sir aap ya to quran ka matlab parh rahay hain .. ya sirf uper se .. agar kabhi kisi ayat ko parh rahay ho to aap kisi achi tafseer ki kitaab se istefada zaroor hasil kya karain .... keh jo ayat hai . yeh kis moqay per nazil hui hai .. kis jagah nazil hui hai .. aur iss ka kya matlab hai ...
bayshak .. qayamat aakr rahay gi .. aur qayamat aaye to mere pyaaray nabi .. aaqa madni .. SAW neh uss ki nishaaniyaan batai hain .. aur nishaani k tor per hi Dajjal ka zikr kya hai ....
aap baat ki ROOH ko samjhain .. .Qayamat aye gi to Qayamat ki nishaani batai hain Dajjal ka aana ..
Doosra jo aap ney Zikr kya hai Quran ki ayat ka to aap ney fermaya keh Quran main hai keh Nishani aachuki hai ... to mere bhai ... bayshak nishaani achuki hai .. aur wo nishaani khud Besat mohammadi hai .. (SAW) ....
matlab huzoor SAW ka iss duniya main tashreef lana hi Qayamat ki sab se bari nishaani hai jis ka zikr hamain hadees main milta hai ..
aik jagah huzoor SAW neh fermaya hai ... main akhiri nabi hon aur tum akhiri ummat ho ...
aik aur jagah qayamat ka zikr kerte huye huzoor SAW ney apni dono ugliyoon ko mila ker kaha " keh main aur qayamat itna hi kareeeb hain jitna yeh dono ungliyaan kareeb hain " ...
yaqeenan huzoor ka ana sab se bari nishaani hai qtafseer ki .. lekin huzoor SAW neh iss k baad aur bohat se nishaaniyaan batai hain .. taa keh Iman walay uss ko pehchaantay huye Allah ki ibadat main mashghol rahain ...
jis main 3 bari nishaaniyaan hain ..
1) Hazrat Mehdi Rehmatullah Alaeh ka ana
2) Dajjal ka iss duniya main ana
3) Hazrat Essa A.S ka iss duniya main akar .. Dajjal ko Qatal kerna ..
Agar aap ko Dajjal k anay per yaqeen nahi hai to kya Hazrat Essa A.S k iss duniya main dobara anay per yaqeen hai ?????
aur last .. Qayamat ka Ilm sirf Allah k pass hai to Bayshak .. Allah hi ko iss ka ilm hai lekin ... Ussi Allah neh Huzoor SAW ki khas nisbat se hum logo main apni Nabi k Zeriye Qayamat ki nishaaniyaan ( jo keh bohat sari hain ) unko bataya hai .. taa keh ummat unko pehchaan ker seedhay rastay per chalay ..
aab agar koi un nishaaniyoon ka hi inkari ho to koi kya kar sakta hai ???
aap aik hades ko to maan rahay hain ... aur jo aik aur hadees .. jo keh Bukhari Shareef hi Sahih Riwayat hai ( jaan lain keh bukhari shareef ki sahi riwayat per tamam musalman mutaffiq hain keh wo ghalat nahi ho sakti hai )
Hazrat umer riwayat kertay hain keh huzoor SAW masjid nabwi main mojood thay keh aik shaks safaid joray main masjid main dakhil hua ( hazrat umer R.A ka kehna tha keh hum main se koi shaks unko nahi pehchanta tha .) aur phir un shaks nay huzoor SAW k ghutnoon se ghutnoon milaye aur athiyat ki tarah beth ker .. aap SAW se qayamat ki nishaani poochi .. jis per huzoor SAW neh kam o besh 15 nishaaniyaan batai .. aur bataya .. keh yeh sab ho jaye to samjho keh qayamat kareeb hai ... ( hadees kaafi lambi hai .. to main uss ko short ker keh khulasa bata raha hoon ) .... janay k baad huzoor SAW neh bataya keh yeh shaks Hazrat Jabrail A.S thay ....
to mere bhai .. huzoor SAW neh saaf saaf nishaaniyaan batai hain qayamat ki ...
to yaqeenan Allah SWT neh qayamat ki nishaaniyaan bata ker hum ko yeh baat samjhai hai keh yeh sab dekhnay lago to phri bas rakht safar baandh lo .. keh kareeb ho keh Qayamat ajaye ...
to hamain un nishaaniyoon ko jhooti hadees ka bol ker unsay muu nahi morna chahiye balkeh uss ko accept ker keh .. uss per apnay aap ko dhalnay aur uss per amal kernay ki fikr kernii chahiye ...
to mere bhai .. unhi nishaaniyoon main huzoor SAW ney Dajjal ka Zikr kya hai .. qayamat ki nishaani k tor per .. aur aap ko Sahih Bukhari main bhi Dajjal ki Ahadees SaHIH ahadees mill jain gi ...
aur bayshak .. Ahadees mubarkah per Yaqeen kerna hamaray Imaan main Shamil hai .... aur uska munkir KAFIR hai ..
sorry brother thora lamba ho gya ... hope aap iss ko tafseel se parh ker kuch mind banaye gay ...
akhir main ..phir se maafi chahta hoon itna lamba post kernay ki ...
shukriya ...
Assalam o Alaikum
Bookmarks