Woh mujh ko chorr k jaye to koi baat banay
kabhi naa laut key aaye to koi baat banay
merey liye to woh rota raha hai berson hi
aaj mujh ko bhi rulaye to koi baat banay
main rooth jaun gar us sey to bey'wafa na kahay
woh mar k mujh ko manaye to koi baat banay
main khud k barey main sochun to khud ko na paun
yun mujh sey mujh ko churaye to koi baat banay
main janti hun k hun naa'guzeer us k liye
woh baar baar bataye to koi baat banay
main jis sey huns k na bolun, woh us ko chorr chalay
yun merey naaz uthaaye to koi baat banay
woh mehfilon main bhi tanha rahay meri khatir
mujhay khalwat main hunsaye to koi naat banay
dehak sey utthain merey jism-o-rooh hiddat sey
woh zakham dil peh sajaaye to koi baat banay
Jiya kia jaaney ke hai hijer aur bismil kiya
woh aaj mujh ko bataye to koi baat banay !
Bookmarks