Page 5 of 6 FirstFirst ... 23456 LastLast
Results 49 to 60 of 66

Thread: Dajjali Fitna ..........

  1. #49
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Quote Ustaad said: View Post
    im really Sorry 4 that ....... mujhay aap ki baataion say laga k aap qadiani hai that's y main nay aap ko qadiani samjha q k qadiani bhi dajjal US ko he kehtay hain ........ im really very SORRY .......
    apology accepted brother! jeete rahen, Aamen!

    Qadiani agar 10 jhoot bolte haen to un maen aik do sach bhi haen to tabhi to logon ko dhoke se ghalat raaste per daal diya. hamen unn ke sach ko sach hi smajhne hae bhale wo kitne hi jhoot kyun na bolen, ke kahin unn ke jhoot ki bina per hum kisi wazeyah sach ko bhi ignore na kar den, wese maen unn ke aqaaid ke baare maen nahin parhta, lehaza mujhe ye baat maloom nahin ke wo bhi Dajjal aur USA ka ta'aluq samajhte haen. wa Allahu aalam!

  2. #50
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Quote Ustaad said: View Post
    KHATM-E-NUBUWAT KA MATLAB HAR GIZ YEH NAHI K SONA REKHWA KAR DOLLAR LAY LAIN ....... KHATM-E-NUBUWWAT KA MATLAB YEH HAI K MOHAMMAD S.A.W K BAAD KOI NABI NAHI ....... DAJJAL KA SHAKHSI KHAKA MAIN PECHLAY PAGE PER ATTACH KAR CHUKA HOON ....... MEHARBANI KAR K USAY PERHLAIN OR US KA JAWAB DAIN ......
    Khatme Nabbuwat ka matlab ke ab koi Nabbi nahin aaye ga, so jo nizam o shariat Akhri Nabbi Muhammad S.A.W ne chhorra, ussi per qaim rehna khatame Nabbuwat ka paas rakhna hae. Akhri Nabbi ka maeeshi nizaam Sone maen reserves ka tha aur unhon ne farmaaya ke iss Ummat ka fitna(imtihaan) maal maen ho ga, to Islami tareekh maen maal ne apni haiyyat paper currency ki shakal 1940 maen badal daali angrezon ki hukoomat ke dauraan majbooran, aur issi Hadith ki roo se maen ne paper currency ki ibtida aur tehqeeq ke doraan Dollar ko bhi study kiya, aur duniya ke maeeshi nizaam maen bohat bari tabdeeli bullion system se billion system maen 1970 maen dollar ki waja se paaya to maen ne iss baat se aap logon ko aagah karna zaroori samjha sirf aik mashware ke taur per ke shayad koi faayida ho iss maen, aur saath maen Sura Kahaf maen currency ke liye munfarid lafz 'wariqa'(leaf/paper) ke istimaal ko bhi isi liye pesh kiya ke Sura Kahaf hi hamen Dajjal ke fitne maen seedhai raah dikhaane waali Hujjat hae Hadith ki roo se.

    aik kaghaz per 10 ki mohar uss ko 10 aur ussi kaghaz per 1000 ki mohar us ko 1000 ka to bana deti hae magar aap ka 10 ya 1000 doosre mumaalik ke 10 ya 1000 ke baraabar nahin, jab ke aap ka 1 sone ka sikka duniya ke kisi bhi doosre sone ke sikke ke muqable maen baraabar ho ga, wazan ki buniyaad per, numbers ki buniyaad oer nahin, ye insaaf ki baat hae, ke baraabar tola jaaye.
    aap apne ajnaas, oil aur doosri cheezon ko jab farokht karte haen to aap ko wo kaghaz per number chhaap kar de dete haen, yani dollars, iss ke baais Dollar jo Yahud ki zaati ijara daari hae yahud ko apna sona jamma rakhne maen madad karta hae jab ke unn ki ilhami kitab aur hamaari bhi sona jamma karne ko haraam karaar deti hae. ye Sona Allah ne peda kiya hae, iss ko zawaal nahin, iss maen milaawat nahin, iss maen dhoka nahin, jese sooraj chaand paani sab ko Allah ne peda kiya hamare istimaal ke liye ese hi hamari maeeshat ke liye Sona peda kiya. jese pani per sab ka haq hae ese hi sona bhi sab tak ameer ho ya ghreeb bataur maal pohanchna zaroori hae.

    sab se ehm baat ye hae ke currency per jaandaaron ki tasaweer halaal o haraam ka massala hae, aur maen ne dekha hae ke Euro jo christian currency hae, uss per kisi jaandaar ki tasweer nahin, hum to Muslim haen hamen to iss baat ka zayada dhayaan hona chaahiye. magar ye bhi Allah ki meherbani ho gayi ke agar aaj Ummat e Muslima apne reserves Dollar se hata kar kisi aur maen shift karna chaahe to hamare paas euro ki option mojud hae, aur hum apne asaason ke pahaaron ki investment esaaiyon ke saath wapis bullion system maen jaane ki shart ke saath kar sakte haen, jis se na sirf hamara aur unn ka ta'aluq behtar ho ga balke Yahud aur unn ke Soodi Maseeha USA ko kinaara lagaane ka muaamla bhi aasaan ho jaata hae, phir dekhte haen Israel ki support ke liye dollar kahan se aayen ge!

    bus aik justajoo hae ke inn haalaat se nikalne ka koi hal mile, maen ne apni mushaawarat pesh kar di jo ke mera farz tha. aur dua go hun ke Allah hamari islaah o nusrat farmayen, Aameen!

  3. #51
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Exclamation

    Quote Ustaad said: View Post
    AAP KO SIRF KUFFR NAZAR AARAHA HIA ...... MEHARBANI KAR K BAQI NISHANIA BHI DEKHA DAIN .......
    jab kuffr nazar aa gya to phir koi aur daleel ya nishaani ki zaroorat kyun kar! pehle Radd e Kuffr, baqi baaten baad maen insha Allah!

  4. #52
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Quote Ustaad said: View Post
    HAZRAT MOHAMMAD S.A.W NAY DAJJAL KI NISHANIA BHI BATAIEN THE ....... MEHARBANI KAR K WOO APNAY DOLLAR (DAJJAL) MAIN DEKHA DAIN ..... AB AAP SIRF AANKH KO LAY KAR BETH GAI HAI OR BAQI NISHANION KO IGNORE KAREHAY HAIN TO YEH AAP KI KAM ELM HONAY KI DALEL HAI .....
    Maen Khatim ul Nabiyeen ka ghulaam hun, unn ka farmaan hae ke sab amnbiya ne apni apni qaum ko Dajjal ke fitne se khabardaar kiya hae magar aik nishaani jo kisi ne nahin bataayi wo nishaani hae aik aankh ki. leahaza maen baqi nishaaniyon per Rehmatul lil aalameen bana kar bheje gaye Aakhri Nabbi S.A.W ki iss khaas nishaani ko kese ignore kar dun. Phir unhon ne ye bhi keh diya ke iss Ummat ka FITNA e KHAAS(jo Dajjal ka fitna hi ho sakta hae) MAAL maen ho ga! koi fironi ya taghooti nizaam maeeshi istehkaam ke baghair sir nahin uthaa sakta. ye maal ki monopoly jo dollar ki hae issi ki waja se to uss ka hamare har har muaamle per itna control hae, jab chaaha sanction laga di, jab chaaha registaanon ko gulzaaron maen badal diya, ye sab maeeshi control ke baghair mumkin nahin!

    Quran se aap ko aik khaas baat ki yaad dihaani kara dun, saamri ne jab wo bolne waala bachra banaaya to uss ke liye uss ne sab se sona ikhatha kiya, yani uss jaadooi technology ki kaamyaabi ke liye sona hona zaroori tha, ye hint hae, jo aaj ke daur ki uss jaadooi technology ki kaamyaabi ka raaz bhi hae, 100% khalis sone ke istimaal ke baghair na to aap ke tv radio mobiles maen jaandaaron ki tasaweer aa sakti haen aur na hi aawaaz, ye aik scientific fact hae. Lehaza issi trick to shaitaan ne phir use kiya hae, aur aik baar phir sona jama karne ke liye iss baar paper currency ka chakar chalaaya hae!

    Ab sawaal ye hae ke saamri ki technology se marghoob hone waalon ko to shirk ke jurm maen pakra gya, aaj wohi technology jo dhoke se bani Israel ke insaanon ko mas'hoor karne ka zariya bani, jaayiz kese ho gayi, abhi to Quran hamare beech mojud hae! Mere liye ye baat nahaayat ehm hae ke iss per ghaur kiya jaaye aur jadoo ko bhi technology ke naam per halaal na samajh liya jaaye, jadoo visions aur sounds create karne maen istimaal hota hae, aur jaandaaron ke visions aur sounds ka kisi bejaan cheez se nikalna hae to boht entertaining magar Quran maen dekha jaaye to aqal thikaane aane ke liye kafi daleel hae agar Allah ke qaul ka yaqeen ho to!

    yaqeenan azeem tareen fitne se guzar rahe haen hum, Allah malikul Haq ul Mubeen Zul Quwwatil Mateen ki Panaah!

  5. #53
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Quote Ustaad said: View Post
    ALLAH KA KOI SHAREEK NAHI ....... ALLAH KI MOHAR NA SONA HAI NA DOLLER ....... JUNNAT MAIN HUMAY NA DOLLER KI ZAROORAT HOGE NA SONAY KI ...... WAHA ALLAH KI REHMAT HOGE ...... OR ITNE HOGE K JIS CHEEZ KA DIL MAIN KHAYYAL AYEGA WOO CHEEZ SAMNAY AAJAIGE ....... WAHA HUMAY DOLLER YA SONA DAY KAR KOI CHEZ KHAREDNA NAHI PARAYGE ........
    Sona Allah ne peda kiya jo koi doosra nahin bana sakta, aur sach ke Allah ka koi shareek nahin, warna Dajjal Dollar ki jaga Sona hi chhaap raha hota hamen lootne ke liye, aakhir itne oil ke liye itna sona wo kahan se laata! ye to wo kar na sakta tha to uss ne dollar chaap kar ye keh diya ke aaj ke baad ye Sona se barh kar hae to hum maan gaye aur apne reserve Sona se hata kar Dollar maen daal diya 1970's maen, ye maan jaana hamara ese hi hae jese ye kehna ke Allah ka koi shareek hae, aur uss ke Sona se barh kar koi aur cheez bana di kisi ne maeeshat ki mohar e azam ke taur per, muaz Allah!

    Dollat maen MOhar e Aazam(Great Seal) ka daawa al-dollar ki aik annkh ke neeche aap khud dekh len, aur phir bata den ke kya ye daawa sacha hae aur Sona Mohar e Azam(Great Seal) nahin?

    ab baat ke Jannat maen sona ya dollar nahin hon ge to haan jannat maen dollar to nahin magar Sona zaroor hae ke ye baat Quran maen mojud hae! aakhir jiss ki jannat ussi ki mohar bhi to mille gi na!

    Allah Great(Azeem) to dollar Great seal(mohar e azeem) kese Sona ki jaga ke hum apne reserves dollar maen rakhe huwe haen, jo ke sood ki yaqeeni doobti huwi kashti hae!

    QUR'AAN
    43:71 (Asad) [And there] they will be waited upon with trays and goblets of gold; and there will be found all that the souls might desire, and [all that] the eyes might delight in. And therein shall you abide, [O you who believe:]

    35:33 (Asad) [Hence,] gardens of perpetual bliss will they enter, therein to be adorned with bracelets of gold and pearls, and therein to be clad in raiments of silk;

    22:23 (Asad) [As against this,] behold, God will admit those who attain to faith and do righteous deeds into gar*dens through which running waters flow, wherein they will be adorned with bracelets of gold and pearls, and where silk will be their raiment:

    18:31 (Asad) theirs shall be gardens of perpetual bliss - [gardens] through which running waters flow - wherein they will be adorned with bracelets of gold and will wear green garments of silk and brocade, [and] wherein upon couches they will recline:" Asad(18,41) how excellent a recompense, and how goodly a place to rest!

    sadaq Allahu al Azeem!

  6. #54
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Quote Ustaad said: View Post
    DAJJAL BILKUL SAMNAY AYEGA OR ZAROOR AYEGA ...... AGAR AAP NAY WOO HADEES JO AP KO I LOVE SAHABA NAY BATAIE HAI TO AAP YAQENAN USA KO KABHI DAJJAL NA KEHTAY ........ RAHE BAAT EIK RASTAY KI TO USA OR DAJJAL K RASTAY MUKHTALIF NAHI HAI LAKIN USA DAJJAL KO RSTA FARAHAM KARAHA HIA .......
    MOHAMMAD S.A.W NAY YEH BHI FARMA DIA HAI K DAJJAL YAHOODION K GHAR MAIN PEDA HOGA ....... USA ESAION KI COUNTYR HAI ..... OR ESAIE YAHODION K GHAR MAIN PEDA NAHI HOTAY ......
    HUM NAY AGAR OORAT KO KESE MULK KA HUKUMRAN BANA DIA HAI TO IS KA MATLAB YEH BHI K YEH KHATM-E-NUBUWWAT K MUNAFI HAI ......
    KESE OORAT KA KESE MUSLIM COUNTRY KA HUKUMRAN HONA ISS BAAT KI DALEL NAHI K YEH KHATM-E-NUBUWWAT K MUNAFI HAI ........ AGAR HAI TO BARAIE MEHARBANI IS KI WAZAHAT KARAIN ..... MUJHAY KHUSHI HOGE ......
    jee sach kaha aap ne, al-dollar aur USA donon ki pedaish Yahudi (congress) ke gharaane se hi haen aur wo bhi donon 1776 ki, yahan tak ke USA ka aeen bhi Yahudi ke haath ka aur dollar ke aikh aankh ka design bhi yahudi ke haath ka hae, kon sa yahudi? Benjamin Franklin, wohi science daan jiss ne kite per chaabi laga kar bijli ka jhatka khaaya tha, jee haan, ye history hae!

    Khatam e Nabbuwat ki roo se kisi aurat ka hukamraan hona theek nahin, ye baat Islam ki hae, ke Akhri Nabbi ne iss se mana kiya, ab kisi ke kehne per hum iss qanoon ko badal den to yaqeenan kisi naye Nabbi ka dhoka huwa hae hum ko, jab Iran ka baadshah mar gya to uss ki beti ko hukamraan bana diya gya, khabar milne per khatim-ul Nabiyeen S.A.W ne farmaaya ke wo qaum jo aurat ko hukamraan bana le, kabhi flaah nahin paaye gi! ab koi naya Nabbi to nahin aaya na jis ne iss fesle ko badal diya ho, jee haan aaya magar wohi jhoota(Dajjal) jo huqooq e Niswaan ke naam per apni shanaakht ke liye aik Maseeha ke Mujassime se jaana jaata hae , wohi mujassima maseeha ka jiss ki soorat aurat ki hae jab ke maseeha mard hae na ke aurat, zara sochiye to inn sab auraton ko ye nayi aazaadi ki raahen kon dikhla raha hae Khatim ul Nabiyeen ki taleemaat ke tazaad maen! kya uss ki pechaan 3 huroof se nahin duniya bhar maen? maen to sirf wo keh raha hun jo hae, koi khud saakhta ya zaati raaye nahin! sach kya hae, Allah behtar jaante haen!

  7. #55
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Quote peer said: View Post

    Asalam o alikum
    bohat achi info di hai aur dono pehlu theek hain .
    Ahadees ki roshni main Dajjal aik shaks hoga .
    aur dosri bat jo bhai nay ki america ki taraf ishara diye wo aik system hai
    hamain ye bat samajh laini chahiye k Dajjal nikalne se pehle aik stage aur aik system tayar hoga jo k ab ready hai aur uski nishani bhi dikh rahi hain
    aur aisa lagta hai jald he Dajjal bhi samnay a a jae ga
    wa alekum al Salaam sab ki taraf se. Maen sirf aik esi Hadith ki taraf tawaju dilaana chaahata hun jiss per ghaur karna zaroori hae, iss maen koi shak nahin ke Dajjal ke aik shakhs hone ka zikr ahadith maen milta hae, ye bhi ke Tamim Dari se pehle Rasool Allah A.S ne Ibne Sayyad ko Dajjal hone ka Shuba Zahir kiya jo Tamim Dari ke safar se pehle sab maen mash'hoor tha. Yahan sochne ki baat ye hae ke Na hi koi wahi aayi jo ibne sayyad ke Dajjal na hone per Rasool Allah ko mutlaa karti na hi Jibraeel A.S ne koi mudaakhilat ki, iss khamoshi ka matlab ye ke uss shakhs ki haqeeqat ghaibi thi aur usse ghaib hi rehne diya gya. Tamim Dari ke safar ka roodaad maen na to uss qaid shakhs ki aik aankh thi na hi uss ki ankhon ke beech kaa-faa-raa likha hone ka zikr milta hae. ye sab baaten sochne laiq haen.

    Jis hadith ka zikr maen karne jaa raha hun BUkhari se uss maen Rasool Allah ne hamen waziah alfaaz maen bata diya ke Dajjal hum se chhupa huwa ho ga, na sirf ye balke aage farmaaya issi Hadith maen ke Allah hum se Chuppa huwa nahin aur Allah ki Aik aankh bhi nahin! ab zara ghaur karen to theek hae Dajjal aik shaks ho ga magar Hadith hi ki roo se chhupa huwa, aur doosri baat jo nahaayat ehm aur qabil e ghaur hae wo ye ke Allah hum se chhupe huwe nahin, jis ka matlab smajhna zaroori hae, ke jese Hum Allah ko dekhe baghair uss ki Qudrat ki nishaaniyon se usse pehchaante haen jiss bina per wo Baatin(chhupe) huwe hone ke bawajud Zahir bhi hae, ese hi bhale Dajjal kitna hi chhup kar apne fitna na phelaa le, uss ko hum us ki aik aankh ki nishaani se pehchaan len. Ab chunke har baadshah apni mohar banaata hae, ese hi Dajjal bhi apni mohar banaaye ga to uss maen wo apni shanaakht ke taur per apna kuch haal to zahir kare ga, wo haal uss ka Dollar per aik aankh ko all-seeing(al-baseer) ke taur per zahir kar ke apne fitne ka pole khol chuka hae meri nazar maen, aur chunke hamen hukm hae Dajjal ke fitne se bachne ki, to dollar ussi Dajjal ka aik khaas fitna hae, khaas kar jab Rasool Allah ne farma diya ke iss Ummat ke FITNA-E-KHAAS MAAL MAEN HO GA! jab fitnon ki Ahadith ko saamne rakha jaaye to Dajjal aur Maal ka aik doosre se ta'aluq nishaaniyon ki roshini maen aur bhi waaziah ho jaata hae.

    Meri Allah se dua hae ke jesa hum tasawwur kar rahe haen ke wo Dajjal hamare saamne shaksi roop maen aye ga, aisa kabhi na ho ke wo aaye , ese hi jese shaitaan saamne nahin aata aur chhup kar hi dhoke deta hae, aameen! aur Dajjal ka qatal chunke kisi aam shaks ke haathon nahin balke ESA ibne Maryam ke haathon ho ga wo jin ko pedaish ke waqt shitaan chhoo na saka, to wohi uss ko dhoond nikaalen ge aur uss rooh Allah ki madad se jis ke zariye Allah ne ESA ibne Maryam ko Maseeh hone maen madad ki, uss shaitaani bad rooh ka kala qama farma den iss se pehle ke wo insaani roop maen aaye, aameen!

    Aaj ke technological daur maen jahan aik habshi ko gora bana diya jaata hae jese michael jackson, aur plastic surgery ke zariye har qism ke nuqs o kharabi ko khubsurati maen badal diya jaata hae, ye samajhna ke dajjal aik shakhs hote huwe bhi hamare saamne inn tabdeeliyon ke baghair aa jaye ga kuch theek nahin lagta. Meri Nazar maen Dajjal aik bad rooh jinnaati afrit numa koi mukhlooq ho sakti hae, jis se madad le kar Yahud ne aik nizam tayyar kiya ho jahan uss ki pooja aur ataa'at ho rahi ho magar dhoke se!

    wa Allahu aalam wa Allaamul GHayub wa huwa alaa kulle shayin Qadeer!

  8. #56
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Quote Ustaad said: View Post
    aap nay bilkul theak kaha hai ........... lakin irfan ahmed sahab ka kehna hai k koi dajjal nahi ayega ....... bulkay amrecia he dajjal hai ........ jab k main yeh samjha raha hoon k dajjal ki rah hamwaar karaha hai ........ amrica dajjal nahi hai ...........
    Meri nazar maen Dajjal aye ga kehna iss baat ko saaf saaf zahir nahin karta ke Dajjal iss duniya maen Rasool Allah ke waqt se mojud tha, uss ka zahir hona ys daryaft ya aazaad hona baqi tha jo ke 1400 saal ke arse maen mumkin hae ho chuka ho, jese USA aur us ki mohar dollar jo donon kehne ko to esai mulk ya hukoomat se haen magar dar haqeeqat Yahudi takhleek aur control maen haen! meri kota aqal iss nateeje per pohanchi hae ke al-Dajjal ka fitna al-Dollar ka fitna hi hae, ke Ummat ke fitna maal maen hone ki warning Hadith se hi saabit hoti hae aur mera dollar ki taraf ishara kisi soorat Hadith se tazaad maen nahin! khaas kar jab uss per aik aankh ko Rabbubwiyat ki aankh( eye of providence) bhi officially kaha jaata hae, jab ke Rabbubwiyat Allah ki hae ke wohi Rabb ul aalameen haen aur unn ki aik aankh nahin!

    maen muazrat khwa hun agar waqt ki kami aur sahih alfaaz ki kami se meri baat sahih treeke se bayaan na ho sak rahi ho aur ghalat fehmi janam le rahi ho, mera koi daawa nahin, faqt tehqeeq aur mushaawarat hae fee sabeel Allah, maen yehi dua kar sakta hu Allah Pak se ke , Rabbi sharah li sadri, wa yas'sir li amri, wahlul uqdatan mil lisaani, yafqahu qauli! aameen!

  9. #57
    Ustaad's Avatar
    Ustaad is offline Advance Member
    Last Online
    5th October 2023 @ 07:57 PM
    Join Date
    08 Jan 2009
    Posts
    7,062
    Threads
    382
    Credits
    1,532
    Thanked
    655

    Default

    mujhay lagta hai k main nay jo hadees aap ko dekhaie hia aap nay woo perhe he nahi hai ...... meharbani kar k mujhay woo hadees dekha dain k jis main likha ho k dajjal koi mulk hoga ....... baat khatam ho jaige or main aap ki baat accpet karlonga ........
    Max img size for signature is 30KB or Less

  10. #58
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Quote Ustaad said: View Post
    mujhay lagta hai k main nay jo hadees aap ko dekhaie hia aap nay woo perhe he nahi hai ...... meharbani kar k mujhay woo hadees dekha dain k jis main likha ho k dajjal koi mulk hoga ....... baat khatam ho jaige or main aap ki baat accpet karlonga ........
    Nahin esi koi baat nahin, maen ne Dajjal se muta'aliq koi bhi Hadith nahin chhorri, kisi hadith ko ignore karna mumkin nahin, aur maen mussalsal 15 saal se iss tehqeeq maen 100% time and devotion ke saath musroof hun. Dajjal aik shaks ho ga hadith ki roo se magar chuppa huwa aur ye chuppa hone wali Hadith bohat clearly keh rahi hae ke Allah hum se chuppa nahin, jis ka matlab ke Allah Ghaib hote huwe Zahir kese hae? to apni nishaaniyon se! so ese hi Dajjal bhale chupp kar apne fitna phelaaye wo apni nishaaniyon se zahir ho jaye ga aur nishaani bhi aik aankh ki hae, wo jab fitna phelaaye ga to uss ko hum dee gayi nishaaniyon se samjhen ge.

    App ka kehna hae ke kahan likha hae ke Dajjal koi mulk ho ga to Jannat/state jo wo bannaye ga wo kissi zameen per hi banaaye ga na, aap ka sawaal rephrase kiya jaye to zayada behtar smajh aa sakti hae jawaab ki bhi, agar ye kaha jaye ke Dajjal ka fitna ki base ke liye koi mulk ho ga to iss baat ko uss Hadith ki roshini maen ke jahan kaha gya ke Dajjal aik Jannat banaye ga samajhne maen madad deti hae. Aakhir jo jannat uss ne banaayi hae wahan haya daar hoor to na laa saka magar hoar ke lafz ka istimaal wahaan ki behaya auraton ke liye aam hona aik bohat bari baat hae jo qabil e ghaur hae ke koi shaitaan hi Hoor ke lafz ko apne muaashre maen be haya auraton ke liye istimaal kar sakta hae aur deen ka mazaq ura sakta hae, ye lafz USA maen aam istimaal hota hae aur kyunkar jannat ki makhluq ka naam wahan istimaal ho ga agar wo Dajjal ki jannat nahin!

    Dajjal ki Jannat aik aisa mulk jahan se wo apne nizaam, fauj, maeeshat(aik ankh wala al-dollar) aur magical technology(aik ankh ka media) ki base per baqi duniya ke mumaalik ko qaaboo maen karne ki koshish kare, jo uss ka inkar kare ga uss ko wo qehet(sanctions) aur jahannum ki aag(hell fire missiles etc) se saza de ga, uss ki pehchaan 3 huroof se ho gi jo har momin parha likha ho ya unparh kuffr ki pehchaan samjhe ga. Aaj kisi bhi Momin se USA ka matlab poochen to san emaan waale uss ko kuffr ka sardaar jaante aur maante haen! Jo apne democracy ke gadhe per sawaar saari duniya ko democratic banaane ke liye badalon maen hawa ki tarha(media) se saari duniya maen propaganda aur brain washing ki quwwat rakhta hae. Kya camera aik aankh nahin jis ke zariye kuffr saari duniya se live baat karta hae, jo hum tak uss ki doosri banaayi huwi aankh TV jo ke andhi hae magar beena ho jaati hae, aur donon aankhon ke beech phir 3 huroof, CNN, BBC MTV, HBO, VH etc etc hi milte haen. Aakhir na beena ko beena ka moajza Maseeh ibne Maryam hi ka tha, aur Dajjal ko Maseeh al-Dajjal issi liye bola jaata hae ke wo wese hi kaam kare ga jo logon ko dang kar ke rakh den ge. yehi wo ajeeb o ghareeb amaliyaat thi jin se hamen khabardaar kiya gya ke Dajjal unn ka istimaal kare ga jese murda zinda karna, aur doosre fictional visions jo aaj hum bohat shauq se hollywood etc ki productions ke taur per dekhte haen, warna Shariat e Muhammadi maen jaandaaron ki tasaweer banaana aur aawezaan karna haraam hae aur iss ko halaal karne waala koi nahin aane waala magar Dajjal ho ga aur Dajjal ki perwi Ullema ke karne waali hadith se zahir ho jaati hae baqi baat ke TV cinema ko halaa karne ka fatwa! Aik amreeki tank tv se kayi lakh ho jaate haen, jab ke aik laakh ke majme maen wo tank 100 se zayada logon se zyada ka dekhna mumkin nahin haqeeqat maen. Ye sab wohi puraane shaitaani hathkande haen jin ka zikr Quran maen aa chuka, ab sirf naya andaaz aur jiddat hae baqi sab wohi kuch!

    Agar aap maen se koi ye kehta hae ke Rasool Allah Ghaib ka ilm jaante hae to Quran is baat ki tardeed bohat waziah alfaz maen kar deta hae. Dajjal ke fitne ke mozu per Rasool Allah ki zindagi maen tehqeeqi maraahil ko dekha jaaye to iss se baat zahir hoti hae ke agar Rasool Allah ko Dajjal ki nishaaniyo ke ilaawa bhi kuch bataaya hota to wo Ibne Sayyad ko Dajjal na smajhte. Ye point bohat bara hae, ke Rasool Allah ne Dajjal ki khoj lagaayi, unn ko nahin maaloom tha wo kon hae aur kesa hae aur kahan hae, sirf nishaaniyon ki roshini maen dhoondne ki koshish ki, Magar Tamim Dari ke safar ke baad unhon ne ye nahin kaha ke maen Nabbi hun, meri baat Tamim Dari ki baat se barh kar hae lehaza Ibne Sayyad hi Dajjal hae, esa nahin huwa nor na hi Tamim Dari ne uss qaid shuda shakhs ki aik aankh ya maathe per kuch likha hona bataaya! Ibne Sayyad ko Dajjal smajhne per kisi wahi ka na aana bhi iss baat ki daleel hae ke Dajjal ki haqeeqat Sirf Allah ko maloom hae ke waqt aane per wo kya rukh dikhaaye gi, hamen sirf nishaaniyan de di gayin ke apne waqt maen hum behtar khoj laga saken!

    Quran se pata chalta hae ke aaj se pehle jab jab bhi baatil ne Fironiat ka sar uthaaya, wo kisi na kisi mulk o Qaum se utha, kisi na kisi technology aur maeeshi istehkaam ki bina ke baghair koi shakhs uth kar kuffr phelaane ki taaqat nahin rakhta tha aur daur Musa A.S ka ho jahan visual technology(magic) waghera hi firon ke raub o control ki waja bane huwe the, hamen Quran ki roshini maen dekhna hae ke Quran ka martaba Hadith se ese hi barh kar hae jese Allah ka apne Nabbi per ba taur khaliq ke! Quran ko iss mozu ka hissa na bana kar hum sach aur haq baat tak kabhi nahin phanch sakta. Issi liye Hadith maen ne hi hamen Dajjal ke daur maen bajaaye kisi Hadith ke, Quran ki Sura Kahaf ko bataur dawa aur Hujjat Chhora.

    Quran ki Sura kahaf maen chand naujawaanon ka ghaaron maen aik zaalim aur kaafiraana Nizaam se jan o emaan bachaane ke liye chhupna aaj ke daur ko bhi reflect kar raha hae. Issi Sura maen Allah ne hamen bohat waaziah hint diya ke Ashaabe kahaf ke 300 kuch saal baad pehchaane jaane ki waja wo currency thi jo 300 kuch saal pehle ki zaalimaana hakoomat maeeshat challane ke liye chhaap rahi thi. Uss currency ke liye jo Lafz Allah ne Sura Kahaf ki 19th aya maen istimaal kiya hae wo hae 'wariqa'. Ye lafz jab Quran maen aaya to uss waqt 'wariqa'(paper) ejaad bhi na huwa tha aur aam taur per ye lafz patton(leaves) ke liye istimaal hota tha, ab bhi paper currency ke 1940 maen aane se pehle tak chaandi ke sikke iss liye tarjuma maen aata raha ke uss se pehle currency ke liye paper nahin balke sona aur chandi ke sikke chalte the. Jese Quran har har daur ke liye hidaayat hae, ese hi yahan bhi 'Wariqa' ka lafz aik khulli daleel aur hujjat hae. Hamen Quran ko Hadith se nahin balke Hadith ko Quran se tolna hae! Jab aap USA ka wariqa dekhte haen to aap ko Hadith ki nishaani aik aankh waali, aur aaj ke daur ki maesshi mohar jo saari duniya ko control maen liye huwe hae jiss ka soodi zeher insaaniyat ke rag rag maen asar andaaz ho raha hae, to al-Dollar ko al-Dajjal ka fitna kehne maen koi shaq baqi nahin reh jaata, jab ke aap ke paas Quran se khuli Hujjat bhi ho aur wo Hadith bhi jo bataati hae ke iss Ummat ke FITNA e KHAAS MAAL maen ho ga, aur Dajjal ke fitne se khaas koi fitna nahin ke uss ki khabar har har nabbi ne apni qaum ko bhi di, goya Qabr maen imtihaan ke ta'aluq ho uss se, aur ye baat Rasool Allah ki aik Hadith se bhi saabit hae ke Dajjal ke fitne aur Qabar ke fitne maen koi link hae, warna pichli qaumon ko khabardaar karne ka kya matlab, aakhir burzukh hi wo jaga hae jahan sab jama hon ge roz e mehshar se pehle aik aakhri imtihaan dene ko! Matrix to sab ne enjoy ki magar hum se boht ye nahin jaante ke wo burzukh ke haalaat per hi mabni aik eesai theory hae Dajjal o maseeh ke muqaabale ke baare maen! aur jab ke hamara deen issi baat ko Hadith se saabit karta hae to hum tawaju dene se qasir haen. Qabar maen agar Munkir Nakir aayen ge to aaj bhi hamari sab advancement ki buniyaad do charges hi haen + aur - jin ko maen munk+r aur nak-r ke uss fitne se mila jula dekhta jo Dajjal ke fitne se Hadith ne jora! Aaj hamare teenon jawaab ghalat hae, Rabb? dollar? deen? democracy? Muhammad S.A.W ki pehchaan??? aeen e Quran ya kuch aur?

    wa Allahu Aalam!

  11. #59
    mhashmat1967 is offline Advance Member
    Last Online
    11th April 2023 @ 11:50 AM
    Join Date
    27 Jul 2009
    Age
    56
    Posts
    2,049
    Threads
    26
    Credits
    3,520
    Thanked
    70

    Default

    Jazakallah.

  12. #60
    Ustaad's Avatar
    Ustaad is offline Advance Member
    Last Online
    5th October 2023 @ 07:57 PM
    Join Date
    08 Jan 2009
    Posts
    7,062
    Threads
    382
    Credits
    1,532
    Thanked
    655

    Default

    Quote mhashmat1967 said: View Post
    jazakallah.
    alhamdullillah

Page 5 of 6 FirstFirst ... 23456 LastLast

Similar Threads

  1. DAJJALI Aankh
    By Fasih ud Din in forum Sunnat aur Hadees
    Replies: 15
    Last Post: 4th November 2014, 08:44 PM
  2. DAJJALI Sign In a Cartoon Series
    By Fasih ud Din in forum Photo Gallery
    Replies: 2
    Last Post: 23rd October 2014, 10:53 AM
  3. DAJJALI Sign In a Movie
    By Fasih ud Din in forum Photo Gallery
    Replies: 0
    Last Post: 22nd October 2014, 06:17 PM
  4. Fitna e Dajal se bhi barha fitna
    By saadullah in forum Sunnat aur Hadees
    Replies: 9
    Last Post: 1st May 2010, 11:11 PM
  5. Fitna Altaf Hussain aur Qadyani Fitna
    By Shaukat Hayat in forum Khatm-e-Nabuwat
    Replies: 12
    Last Post: 20th September 2009, 07:50 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •