Page 4 of 9 FirstFirst 1234567 ... LastLast
Results 37 to 48 of 98

Thread: ~*~Baber~*~Roman~*~Collection~*~

  1. #37
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Muhabbat Ko Muhabbat Ka Zara Ehsaas Hone Do

    Kya zamana tha hum roz mila karte the,
    Raat bhar chand ke hamrah chala karte the
    Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai
    Kabhi is shaks se hum pyar kiya karte the.
    kabhi ki hogi suraj ne chand se mohobbat,
    tabhi to chand me daag hai,
    mumkin hai ki chand se hui hogi bewafai
    tabhi to suraj me aag hai.
    محبت



    بڑا ہی خوبصورت جذبہ ہے
    پتہ ہی نہیں چلتا
    کب اور کیسے
    دل میں یوں اُبھر آتا ہے
    جیسے
    برسات کی اندھیری رات میں
    جگنو جھلملا اُٹھیں
    یا چپکے سے کوئی
    مسجد میں دیا جلا دے !

    Mobile Number Not Allowed......ITD Team

  2. #38
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default sochte hoge tum

    sochte hoge tum
    kiya
    meari jan mujhe bhool tu nahi gayin
    kitne hi mosam ayee guzur gaye
    kitne hi ghum
    ketni hi khushyan
    ayen aur chali gayen
    par
    tum sochte hoge
    meari jan tumne awaz nahi de
    hoga tumhe inteezar meara
    kabhi tum sochte hoge
    kiya meari jan be-wafa hai
    nahi
    tumhara dil gawahi deata hoga
    meari zindagi
    mujhe se bohat pyar karti hai
    tum wo sab baatein yaad karte hoge
    pyar ki khusyon ki
    meari tarhan
    jease mean yaad karti hon
    kabhi meara tasuwur
    apni ankhon mean saja ke
    ik lamhe ke ley
    bas
    ik lamhe ke ley
    be-taab ho jate hoge
    sochte hoge
    kahan chali gayi ho tum
    kahan chale gaye
    wo pyar ke din
    kease khali dil ke saath
    udaasi ke lamhe
    guzurtey honge tumhare
    hai na!
    ik be-yaqeeni ki se zindagi hai
    jo guzar rahi hai
    tum mujhe kabhi
    acha kehte hoge
    tu kabhi bura
    kabhi sochte hoge
    nahi
    mean bohat pyar karta hon
    pur mujhe lagta hai
    waqt ke saath saath is pyar pur
    waqt ki gird jumni shorowo ho gayi hai
    leakin leakin leakin
    meari jan
    meara pyar yonhi rahe ga
    pehle din ki tarhan
    tumhare ley
    hamesha hamesha hamesha

  3. #39
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Aaj us ki yaad nay humain tarpaya bohat

    Aaj us ki yaad nay humain tarpaya bohat
    Aaj na chahattay howay bhi woh yaad aaya bohat



    Us kay baad to jaisay vehshatoon say dosti ho gaye
    Phir kyon aaj tanhaiyoon nay darraya bohat



    Woh mera tha, mera hai, mera rahay ga
    Hum nay is khayal say khud ko behlaya bohat

    Shamma kay jalnay per hum afsoos kerain kyoon
    Hum nay bhi manind shamma khud ko jallaya bohat



    Hum nay jis kissi ko bhi humdard samjha ""
    Woh humaray dukh pay na janay kyon muskuraya bohat

  4. #40
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Chahat ki mehfil mein dil laga kar hum bhi dekhege,

    Chahat ki mehfil mein dil laga kar hum bhi dekhege,
    Teri rooh ko apna banakar hum bhi dekhege,

    Tum se jo kaha hai khawabo mein hum ne,
    Use haqeekat mein bayan kar hum bhi dekhege,

    Jis phasane ko aankhon se khete rahe hai hum,
    Unhi lafso ko hotho peh lakar hum bhi dekhege,

    Suna hai woh insaan hi kya jisne pyar na kiya ho,
    Chupke se hi sahi dil na diya ho,

    Pyar woh jazba hai jo pathar ko pigla de,
    To hum bhi is pathar se dil laagkar dekhege,

    Zaroori nahi ki tum badle mein hame pyar karo,
    Khudi-Khud ko tum par mitakar hum bhi dekhege.

  5. #41
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default apne haatho se u chehre ko chupatey q ho,

    apne haatho se u chehre ko chupatey q ho,
    mujh se sharmatey ho tou saamne atay q ho...

    tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa,
    pyar karte ho tou phir pyar chupatey q ho...

    ashq aankho mei mere dekh k rotey q ho,
    dil bhar aata hai to phir dil ko dukhatey q ho...

    in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
    mere shano se ye zulf hatatay q ho...

    roz mar mar k mujhe jeenay ko kehtey q ho,
    milne aatay ho to phir laut k jatay q ho...

    apne haatho se u chehre ko chupatey q ho,


    mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho...
    ashq aankho mei mere dekh k rotey q ho,
    dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate q ho...

    in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
    mere shano se ye zulf hatatay q ho...

    roz mar mar k mujhe jeenay ko kehtey q ho,
    milne aatay ho to phir laut k jatay q ho...

    apne haatho se u chehre ko chupatey q ho,


    mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho...

  6. #42
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Baat nikalegi to phir door talak jayeegi

    Baat nikalegi to phir door talak jayeegi,
    Log be-vajah udaasi ka sabab poochayengay,

    Yeh bhi poochayengay ki tum itni pareshaan kyon ho,
    Ungaliyan uthayengi sukhay huey baalon ki taraf,

    Ik nazar dekhyengay guzray huey saalon ki taraf,
    Choodiyon par bhi kai tanz kiyey jaayengay,

    Kaanptay haathon pay bhi fikray kasay jaayengay,
    Log zaalim hai, har ik baat ka taana dengay,

    Baaton baaton mein mera zikr bhi ley aayengay,
    Unki baaton ka zara sa bhi asar mat lena,

    Varna chehray kay taasur say samajh jaayengay,
    Chahey kuch bhi ho sawaalat na karna unsay,

    Meray baaray mein koi baat na karna unsay,
    Baat nikalegi to phir door talak jayeegi !

  7. #43
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Kabhi izhar lafzoon ka bhi acha nahin lagta

    Kabhi izhar lafzoon ka bhi acha nahin lagta
    kabhi iqrar jazbon ka bhi acha nahin lagta

    Kabhi laraztay hont bhi kai raz khol daitay hain
    kabhi dil ki darhkan main tera hi nam bajta hai

    Kabhi kisi takleef main bhi hum khushian manatay hain
    kabhi jo yad ayay tau khushiyoon main bhi ansoo bahatay hain

    Kabhi pahroon tumhain soch kar muskaratay hain kabhi
    samnay anay par hum chahra chupatay hain

    Kabhi dil yeh chahta hai kay tum door na jao
    magar jab pas atay ho to hum door jatay hain

    Kabhi zara si bat par hum tum say rooth jatay hain
    kabhi dil ki khwahish par hum tum ko manatay hain

    Dunya kay har mozoo par tum say bat rahti hai magar
    kabhi ankhoon main daikho to hum palkain jhukatay hain

  8. #44
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Badal gaye kuch is tarha kay ghum ka esaas be nai

    Badal gaye kuch is tarha kay ghum ka esaas be nai
    Log khushi ka deep dil may jalatay hai
    is dil may ghum ki be jaga nai
    Zindage choor day abb tu mara saath
    Kuch tootay howay ristay kuch yaadain
    Unkay sawa koi abb maray saath nai
    Zindage janay day humko is duniya say
    Duniya may koi apna sahara nai raha
    Jo zakam tumnay mujko diye hai nasoor ban gay
    Dhakta hai koi tu aik dard ban jata hai
    bad dua nikal rahi hai ajj maray dil say
    Bhool ker tujko dil say milta raha hoo may
    Zakaam jo tumnay mujko diye dard be tujko hoo
    Khushi hoo tari taray ghar may
    Dil may taray hoo raha hoo maray dard ka mataam

  9. #45
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default

    meri awaz mn jahan kahin laghzish ho gi
    mere mehboob wo aap ki nawazish hogi

    mere doston ne mujhe pyar se bulaya hy
    iss mn waqt ki koi na koi sazish ho gi

    aaj phir wo sharf-e-mulaqat bakhshain gay
    aaj phir aansoyon ki barish ho gi

    main rowan rowan bikhar k bhi ussi ki rahi
    mujhe pani ki usse kis qadar khahish ho gi

    waqt k taqazon ko pora karne k lie
    ab naye sire se kawish ho gi

  10. #46
    alone_heartt's Avatar
    alone_heartt is offline Junior Member
    Last Online
    19th July 2008 @ 12:03 PM
    Join Date
    24 Mar 2006
    Posts
    11
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Musafir tou bichhartay hain rafaqat kab badalti hai
    Muhabbat zinda rehti hai muhabbat kab badalti hai

    Tumhi ko chahtay hain hum tumhi se pyar kartay hain
    yehi barson se aadat hai tou aadat kab badalti hai

    Kali ka phool ban na aur bikhar jana muqaddar hai
    Yehi qanoon.e.fitrat hai to fitrat kab badalti hai

    Jo dil pe naqsh kar jaey aur aankhon mein simat aaey
    Alamat hai yeh chahat ki to chahat kab badalti hai

    Badal jatay hain mausam phool mein khushboo nahi rehti
    Maqar chahat k phoolon ki razaqat kab badalti hai

    Usay chaha usay pooja yehi touqeer hai apni
    Hamein gumrah mat samjho ibadat kab badalti hai

    Puranay zakhm ko arshad bhula dena he accha hai
    Na chahay aap he koi tou kismat kab badalti hai

    [IMG]http://img50.imageshack.us/img50/1323/nadeemyellowribbonheart5rf.gif[/IMG]

  11. #47
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default

    thanks nadeem bahi kia sahring hai ap ki.
    zaberdast
    kia baat hai.
    keep it up
    dil manga more

  12. #48
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Meri Tareek Ratoon Ka Roshan Koi TO Sitara Ho,

    Meri Tareek Ratoon Ka Roshan Koi TO Sitara Ho,

    Is Be Dard Zamaney Mein,Koi To Ho jo Hamara Ho,

    Jis k Aaney Se Meri Zindagi Mein Nikhaar Aaye,

    Kaya Dilkash Wo Nazaara Ho,Koi To Ho jo Hamara Ho,

    Jis k Pyar Mein Kho Jaoun Sirf Usi Ka Ho Jaoun,

    Or Wo Bhi Jaan Se Pyara Ho,Koi To Ho jo Hamara Ho,

    Jis k Sansoon Ki Khushboo Meri Rooh Ko Chuu Jaye,

    Jis Ka Umar Bhar Sahara Ho,Koi To Ho jo Hamara Ho,

    Chahat k Samandar Mein Hum Is Qadar Doob Jayain,

    Or GumShuda Kinara Ho,Koi To Ho jo Hamara Ho,

    Rasam_e_Talluq Nibhatey Huwe Mushkil Amir Gar Aa Jaye,

    Phir Bhi Sang Guzara Ho,Koi To Ho jo Hamara Ho,

Page 4 of 9 FirstFirst 1234567 ... LastLast

Similar Threads

  1. ~*~My Roman Urdu Poetry Collection~*~
    By cute_charming786 in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 245
    Last Post: 30th June 2022, 06:22 AM
  2. Replies: 92
    Last Post: 27th September 2012, 05:40 PM
  3. *~6 September Baber Hatif Haftm Mezail*!~
    By *~Zaka~* in forum Halat-e-Hazra
    Replies: 14
    Last Post: 10th September 2009, 02:39 AM
  4. 9 years "Baber Iqbal" The GREAT IT Professional of Pakistan.
    By Hamad Hussain in forum General Discussion
    Replies: 7
    Last Post: 9th September 2009, 10:59 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •