Aaghaaz to hota hai anjaam nahi hota,
Jab meri kahani main wo naam nahi hota,
Jab zulf ki kaalakh main ghul jaae koi raahi,
Badnaam sahi lekin gumnaam nahi hota,
Hans Hans key jawaan dil key hum kiyon na chunen tukrey,
Har shakhs ki qismat main inaam nahi hota,
Din doobey hain ya doobi baaraat liye kashti,
saahil pay magar koi kuhraam nahi hota.....
Bookmarks