ajnabi chehroun main ek mera shanasa mera dil
doundta phirata hai koi apane jaisa mera dil
aankh ne jazboun ki kitni dastanen kah gai
khoyi khoyi teri aankhen roya-roya mera dil
hijr ke sahara main teri yaad ka udata gubaar
ik musafir be-sar-o-saman-o-tanha mera dil
daman-e-dariya main kunjuon ke utarne ki sada
dubate suraj ka manzar thehra thehara mera dil
be-hamiyat zindagaani be-sada apana laho
karb ke lamhoun ke haathoun zaKhm sehata mera dil
Bookmarks