Hai justaju ke khub se hai khubtar kahan
ab dekhiye theharti hai ja kar nazar kahan
ya rab is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha us ko hum se rabt, magar is qadar kahan
ham jis pe mar rahe hain wo hai bat hi kuch aur
alam mein tujhse lakh sahi tu magar kahan
hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zuban mein asar kahan
Bookmarks