Kya tum nay mujhe nahein suna, jab mein nay tum say bheek mangi thi?
Jalnay aur jhulasnay kay baad, jab mein nay chaoon mangi thi...
Marnay say pehlay tumhe, haan tumhe, pukaar lagai thi...
Aansooun ko mein nay aag lagai thi....
Kya tum nay mujhe nahein suna, jab mein nay tum say bheek mangi thi?
Insaan hoon mein bhi...
Sahara chata hoon...
Baybasi ki dhool mein lipta hua...
Aankhoon say bhi lahoo behta hai meri.
Kya tum nay mujhe nahein suna, jab mein nay tum say bheek mangi thi?
Kya hogaya tumhe aaj?
Mera andhera dekh kar, bahaut bura lagaa tumhein?
Kya tumhein pata hai kay khaamoshi kay aansoon kaisay goonj tay hain?
Kya tumhe maloom hai kay kaisay girteein hai jazbaaton ki laashein?
Kya tum nay mujhe nahein suna, jab mein nay tum say bheek mangi thi?
Nahein suna, tu ab sun lo...
Bheek mangta hoon mein tum say...
Na karo meri rooh ko juda, shareer say meray!
Bookmarks