Results 1 to 5 of 5

Thread: languges{hakhan}

  1. #1
    hakhan is offline Senior Member+
    Last Online
    5th December 2017 @ 04:30 PM
    Join Date
    10 Apr 2009
    Age
    36
    Posts
    478
    Threads
    108
    Credits
    986
    Thanked
    5

    Default languges{hakhan}

    assalm o allekum muhtarm expert bhaio umeed ha app sub khariyat sa hongy

    jee to ma appny boht he muazzez expert bhaio sa janna chata hu k ye languages kiya hote ha ?? aor kiya mjy seekny chaheye ? jub k ma na C langug ko tora boht seeka b ha .aor mjy ITD k forum pa avalible kon c langusge pehly seekne chaheye????????? plz bhaio rep me
    allah hum sub ko emaan e kamoll ata farmaey AMEEN

  2. #2
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    Waleukum Slam, Plz ALLAH capital words main likha karain,

    This is a good question aur main is ko detail main batana chahun ga so that jo meray bahi new hain computer world main wo jan sakain ke yeh Languages kiya hotein hain..???????? Yeh humein kiyu seekhni chahiye???? Aur kaun si sab se pehlay seekhni chahiye????

    Sab se pehlay "Computer Languages"... Hum apas main bat krtay hain humein ksi Language ksi ki zarurat hoti hai isi tarhan computer main bohat sari languages hotein hain. Windows operating systems, Softwares, drivers, in sab main instructions hotein hain jo computer ko batatein hain ke kab kiya karna hai.. INSTRUCTIONS. Agr ap Windows ka calculator open krain aur us main 1+1 ka function perform karain to 2 answer kesay aa geya???? kiyu ke is windows ke calculator ke program main INSTRUCTIONS hain jo batatein hain ke add, subtract, multiply kesay karna hai.

    Yeh instructions ap ksi na ksi Languages main Likhni hotein hain...... Main chahta hun ke main software banaon jo computer per chalay, I need to write instructions in any language. Simply computer 1 + 1 bhi nahe kr sakta agr us ke pass instructions na hon.

    Ab aa gatein hain Computer Language ki types.... mostly jo introduction denay ke leye bataein gataein hain wo is tarhan batae gatein hain

    ...High Level Language
    ...Low Level Language (Generations)

    Is detail main janay se pehlay main ap ko batana chahun ke "Computer Hardware" ki apni bhi aik language hoti hai jis ko understand krna bohat mushkil hota hai...

    Is language ko boltay hain "Machine Level Language" yeh Low level language ke 1st generation aati hai... Machine ki apni language yani ke humein instructions jo type karni ho gein wo machine ki apni language main type krni ho gein jis main mukhtalif Symbols,binary digts wagera a gatay hain...

    Machine language ko kabhi kabhi SYMBOLIC language bhi kaha gata hai...

    8B542408 83FA0077 06B80000 0000C383
    FA027706 B8010000 00C353BB 01000000
    B9010000 008D0419 83FA0376 078BD98B
    C84AEBF1 5BC3


    Yeh aik example instruction hai 1st Generation low level language ki.. ap dekh saktay ho ke kitna difficult hai is ko understand krna

    Us ke baad advancement hui aur Low Level language ki aik aur generation saamne aae jis main kuch symbols bhi use huay jo pehlay hotay thea aur alphabets bhi use honey lagay.. takay is language ko yaad karnay main kuch aasani ho.. example "Assembly Language".. Assembly language main ap ke Hexa Decimal codes bhi use hotay hain aur English ke kuch words bhi, yeh bohat powerful language hai aur agr ksi banday ko yeh aati ho then he is very very dangerous.... Aik example code main yahan batata hun assembly ka


    TITLE KHAN
    .MODEL SMALL

    .DATA
    MSG1 DB "IT DUNYA$"

    .CODE

    MAIN PROC
    MOV AX,@DATA
    MOV DS,AX

    MOV DX,OFFSET MSG1
    MOV AH,09H
    INT 21H

    MOV AH,04CH
    INT 21H

    MAIN ENDP

    .STACK 100H

    END MAIN



    Yeh Assembly language ka aik Code hai jo ke simple print krwae ga "IT DUNYA" .. dekhain ap, aik line print krnay ke leye kitna bara code.

    yeh wali language ko yad krna thora aasan hai kiyu ke is main kuch ALPHABETS wagra use ho rahay hain.. yeh hai Low level language ki 2nd Generation jo ke Pure machine language to nahe bus thora bohat us ke kareeb hai.


    Ab us ke baad High Level languages aani shoro ho gein jis main ap instructions aesay syntax main likhtay thea jo ke easily yaad ho sakay us main C/C++ wagera aa gati hain..

    ab dekhain "C" Language main ap ne kuch print karwana ho to simple ap likhtay hain printf("IT DUNYA");

    printf dekhain easily yad ho gata hai... to high level languages wo hotein hain jo ke human easily understand kr lain.

    Ab aik important bat yeh High Level languages bhi Machine language main convert hotein hain, yeh kam Compiler krta hai..

    .. ab dekhain aahista aahista cheezain clear ho rahain hain..

    ------------------------

    AB ap ka 2nd Question,

    Har Computer language Programming language nahe hoti... abi ap ko simple samjanay ke leye main kehta hun ke softwares ya programs bannay ke leye Programming karni parti hai jo ke programming langauges main ki gati hai..... Computer ki har language Programming language nahe hoti like "HTML" yeh
    computer ki language hai is main bhi ap instructions likhtay hai jo ke browser ke through execute hotein hain mgr yeh programming language nahe hai.

    Programming languages main Logic strong honu chahiye, ap "C/C++" languages ko achi tarhan pura detail main parho... us ke baad ap "VB" per jump karo...

    Us ke baad ap VB.NET package per jump kr jao...... VB.NET aik aesa package main jis main ap professional software bohat asani se bana saktay ho, VB.NET main kuch programming ap kud krtay ho aur kuch critical programming VB.NET software kud kr leta hai..


    So meray bahi "C" language seekho... Programming bohat achi field hai..... Programmer aaam bande nahe hotay computer ke.. they are genious... aur koe help chahiye ho to zarur batana..


    Agr meri post achi lagi ho to apni duwaon main mujhey yad rakhna

    FEAMANALLAH
    MS TELECOMMUNICATION SYSTEMS
    BSCS HONORS
    CCNA & MCP CERTIFIED

  3. #3
    hakhan is offline Senior Member+
    Last Online
    5th December 2017 @ 04:30 PM
    Join Date
    10 Apr 2009
    Age
    36
    Posts
    478
    Threads
    108
    Credits
    986
    Thanked
    5

    Default

    atif raza bhae app ka boht boht bhoht shukriya app na boht he achay tareqy sa mjy samjaya ALLAH app ko bohht boht khushiya day.bhae ma BS(electronics)kar rha hu abe 3rd semester ha ma na 2nd year ma b C ko para ar BS ma b par raha hu per bhae mjy aj tak is ke samj nahe arahe in means of pricticle use .
    again muhtarm bhae app ka boht bht shukriya

  4. #4
    Join Date
    30 Nov 2008
    Location
    In your Heart
    Posts
    4,931
    Threads
    162
    Thanked
    25

    Default

    Language computer ki langauge hi hoti hai...
    jese DOS computer ki ek language hai jis se ap Oprating system se bahir aa ker use kerty hain...
    hum jese us ko bolty hain wo wese kerta hai...
    For Example : formate c:
    to wo C: ko formate ker deta hai...
    isi terha programes ko banany k liye languages use hoti hain...
    Ab ye ap per depand kerta hai k ap kon si language sekhna cahty hain..
    agar ap ko forum banana hai to .php sekh leen...
    agar site banani hai to HTML..
    wgera wgera

  5. #5
    rb razabutt is offline Junior Member
    Last Online
    29th July 2017 @ 10:07 PM
    Join Date
    07 Jun 2016
    Gender
    Male
    Posts
    2
    Threads
    0
    Credits
    11
    Thanked
    0

    Default

    hakhan ap programmer ho???????????????

Similar Threads

  1. screen{hakhan}
    By hakhan in forum Ask an Expert
    Replies: 12
    Last Post: 20th July 2009, 04:45 PM
  2. registration{hakhan}
    By hakhan in forum Solved Problems (IT)
    Replies: 3
    Last Post: 17th July 2009, 10:25 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •