Shahr-e-ghazal main bikne ko tayyar koun hai
Yusuf nahi to zeenat-e-bazaar koun hai
Sab ke laboun pe nara-e-Mansoor hai magar
Yeh dekhna hai aaj sar-e-daar koun hai
Apna zameer jhoot kabhi bolta nahi
Tum hi kaho ke sahib-e-kirdaar koun hai
Tark-e-taluqaat ko ek umr ho gayi
Tanhaiuon main mayel-e-guftaar koun hai
Tasweerain roz banti hain shairoon ki shakal main
Mere tassawuraat ka shahkaar koun hai
Jalne ko shama bhi jali, parwana bhi jala
Kaise kahain ke, kis ka, wafadaar koun hai
Ashkoun ke phool leke main nikla to hoonRAIS
Yeh dekhna hai in ka kharedaar koun hai
Bookmarks