Zindagi ka har ek pal kiya hai tere naam maine...,
teri chaukhat pe aayi thhi,bas itna hi main kehne,
kya tha wo jo teri ankho me maine dekha,
laakh chupao tum,mujhse kuch na chupega,
pyar kiya hai tujhse,teri ankho ko samahti hoon,
yunhi nahi daawa tujhse pyar karne ka karti hoon,
tumhari zuban se lekar tumhari khamoshi tak ko chaha hai,
pyar main maine tujhse kabhi kuch bhi nahi maanga hai......,
main jaanti hoon tumne mujhse kabhi pyaar nahi kiya,
isiliye shayad maine kabhi izhaar bhi nahin kiya.....,
main chahti hoon bas itna ki tum khush raho,
chahe na baat karo mujhse,na kuch bhi kaho,
main samajh jaaungi khud tumhe kya kehna hai kab,
bas yahi duaa hai meri,tujhe har khushi de rab,
tum kabhi mere nahi hoge,phir bhi intezaar karungi tumhara,
shayad kabhi koi rishta ban jaaye mera - tumhaara..
Bookmarks