Page 3 of 5 FirstFirst 12345 LastLast
Results 25 to 36 of 58

Thread: Say A Sentence About Pakistan.......

  1. #25
    bilal_hm's Avatar
    bilal_hm is offline Advance Member
    Last Online
    17th December 2023 @ 05:49 PM
    Join Date
    05 Jan 2010
    Location
    ...............
    Gender
    Male
    Posts
    1,219
    Threads
    46
    Credits
    1,595
    Thanked
    56

    Default

    geo pakistan
    ‎"Everybody in this world loves you for his own interest. Only ALLAH Loves you for your interest."

  2. #26
    Refan's Avatar
    Refan is offline Advance Member
    Last Online
    30th March 2024 @ 12:13 PM
    Join Date
    14 Jul 2008
    Location
    Karachi - Pakis
    Age
    34
    Posts
    2,300
    Threads
    564
    Credits
    3,045
    Thanked
    147

    Default

    Waisy Agar Dekha Jai Tu.. Pakistan ne Humain bAHut KoCh Diya... Liken Sawal BeDha Hotha hY . k

    1~ Hum Ne PAKISTAN KO kIya Diya...???

  3. #27
    horse_rider's Avatar
    horse_rider is offline Senior Member+
    Last Online
    7th June 2016 @ 09:34 AM
    Join Date
    10 Jul 2010
    Age
    37
    Posts
    73
    Threads
    17
    Credits
    960
    Thanked
    2

    Default

    Roti, kapda aur dawa
    Ghar rehne ko chhota sa
    Muft mujhe talim dila
    Mein bhi Musalmaan hoon wallah
    Pakistan ka matlab kya
    La Ilaha Illalah…

    Amrika se mang na bhik
    Mat kar logon ki tazhik
    Rok na janhoori tehrik
    Chhod na azadi ki rah
    Pakistan ka matlab hai kya
    La Ilaha Illalah…

    Khet waderon se le lo
    Milen luteron se le lo
    Mulk andheron se le lo
    Rahe na koi Alijah
    Pakistan ka matlab kya
    La Ilaha Illalah…

    Sarhad, Sindh, Baluchistan
    Teenon hain Panjab ki jaan
    Aur Bangal hai sab ki aan
    Aai na un ke lab par aah
    Pakistan ka matlab kya
    La Ilaha Illalah…

    Baat yehi hai bunyadi
    Ghasib ki ho barbadi
    Haq kehte hain haq agah
    Pakistan ka matlab kya
    La Ilaha Illalah…

  4. #28
    horse_rider's Avatar
    horse_rider is offline Senior Member+
    Last Online
    7th June 2016 @ 09:34 AM
    Join Date
    10 Jul 2010
    Age
    37
    Posts
    73
    Threads
    17
    Credits
    960
    Thanked
    2

    Default

    Khatra hai zar daron ko
    Girti hui diwaron ko
    Sadiyon ke bimaron ko
    Khatre mein Islam nahin
    Sari zamin ko ghere hue hain aakhir chand gharane kyon
    Naam nabi ka lene wale ulfat se begane kyon

    Khatra hai khun khwaron ko
    Rang birangi karon ko
    Amrika ke pyaron ko
    Khatre mein Islam nahin
    Aaj hamare naaron se larza hai bapa aiwanon mein

    Bik na sakenge hasrat-o arman unchi saji dukanon mein
    Khatra hai bat maron ko
    Maghrib ke bazaron ko
    Choron ko makkaron ko
    Khatre mein Islam nahin
    Amn ka parcham le kar utho har insane se piyar karo
    Aprna to manshoor hai Jalib, sare jahan se pyar karo

    Khatra hai darbaron ko
    Shahon ke ghamkhwaron ko
    Nawabon, ghaddaron ko
    Khatre mein Islam nahin

  5. #29
    horse_rider's Avatar
    horse_rider is offline Senior Member+
    Last Online
    7th June 2016 @ 09:34 AM
    Join Date
    10 Jul 2010
    Age
    37
    Posts
    73
    Threads
    17
    Credits
    960
    Thanked
    2

    Default

    Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai
    Lekin in donon mulkon mein Amrika ka dera hai

    Aid ki gandam kha kar ham ne kitney dhokey khai hain
    Poochh na hamne Amrika ke kitne naaz uthai hain

    Phir bhi ab tak wadi-e gul ko sangeenon ne ghera hai
    Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai

    Khan Bahadur chhodna hoga ab to saath Angrezon ka
    Ta bah gareban aa pahuncha hai phir se hath Angrezon ka

    Macmilan tera na hua to Kenedy kab tera hai
    Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai

    Yeh dharti hai asal mein, pyare, mazdooron dahqanon ki
    Is dharti par chal na sakegi marzi chand gharanon ki

    Zulm ki rat rahegi kab tak ab nazdik savera hai
    Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai

  6. #30
    horse_rider's Avatar
    horse_rider is offline Senior Member+
    Last Online
    7th June 2016 @ 09:34 AM
    Join Date
    10 Jul 2010
    Age
    37
    Posts
    73
    Threads
    17
    Credits
    960
    Thanked
    2

    Default

    Maan

    Bachchon pe chali goli
    Maan dekh ke yeh boli
    Yeh dil ke mere tukde
    Yun royen mere hote
    Mein dur khadi dekhoon
    Yeh mujh se nahin hoga

    Mein Dur khadi dekhun
    Aur ahl-e sitam khelen
    Khun se mere bachchon ke
    Din-raat yahan holi
    Bachchon pe chali goli
    Maan dekh ke yeh boli
    Yeh dil ke mere tukde
    Yun royen mere hote
    Mein dur khadi dekhun
    Yeh mujh se nahin hoga

    Meidan mein nikal aayi
    Ek barq si lehrai
    Har dast-e sitam kanpa
    Bandooq bhi tharrai
    Har simt sada gunji
    Mein aati hun, mein aayee
    Mein aati hun, mein aayee

    Har zulm hua batil
    Aur seham gaye qatil
    Jab us ne zaban kholi
    Bachchon pe chali goli
    Us ne kaha khun-khwaro!
    Daulat ke parastaro
    Dharti hai yeh ham sab ki
    Is dharti ko naa-dano!
    Angrezon ke darbano!
    Sahab ki ata-kardah
    Jagir na tum jano
    Is zulm se baaz aao
    Bairak mein chale jao
    Kyon chand luteron ki
    Phirte ho liye toli
    Bachchon pe chali goli

  7. #31
    horse_rider's Avatar
    horse_rider is offline Senior Member+
    Last Online
    7th June 2016 @ 09:34 AM
    Join Date
    10 Jul 2010
    Age
    37
    Posts
    73
    Threads
    17
    Credits
    960
    Thanked
    2

    Default

    Yaum-E Iqbal Par

    Log uthte hain jab tere ghareebon ko jagane
    Sab shehar ke zardar pahunch jaate hain thane

    Kehte hain yeh daulat hamein bakhshi hai khuda ne
    Farsudah bahane wahi afsaane purane

    Ai shair-e mashriq! Yehi jhute yehi bad zaat
    Peete hain laoo banda-e mazdoor ka din raat

  8. #32
    Haseeb Alamgir's Avatar
    Haseeb Alamgir is offline Super Moderator
    Last Online
    Yesterday @ 10:55 PM
    Join Date
    09 Apr 2009
    Location
    KARACHI&
    Gender
    Male
    Posts
    19,391
    Threads
    419
    Credits
    39,894
    Thanked
    1813

    Default

    پاکستان رہتی دنیا تک قائم رھنے کے لیے بنا ہے اور انشا ٔ اللہ رہے گا۔پاکستانی زندہ قوم ہیں

  9. #33
    Join Date
    13 Jul 2010
    Posts
    219
    Threads
    0
    Thanked
    2

    Default

    may Allah shower countless blessing upon pakistan

  10. #34
    Join Date
    19 Jul 2010
    Location
    Alone
    Age
    44
    Gender
    Male
    Posts
    133
    Threads
    8
    Thanked
    9

    Default

    allah pakistan ko haar afat se mahfooz rakhe aur mein pray karta hoon ke long live (pakistan)

  11. #35
    n0mi's Avatar
    n0mi is offline Advance Member
    Last Online
    26th September 2021 @ 09:49 PM
    Join Date
    22 Dec 2009
    Posts
    1,258
    Threads
    112
    Credits
    135
    Thanked
    244

    Default

    "Hey Pakistan" Please wait a little more....,

  12. #36
    Jamali33's Avatar
    Jamali33 is offline Senior Member+
    Last Online
    13th July 2016 @ 09:32 AM
    Join Date
    21 Oct 2009
    Location
    THATTA
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    1,930
    Threads
    303
    Credits
    765
    Thanked
    299

    Default

    pakistan zinda abad pakistan painda abd............
    i love pakistan

Page 3 of 5 FirstFirst 12345 LastLast

Similar Threads

  1. help sentence
    By Zulfqar21 in forum Educational Help
    Replies: 0
    Last Post: 22nd January 2015, 06:42 AM
  2. Translate this sentence
    By zeb_ms in forum Baat cheet
    Replies: 6
    Last Post: 11th January 2012, 09:22 AM
  3. Solved sentence help pls
    By saeedfaizy in forum Solved Problems (IT)
    Replies: 15
    Last Post: 6th March 2011, 01:00 PM
  4. sentence of chinese
    By abid chandia in forum General Discussion
    Replies: 16
    Last Post: 28th May 2009, 10:29 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •