi apni hi ghum-gushta sada hona tha mujh ko

Pasand aaya kissi ko mera aandhi ban k uthna
Kissi ki raaye meinbaad-e-sabahona tha mujh ko

Wahan se ab guzar aaya hoon khamoshi se ab k
Jahan ik shor ki surat bapaa hona tha mujh ko

Dar-O-Deewaar se itni muhabbat kiss liye thi
Agar is qaid khanay se riha hona tha mujh ko

Main apni raakh se bay shak dobara sar uthata
Magar ik baar tau jal kar fana hona tha mujh ko

Main andar se kahin tabdeel hona chahata tha
Purani kainchli mein hi naya hona tha mujh ko

ZAFAR, main ho gaya kuch aur,warna asal mein tau
Bura hona tha mujh ko,ya bhala hona tha mujh ko………!!!