Page 5 of 9 FirstFirst ... 2345678 ... LastLast
Results 49 to 60 of 98

Thread: ~*~Baber~*~Roman~*~Collection~*~

  1. #49
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default yoon na mil mujh sey khafa ho jaise

    yoon na mil mujh sey khafa ho jaise
    sath chal mooj-e-saba ho jaise

    log yoon dehk ke hans dete hain
    tu mujhe bhool gaya ho jaise

    ishq ko shirk ki had tak na barha
    yoon na mil hamse khuda ho jaise

    maut bhi ayi to iss naz ke sath
    mujh pe ehsaan kiya ho jaise

    aise anjaan bane bethe ho
    tum ko kuch pata bhi na ho jaise

    hichkiyan raat ko ati hi rahien
    tu ne phir yaad kiya ho jaise

    zindagi beet rahi hai yoon hi
    ik be-jurm saza ho jaise
    محبت



    بڑا ہی خوبصورت جذبہ ہے
    پتہ ہی نہیں چلتا
    کب اور کیسے
    دل میں یوں اُبھر آتا ہے
    جیسے
    برسات کی اندھیری رات میں
    جگنو جھلملا اُٹھیں
    یا چپکے سے کوئی
    مسجد میں دیا جلا دے !

    Mobile Number Not Allowed......ITD Team

  2. #50
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Tum Ne To Keh Diya K Mohabbat Nahi Milli

    Tum Ne To Keh Diya K Mohabbat Nahi Milli
    Mujh Ko To Yeh Bhi Kehnay Ki Mohlat Nahi Milli

    Neendon K Des Jaatay to Koi Khawaab Dakhtay
    Lakin Diya Jalanay Se Fursat Nahi Milli

    Tujh Ko To Kher Shehar K Logon Ka Khof Tha
    Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Milli

    Be-Zaar Yoon Hooyea K Tere Ehad Main Hamain
    Sab Kuch Milla Sakoon Ki Dolat Nahi Milli

  3. #51
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Har koi talash ker raha hai kissi ka saath

    Har koi talash ker raha hai kissi ka saath

    Har koi dhak raha hai apna hum safar

    Har kisi ko sahara chahaye hai kisi ka

    Har kisi ko pyar chahay hai kisi ka

    Talash kernay say milta pyar kisi ka

    Talash may zindage guzaar datay hum

    Dundanay say milta ager Khuda-e-Raham

    Dundanay may zindage-o-akarat guzaar datay

    Milna hohe hai jo Khuda nay likha hai taqdeer may

    Dundanay say kubhi koi apna nahi milta

    Pyar kerna hai tu khuda say ker jo tarha hai

    Khubsorati say pyar kerna be koi pyar hai

    Khubsorati sari zindage taray saath nai hoti

    Moot hai tari apni usko apna seklay

  4. #52
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Kabhi izhar lafzoon ka bhi acha nahin lagta

    Kabhi izhar lafzoon ka bhi acha nahin lagta
    kabhi iqrar jazbon ka bhi acha nahin lagta

    Kabhi laraztay hont bhi kai raz khol daitay hain
    kabhi dil ki darhkan main tera hi nam bajta hai

    Kabhi kisi takleef main bhi hum khushian manatay hain
    kabhi jo yad ayay tau khushiyoon main bhi ansoo bahatay hain

    Kabhi pahroon tumhain soch kar muskaratay hain kabhi
    samnay anay par hum chahra chupatay hain

    Kabhi dil yeh chahta hai kay tum door na jao
    magar jab pas atay ho to hum door jatay hain

    Kabhi zara si bat par hum tum say rooth jatay hain
    kabhi dil ki khwahish par hum tum ko manatay hain

    Dunya kay har mozoo par tum say bat rahti hai magar
    kabhi ankhoon main daikho to hum palkain jhukatay hain

  5. #53
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default uss larki ka naam

    Zindagi Ki Khawahish Main
    Ek Benaam Si Manzil Par,
    Chalti Huey Yeh Larkian
    Kya Janain
    Yeh Raasta Unhain Kahan Tak Lay Jai Ga
    Waqt Ka Pahiya Jab Achanak Beraham Ho Jai Ga
    Wafa Ka Waada Karnay Wala Bewafa Keh Laai Ga
    Chahat Ka Daawa Karnay Wala, Tum Ko Dooshi Thehray Ga
    Tab Khulay Gi Ek Haqeeqat
    Yeh Duniya Mardoon Ki Hai
    Raaj Chalta Hai Chaar Soo Inka
    Qoum Humari Hai Bebus
    Dekho Tu Larki, Ghoor Karo
    Tum Hi Kyon Majboor Bano,
    Zalimoon K Zulm Saho,
    Kyon Tum Nay Banaya Khud Ko Beqas,
    Laachar,Majboor Aur Bebas,
    Kyon Ansoon Hain Taqdeer Tumhari,
    Kyon Khushiyaan Tum Say Rooth Gai Hain
    Kyon Auraat Hi Wafa Ki Dewi,
    Kyon Is K Zimmay Hai Qurbani,
    Shayad....
    Barsoon Say Aisa Hi Hota Aya Hai,
    Sadiyoon Tak Aisa Hi Hota Jai Ga,
    Ek Na Ek Din Har Jhoota Bharam Toot Hi Jai Ga,
    Haath Pakar Kar Chalnay Wala Jab Dhooka Day jai Ga,
    Yeh Rasta Sirf Aur Sirf Mout Tak Lay Jai Ga,
    Phir Tum Soocho Gi, Ghabrao Gi,
    Roo Lo Gi, Pachtao Gi,
    Suno Larki.....,
    Gaar Tum Bachna Chahti Ho, Zinda Rehna Chahti Ho,
    Apnay Qadam Wapis Lay Lo,
    Ab Bhi Waqt Hai Lout Aaoo,
    Lout Aaoo Tum Lout Aaoo

