Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 23

Thread: Ahmad Faraz Poems Collection

  1. #1
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default Ahmad Faraz Poems Collection

    Aankh se door na ho dil se utar jaayegaa



    AaNkh se door na ho dil se utar jaayegaa
    Waqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

    Itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
    tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Darr jaayegaa

    tum sar-e-raah-e-vafaa dekhte reh jaaoge
    aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

    zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
    terii baKhshiish terii dehliiz pe dhar jaayegaa

    Doobte Doobte kashtii to ochhaalaa de doon
    main nahin koii to saahil pe utar jaayegaa

    zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
    zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

  2. #2
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default

    Ab ke ham bichhre to shaayad kabhii khvaabon mein milen



    ab ke ham bichhre to shaayad kabhii Khvaabon mein milen
    jis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen

    Dhoond ujare hue logon mein vafaa ke motii
    ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein mile.n

    tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
    dono insaan hain to kyon itane hijaabon mein milen

    Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lo
    nashaa barhta hai sharaben jo sharaabon mein milen

    aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
    kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen

    ab na vo main hooN na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
    jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon meim milen

  3. #3
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default ab ke rut badlii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun

    ab ke rut badlii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun



    ab ke rut badlii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
    zaKhm phuulon kii tarah mehakenge par dekhegaa kaun

    dekhnaa sab raqs-e-bismal mein magan ho jaayenge
    jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun

    vo havas ho yaa vafaa ho baat mehroomi kii hai
    log to phal-phuul dekhenge shajar dekhegaa kaun

    ham chiraag-e-shab hii jab thehre to phir kyaa sochna
    raat thii kis kaa muqaddar aur sehar dekhegaa kaun

    aa fasiil-e-shahar se dekhen Ganiim-e-shahar ko
    shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun

  4. #4
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default ab k tajdiid-e-vafaa kaa nahin imkaan jaanaaN

    ab k tajdiid-e-vafaa kaa nahin imkaan jaanaaN



    ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahin imkaaN jaanaaN
    yaad kyaa tujh ko dilaayeN tera paimaaN jaanaaN

    yuN hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
    kis qadar jald badal jaate hain insaaN jaanaaN

    zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai
    ham ne jaise bhii basar kii teraa ehsaaN jaanaaN

    dil ye kehtaa hai k shaayad ho fasurdaa tuu bhii
    dil kii kyaa baat karen dil to hai naadaaN jaanaaN

    avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar
    be-piye bhii tera chehraa tha gulistaaN jaanaaN

    aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahiin
    rag-e-miinaa sulag uthi k rag-e-jaaN jaanaaN

    muddaton se ye aalam na tavaqqo na ummeed
    dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaaN jaanaaN

    ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa
    Gam-e-dauraaN se judaa hai Gam-e-jaanaaN jaanaaN

    ab k kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraaN jaanaaN
    sar-ba-zaanuu hai koi sar-ba-girebaaN jaanaaN

    har koi apni hii aavaaz se kaaNp uthtaa hai
    har koi apane hii saaye se hiraasaaN jaanaaN

    jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagtaa hai
    shehar ka shehar hua daaKhil-e-zindaaN jaanaaN

    ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal men aaye
    aur se aur huaa dard kaa unvaaN jaanaaN

    ham ki ruuthii hui rut ko bhii manaa lete the
    ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraaN jaanaaN

    hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa
    jaise urrate huye auraaq-e-pareshaaN jaanaaN

  5. #5
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default ab naye saal kii mohalat naheen milne vaalii

    ab naye saal ki mohalat nahin milne vaalii



    ab naye saal kii mohalat nahin milne vaalii
    aa chuke ab to shab-o-roz azaabon vaale

    ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaaN bolate hain
    ab kahaaN log muhabbat ke nisaabon vaale

    zindaa rehne ki tamannaa ho to ho jaate hain
    faaKhtaaon ke bhii kirdaar uqaabon vaale

    na mere zaKhm khile hain na teraa rang-e-hinaa
    mausam aaye hi nahin ab ke gulaabon vaale

  6. #6
    D--k's Avatar
    D--k is offline Advance Member
    Last Online
    6th May 2022 @ 11:27 PM
    Join Date
    02 Jan 2009
    Location
    Narowal
    Posts
    3,050
    Threads
    103
    Credits
    1,256
    Thanked
    48

    Default

    Bh achi sharing hay brother
    آئی ٹی دنیامیں سیگنیچرز میں اتنے بڑے سائز کی امیج لگانا سختی کے ساتھ منع ہے۔۔۔آئی ٹی دنیا ٹیم

  7. #7
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default aise chup hain ke ye manzil bhii karrii ho jaise

    aise chup hain ke ye manzil bhii kaDii ho jaise




    aise chup hain ke ye manzil bhii kaDii ho jaise
    teraa milna bhi judaai ki ghaDi ho jaise

    apane hi saaye se har gaam laraz jaataa huuN
    raaste mein koi diivaar khaDi ho jaise

    manzilen door bhi hain manzilen nazdik bhi hain
    apne hi paaon mein zanjir paDii ho jaise

    kitne naadaan hain tere bhulane vaale ke tujhe
    yaad karne ke liye umr paDii ho jaise

    aaj dil khol ke roye hain to yuuN Khush hai 'Faraz'
    chand lamhon ki ye raahat bhii baDii ho jaise

  8. #8
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default badan mein aag si chehraa gulaab jaisaaa hai

    badan mein aag si chehraa gulaab jaisaaa hai




    badan mein aag si chehraa gulaab jaisaaa hai
    ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhi sharaab jaisaa hai

    kahaaN vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
    tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai

    magar kabhi koi dekhe koi paDhe to sahii
    dil aainaa hai to chehraa kitaab jaisaa hai

    vo saamne hai magar tishnagii nahiin jaatii
    ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai

    'Faraz' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahi
    hamen aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai

  9. #9
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default barson ke baad dekha ik shaKhs dil-rubaa saa

    barason ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa



    barason k baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
    ab zehan mein nahin hai par naam tha bhalaa saa

    abruu khinche khinche se aaNkhen jhukii jhukii sii
    baaten rukii rukii sii lahjaa thakaa thakaa saa

    alfaaz the ke jugnuu aavaaz k safar men
    ban jaaye jangalon mein jis tarah raastaa saa

    Khvaabon mein Khvaab us ke yaadon mein yaad us kii
    neendon mein ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa

    pahle bhi log aaye kitne hi zindagii mein
    vo har tarah se lekin auron se tha judaa saa

    aglii muhabbaton ne vo naa_muraadiyaaN din
    taazaa rafaaqaton se dil tha Daraa Daraa saa

    kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
    kuchh zehar mein bujha tha ahbaab ka dilaasaa

    phir yuuN hua k saavan aaNkhon mein aa base the
    phir yuuN hua k jaise dil bhii thaa aablaa saa

    ab sach kahen to yaaro ham ko Khabar nahiin thi
    ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zara saa

    tevar the beruKhii k andaaz dostii k
    vo ajanabi tha lekin lagtaa thaa aashnaa saa

    ham dasht the ke dariyaa ham zehar the ke amrit
    naahaq thaa zoNum ham ko jab vo nahin tha pyaasaa

    ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
    apnaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa

  10. #10
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa

    beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa



    beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
    tum bhi auron ki tarah mujh se judaa ho jaanaa

    main bhi palakon pe sajaa luuNgaa lahuu kii buuNden
    tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

    Khalq kii sang_zanii merii Khataaon ka silaa
    tum to maasuum ho tum door zaraa ho jaanaa

    ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zehar
    tum kisi aur pujaarii k Khuda ho jaanaa

  11. #11
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default chheDe main ne kabhi lab-o-ruKhsaar ke qisse

    chheDe main ne kabhi lab-o-ruKhsaar ke qisse




    chheDe main ne kabhi lab-o-ruKhsaar ke qisse
    gahe gul-o-bul_bul ki hikaayat ko nikhaaraa
    gahe kisii shahazaade ke afsaane sunaaye
    gahe kya duniyaa-e-paristaaN kaa nazaaraa
    main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaaN men
    har lehjaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa

    barason yuuN hi dil_jamii-e-aurang kii Khaatir
    sau phuul khilaaye kabhi sau zaKhm Kharide
    main likhtaa rahaa hijr baGaavat manshuun ki
    main paDhtaa rahaa qasr_nashiinon ke qaside
    ubhraa bhi agar dil men koi jazabaa-e-sar_kash
    is Khauf se chup thaa ke koi honTh na si de

    lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye
    aaKhir mai-o-miinaa-o-Daf-o-chang bhi TuutTe
    yuuN dast-o-garebaaN hua insaan-o-Khudaaband
    nakhachiir to taDape qafas-e-rang bhi TuuTe
    is kashmakash-e-zarraa-o-anjum kii fizaa mein
    kash_kol to kyaa afsar-o-aurang bhii TuuTe

    main dekh rahaa tha mere yaaron ne baDhakar
    qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di
    gahe rasn-o-daar ke aaGosh men jhuule
    gahe haram-o-dair kii buniyaad hilaa di
    jis aag se bhar_puur thaa maahaul kaa siinaa
    vo aag mere lauh-o-qalam ko bhii pilaa di

    aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaaii
    ab fan mera darbaar ki jagiir nahiin hai
    ab meraa hunar hai mere jamahuur ki daulat
    ab meraa junuuN kaif-e-taaziir nahin hai
    ab dil pe jo guzaregii be-Tok kahuuNgaa
    ab mere qalam main koi zanjiir nahin hai

  12. #12
    Dark Legion's Avatar
    Dark Legion is offline Senior Member
    Last Online
    15th August 2018 @ 08:20 PM
    Join Date
    21 Mar 2009
    Location
    Here
    Posts
    3,270
    Threads
    123
    Credits
    819
    Thanked
    66

    Default dil bhi bujha ho shaam ki parachhaaiyaaN bhi hon

    dil bhi bujha ho shaam ki parachhaaiyaaN bhi hon



    dil bhi bujha ho shaam ki parachhaaiyaaN bhi hon
    mar jaaiye jo aise mein tanhaaiyaaN bhi hon

    aaNkhon ki surKh lahar hai mauj-e-suparadagii
    ye kyaa zaruur hai ke ab angaDaaiyaaN bhi hon

    har husn-e-saadaa lau na dil mein utar sakaa
    kuchh to mizaaj-e-yaar mein geharaaiyaaN bhi hon

    duniyaa ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
    baat us ki ho to phir suKhan aaraaiyaaN bhi hon

    pehle pahal ka ishq abhi yaad hai 'Faraz'
    dil Khud ye chaahtaa hai ke rusvaaiyaaN bhi hon

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Ahmad faraz
    By piyare786 in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 2
    Last Post: 17th December 2021, 09:56 PM
  2. Great collection of ALLAMA IQBAl Poems
    By Shaheen in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 20
    Last Post: 16th February 2021, 07:24 PM
  3. Ahmad faraz
    By Suriashoukat786 in forum Design Poetry
    Replies: 6
    Last Post: 14th March 2020, 03:16 AM
  4. ~~~ My Poems & Ghazal Collection ~~~
    By AtiqRaj29 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 3
    Last Post: 6th December 2009, 01:49 PM
  5. Ahmad Faraz
    By musayyab1 in forum Ask an Expert
    Replies: 4
    Last Post: 24th April 2009, 06:42 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •