Jab saawan ghir ke aata hai
jab man panchi muskata hai
jab barkha toot barasti hai
aur badal saath pighalta hai
yeh mausam pagal kerta hai !
jab tan pe boondain girti hain
jab aik kami si jagti hai
kuch holay holay jalta hai
dil aap hi aap machalta hai
yeh mausam pagal kerta hai !
jab hawa main jhoolay lachkaayen
sat'rungi aanchal lehraayen
jab ik gori ki aankhon main
huns huns ker aansoo bhar aayen
tab dil kuch soch ke darta hai
yeh mausam pagal kerta hai !
jab ik main hun, ik sahil ho
aur sard hawa ke jhonkay hon
jab boondain jazbay dehkaayen
aur man ki jab yeh khuahish ho
k aankhain moondain mar jayen
jab her ahsaas ubharta hai
yeh mausam pagal kerta hai !
Bookmarks