tarapte hain na rote hain na ham fariyaad karte hain
sanam ki yaad mein hardam Khudaa ko yaad karte hain

unhin ke ishq mein ham nala-o-fariyaad karte hain
ilaahi dekhiye kis din hamein vo yaad karte hain

shab-e-furqat mein kya kya saanp lahrate hain seene par
tumhari kaakul-e-pechan ko jab ham yaad karte hain