Results 1 to 7 of 7

Thread: Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai

  1. #1
    shams25 is offline Junior Member
    Last Online
    4th May 2010 @ 10:03 PM
    Join Date
    14 Jun 2009
    Location
    Oman
    Posts
    17
    Threads
    8
    Credits
    240
    Thanked: 1

    Default Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai

    Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
    Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

    Jahan Me Hain Ibrat Ke Har Soo Namoone
    Magar Tujhko Andha Kiya Rang-O-Boo Ne
    Kabhi Gaur Se Bhi Ye Dekha Hai Tu Ne?
    Jo Maamoor The Wo Mahel Ab Hain Sooone

    Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
    Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

    Mile Khaak Me Ahl-E-Shaan Kaise Kaise
    Makeen Ho Gaye La Makaan Kaise Kaise
    Hue Namwar Be Nishaan Kaise Kaise
    Zameen Kha Gayi Asman Kaise Kaise

    Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
    Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

    Ajal Ne Na Kisra Hi Chora Na Daara
    Isi Se Sikandar Sa Faateh Bhi Hara
    Har Ek Chor Ke Kya Kya Hasrat Sidhara
    Para Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara

    Tujhay Pehle Bachpan Ne Barso Khilaya
    Jawani Ne Fir Tujhko Majnoo Banaya
    Burhape Ne Fir Aa Ke Kya Kya Sataya
    Ajal Tera Kar Degi aik din Safaya

    Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
    Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

    Yehi Tujhko Dhun Hai Dikhoon Sabse Aala
    Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
    Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marne Wala?
    Tujhe Husn-e-Zahir Ne Dhoke Me Dala

    Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
    Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

    Woh Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mahel Bhi
    Jahan Taakh Me Khari Ho Ajal Bhi
    Bas Ab Is Jahalat Se Tu Nikal Bhi
    Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi

    Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
    Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

    Yeh Duniya-E-Fani Hai Mehboob Tujhko
    Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
    Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
    Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko

    Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
    Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

    Burhape Se Paa Kar Payam-E-Qaza Bhi
    Na Chaunka Na Cheta Na Sambhla Zara Bhi
    Koi Teri Gaflat Ki Hai Inteha Bhi?
    ****** Chor Kar Apnay Hoshoon Me Aa Bhi

    Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
    Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

    Jab Is Bazm Se Chal Diye Dost Aksar
    Aur Uthte Chalay Ja Rahe Hain Baraabar
    Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar
    Yahan Par Tera Dil Bahelta Hai Kyonkar?

    Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
    Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

  2. #2
    Join Date
    03 Sep 2009
    Location
    Lahore
    Age
    32
    Posts
    201
    Threads
    7
    Credits
    930
    Thanked
    0

    Default

    good

  3. #3
    Join Date
    03 Sep 2009
    Location
    Lahore
    Age
    32
    Posts
    201
    Threads
    7
    Credits
    930
    Thanked
    0

    Default

    good very good

  4. #4
    oioioioioi's Avatar
    oioioioioi is offline Senior Member+
    Last Online
    24th August 2012 @ 02:38 PM
    Join Date
    04 Jun 2009
    Location
    Behind Enemy Lines
    Gender
    Male
    Posts
    2,937
    Threads
    283
    Credits
    0
    Thanked
    502

    Default

    bohat achay ... agar yeh urdu main likhtay to aur acha tha .. phir bhi thankS

  5. #5
    shams25 is offline Junior Member
    Last Online
    4th May 2010 @ 10:03 PM
    Join Date
    14 Jun 2009
    Location
    Oman
    Posts
    17
    Threads
    8
    Credits
    240
    Thanked: 1

    Default Thanks



    Pasand karnay ka shukria, but bhai logo ye mainay nahi likhi hai ye to aksar Maulana Tariq Jameel Sahab apnay lecture main parhtay hain.

    Ap sub say request hay k mujhay apni duaoon main yad rakhain k shayed aap ki duayain meri nijat ka zarya bun jayen.

    Duaoon ka talbgar.

  6. #6
    Join Date
    23 Jul 2009
    Location
    Sindh سندھ
    Age
    41
    Posts
    1,150
    Threads
    56
    Thanked
    250

    Default

    ماشا َالله بہت اچھا اگر آپ یہ اردو میں لکھتے تو بہت اچھا ہوتا

  7. #7
    Aasi_786's Avatar
    Aasi_786 is offline Advance Member
    Last Online
    2nd February 2024 @ 10:00 PM
    Join Date
    14 Jan 2008
    Location
    Islamabad
    Posts
    19,001
    Threads
    2012
    Credits
    1,386
    Thanked
    1109

    Default

    Zabardast Sharing

Similar Threads

  1. Tum Nahin Karte Yaad Is Se Hamein Koi Farq Nahin Parta
    By AbidBaloch1 in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 6
    Last Post: 13th April 2021, 12:44 AM
  2. Replies: 3
    Last Post: 23rd December 2019, 07:42 AM
  3. DIL LAGANE KE HUM KO MILI YE SAZA
    By BILAL.MALIK. in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 2
    Last Post: 5th April 2017, 03:31 PM
  4. Solved Icon Lagane Ka Method
    By Abid_Majaaz in forum Solved Problems (IT)
    Replies: 6
    Last Post: 25th July 2012, 05:50 AM
  5. Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    By !*~ITDSTARS~*! in forum Baat cheet
    Replies: 33
    Last Post: 5th December 2009, 09:32 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •