Salam
Is Thread main shayeri posts karni hai maine. Ok Khuda hafiz
Aaye hain samjhane log
Hain kitney divaane log
Dair-o-haram main chain jo milata
Kiun jaate maiKhaane log
Jaan ke sab kuchh, kuchh bhi na jaane
Hain kitane anjaane log
Waqt pe kam nah aate hain
Ye jaane pahachaane log
Ab jab mujh ko hosh nahi hai
Aaye hain samajhaane log
Manzil na de charaag na de hosala to de
Tinkey ka hi sahi tu magar aasara to de
Main ne ye kab kaha k mere haq main ho javaab
Lekin Khaamosh kiun hai tu koi faisala to de
Barson main tere naam pe khata raha fareb
Mere KHUDA kahan hai tu apna pata to de
Beshaq mere nasib pe rakh apana ikhtiyaar
Lekin mere nasib main kya hai bata to de ..
Bookmarks