Salam Bhaio Aur Behno,
Kal 14 Agust Ka Din Hai Pura Pakistan Uski Tiyarion Main Laga Howa Hai, Maine Aj Tak 14 Agust Nhn Manai, Is Ki Waja Ye Nhn Ke Allah Na Kre Mujhe Pakistan Se Mohabat Nhn,
Ap Sub Jante Hn Pakistan Ek Islami Riyasat Hai,
Aur Quid-e-aazam Ne Bi Ek Aisi Riyast Ka Tasawor Dia Tha Jo Mukamil Tor Per Islami Riyasat Ho, Jis Men Allah Ka Qanoon Nafiz Ho Ga, Mgr Afsos Aisa Na Ho Saka, Is Ki Wajoohat To Bht Hn, Mgr Mera Maqsad Ap Ko Pakistan Ki Ghalatian Batana Nhn Hai, Bulke Ap Ko Ek Ahim Bat Ki Taraf Tawaja Dilana Maqsood Hai,
14 Agust Ki Islam Men Ya Taareekh Men Koi Hesiyat Nhn Hai, Is Ke Bar Khilaf 27 Ramadhan Ki Pure Aalame Islam Men Qadar Hai, Qke 27 Ramadan Ko Quran Ka Nazil Howa,
Aur Ap Sub Ye Janite Hn Pakistan Is Babarkat Rat Aazad Howa Tha, Aur Us Rat Allah Taala Ne Pakistan Per Ek Aur Karam Kr Dia Ke Shabe Qadar Ki Rat Anayat Farma Di
Aur Hum Itne Be His Hn Itne Ahim Din Ko Itni Ahim Aur Barkaton Bhari Rat Ko Bhol Gaye Aur 14 Agust Ek Rookhe Pheeke Din Ke Peeche Lag Gaye, Qayam E Pakistan Se Le Kr Aj Tak Kisi Leader Ne Is Ki Taraf Tawaja Na Di,
Mumtaz Danishwar Hakeem Mohammad Sayeed Ne Ziyaul Haq Ko Yome Aazadi 14 Agust Ke Bajaye 27 Ramadhan Krne Ka
Mashwara Dia Tha, Tahim Ziyaul Haq Ne Is Bare Men Koi Paish Raft Nhn Ki, Halanke Mujhe Yaqeen Hai Ke Agr Ziyaul Haq Sahb 27 Ramadhan Yome Aazadi Qarar Daite To Pura Pakistan Is Ka Khair Muqadam Krta,
Ap Se Meri Guzarish Hai Ke Yome Aazadi Manane Se Pehle Ek Bar 14 Agust Aur 27 Ramdhan Aur Shabe Qadar Ka Mawazina Kren,
Ye Sochain Ke Shabe Qadar Itni Aasani Se Naseeb Hoti Hai?
Ya Itni Babrkat Rat Ka Naseeb Hona Ek Itfaq Hai,