  6. #54
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default "Gham say Khushi Tak"

    aaya hai kooi soch key yeh duur sey abhi..

    ley jaai ga qareeb say meray qareeb ko


    mein sochta hoon kaun rakhey ga mera bharam

    lai jai ga Koi jo meray hum-raqeeb ko


    mein yaad mai rahoon ka maho uski shab-o-roz

    Ley jai ga koi jo meray Khuwaab-geer ko


    Mera wujood rahay ga na kisi kaam ka abus

    Lai jai ga koi jo meray La-wujood ko


    Per hai yaqeen mujhko meray hum-nasheen perr

    woh meri har ek aah ka rakhay ga bharam Yunn


    woh meri wafao kee iss khushbo ko hamesha

    rifaqaton kee mahek say mu-attar rakhay ga yunn


    hoon uski sooch key har ek gaam per main gaamzan ager

    woh meri sooch key sarapa hee rakhay ga qadam yunn


    Tasawooraat mai uskey jo mera aks numaayan hai

    woh ussi aks key saay mai rahay ga hamesha yunn


    Jaisay ho aagayee bahaar meray aangan mai

    Jaisay hon khil gaye sab phool meray aangan mai


    Jaisay ho parr rahee phuwaar meray aangan mai

    Jaisay ho ghanee chaoon meray aangan mai


    Jaisay kisi toofan say kashti nikal gayee

    Jaisay ho maut ko hayaat mil gayee


    Jaisay kisi banjar zameen ko barish ho mil gayee

    jaisay kisi sehra mai 'sahil' ko manzil ho mil gayee

  7. #55
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default kabhi kabhi

    KABHI KABHI
    Kabhi kabhi ek awaz aati hai
    Dil mein anjana saa shora machati hai.
    Kabh kabhi dil ki darkhain baar jatien hein
    Waqt ki nabaz per goom ker teraa naam per rokh jati hai.
    Kabhi kabhi kuch adohri shamein yaad aatien hein
    Jab tum saraa_sham diyaa jalatay tha meri yaadoon kay.
    Kabhi kabhi woh ghazlain mein dohrati hoon
    Zikra tha jin mein teraa un mein khoo jati hoon.
    Kabhi kabhi yeh tanhaiyein azab lagtien hein
    Teri refaqatien ek khawab latien hein.
    Kkabhi kabhi ankhain donhtien hein un lemhon koo
    Jab tun rootay to main tujay manati thi.
    Kabhi kabhi ek sawal din mein aata hai
    Mohabbat ka naakam khayal din mein aata hai.
    Kabhi kabhi barish ki asi poowar aati hai
    Jo meraa khawaboin koo heraa ker jati hai.
    Kabhi kabhi main tujay buhat yaad kerti hoon
    Phir bhi hir haal mein teraa shukriya adaa kerti hoon.
    Kabhi kabhi roo ka main khud hi chup ho jati hoon
    Kay main apnay ghamoon mein apni hi sathi hoon.
    *KABHI KABHI*

  8. #56
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Ek nadan si larki

    Ek nadan si larki
    Poocha main na sab saa
    Pyar...yeh pyar kya hai
    Dil baychan hota hai
    Ankhain poora nam hoti hein
    Khawab sohanay lagtaay hein
    Chand ki roshni dil ko choti hai
    Diyaay jal uthtay hein
    Qadam chaltey chaltey rokha jatay hein
    Deemi deemi gunganahtien hotien hein
    Kay hir pal mein woh mehsoosa hota hai
    Chahtien,sochien,yadien,shedatien, bar jatien hein
    Ager yahi pyar hai too
    Too
    Kyun mari baychan
    Meri poora nam ankhain
    Meraa sohanay khawab
    Meraa rokhatay huwa qadam
    Dil mein jaltay huway diyayaa
    Woh gunganahatien
    Meraa pyar ko woh nhi samaj payaa
    Ek nadan si larki
    AY NADAN TUN KYA JANA YAH PYAR KYA AHI

  9. #57
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Udas mosam k ratjagoon main

    Udas mosam k ratjagoon main
    Her ek lamha bikhar gaya hai
    Her ek saal rasta badal gaya hai
    Phir aise mosam main kon aaye
    Koi tu jaye
    Tere nigar ki musaftoon ko sameet laye
    Teri gali main humari sochain bakheir aaye
    Tujhe bataye k,koi kaise
    Uchalta hai wafa k motti
    Tumhari janib
    Koi tu jaye,
    Humari zaban main tujhe bula k tujhe sunaye
    Humari halat tujhe bataye
    Tujhe rulaye
    Tu
    Apnay b dil ko chain aaye.
    .................................................
    Toot jatay hain sabhi rishtay magar
    Dil se dil ka rabita apni jagga
    Dil ko hai tujh se na milne ka yakin likin
    Tujh ko panay ki duaa apni jagga,
    ................................................
    Dil ko teri chahat pa bharossa b bohat hai
    Aur tujh se bichrnay ka dar b nai jata
    ....................................
    Bohat taizi se duniya chein lay gi jab tujhe mujh se
    Tu phir is dil main mat uttar aiysta aiysat
    ............................................
    Tujh ko sochoon tu aisa lagta hai
    Jaise khushboo se rang milte hain
    Jaise sehra main aag jalti hai
    Jaise barish main phool khilte hain
    ................................
    Main ne her bar tujh se milte waqt
    Tujh se milne ki aarzoo ki hai
    Tere janay k bahad b main ne
    Teri khushboo se guftogoo ki hai
    ..............................................
    Kahan se dhoond k laoon abhi bane he nai
    Woh aaiyne jo tumain mere khawab dikhlain
    .................................................. ...........
    Tere baghair kisi chiez ki kammi tu nai
    Tere baghair tabiyat udass rehti hai
    .................................................
    Tujhe zaroor koi chatoon se dekhay ga
    Magar woh aankhain humari kahan se laye ga
    Tumharay sath yea mosam gulaboon jaisa hai
    Tumharay bahad yea mosam bohat sataye ga
    ...............................
    Pat jhar ki dayliez pa bikhray
    Bay chera patoon ki soorat
    Hum ko liye phirti hai
    Tere diyaan ki teiz hawa.
    ................................

  10. #58
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Dil totay to awaz dharkan may ray jati hai

    Dil totay to awaz dharkan may ray jati hai

    Aah na nikalay honto phir ansoo may bay jati hai

    Dil kay rastay may koi humsafar na mila humko

    Dondtay ray gay koi unsay na mila humko

    Parwana ban ker pertay hai har gali nokar

    Kushboo unkay be ansoowo ki rahi hoge kahe say

    Is umeed may zindage guzaaray gay hum abb tu

    Dard milta hai pyar kernay walo say he tu humko

    Kya baata hoo tumko abb unkay baray may

    Dard jitna diya hai humko takaleef utni hohe hai unko

    Dard say tu rista ban gaya hai kuch is tarha humarah

    Jis tarha zindage ka rista hota hai moot say

    Abb tu lagta hai dard humari jaan choray ga tab

    zindage hamari sansoo say rista toray ge jub

    Dil totay to awaz dharkan may ray jati hai

    Aah na nikalay honto phir ansoo may bay jati hai

  11. #59
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default Pagal

    tum kitney pyar se kehte mujhse

    pagal ho tum!

    mean hanss parhti

    kuin ke!

    kal hi tu tumne kaha hai

    pagal bana dea hai

    tumne mujhe

  12. #60
    heart_target786's Avatar
    heart_target786 is offline Senior Member+
    Last Online
    11th February 2009 @ 03:36 AM
    Join Date
    01 Apr 2006
    Location
    pakistan(faisal
    Posts
    458
    Threads
    68
    Credits
    1,075
    Thanked
    0

    Default

    jab sy dil ny tum ko chaha
    tum ko manga,tum ko pooja
    aik kami si,aik nami si
    man k andar sehem rahi hai
    karwat letii behel rahi hai
    sochain paly tehel rahi hai
    yun hi nahi woh dehel rahi hai
    han!zindagi itni sehel nahi hai
    jab sy dil ny tum ko chaha
    tum ko manga,tum ko pooja

Page 5 of 9 FirstFirst ... 2345678 ... LastLast

Similar Threads

  1. ~*~My Roman Urdu Poetry Collection~*~
    By cute_charming786 in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 245
    Last Post: 30th June 2022, 06:22 AM
  2. Replies: 92
    Last Post: 27th September 2012, 05:40 PM
  3. *~6 September Baber Hatif Haftm Mezail*!~
    By *~Zaka~* in forum Halat-e-Hazra
    Replies: 14
    Last Post: 10th September 2009, 02:39 AM
  4. 9 years "Baber Iqbal" The GREAT IT Professional of Pakistan.
    By Hamad Hussain in forum General Discussion
    Replies: 7
    Last Post: 9th September 2009, 10:59 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •