Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 15

Thread: Aqwal-e-zareen

  1. #1
    Sanaullah1991's Avatar
    Sanaullah1991 is offline Senior Member+
    Last Online
    8th April 2010 @ 10:12 PM
    Join Date
    03 Sep 2009
    Location
    karachi
    Age
    32
    Posts
    159
    Threads
    32
    Credits
    935
    Thanked
    0

    Default Aqwal-e-zareen


    Logon Ki
    Zaroraton Ka
    Tum Se Wabasta
    Hona Tum Per
    ALLAH Ki
    Enyat Hai.
    (Imam Hussain A.S.)
    ----------------------

    Hazrat Ali A.S. Says
    Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
    Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay
    -----------
    sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho
    ( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
    [HAZRAT ALI (A.S.)
    -----------

    Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn
    k is main meri marzi hai aur
    Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn
    k ye ALLAh ki marzi hai
    ( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
    aisi cheezain hain jin k milnay say log
    badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat Ali A.S. )
    ----------

    Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
    to tum use door se dekh rahe ho,
    Ya phir gharoor se dekh rahe ho
    ( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.
    (Hazrat Ali A.S.)
    ------------

    GHULAB KA PHOL BNO!KYUNK YEH PHOL US K HATH ME BHI KHUSHBO CHOR DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI."Hazrat Ali A.S."
    ------------------------

    Mujhe Jannat se ziada
    Masjid mein bethna Acha Lagta hai
    kyunke
    Jannat mein mera NAFS khush ho ga
    jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
    Fermaan Hazrat Ali A.S.
    -----------

    Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
    K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay
    Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
    K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai..
    Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
    K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai...... ( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    Aik Shakhs Ne Hazrat Ali A.S. Sey Poocha,
    Q: Qarib Kya Hai?
    A: Qyamat
    Q: Or Qareeb Ter?
    A: Maut
    Q: Ajeeb Kya HAi?
    A: Duniya
    Q: Aur Ajeeb Tar?
    A: Talib-e-Duniya
    Q: Wajib Kya Hai?
    A; Toba
    Q: Or Wajib Tar?
    A: Gunah K Forun Bad Toba
    Q: Mushkil Kya Hai?
    A: Qaber Mein Utrna
    Q: Or Mushkil Tar?
    A: Amal K Bagair Utrna
    -----------

    Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    "Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    "2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
    1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
    2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
    ( Hazrat Ali A.S. )
    ----------

    Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
    Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
    Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy.
    ( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
    Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI a.s )
    -----------

    "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
    yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.."
    ( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
    1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
    2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
    3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
    4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!
    ( Hazrat Ali A.S. )
    --------------------

    Buaree main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti hay.( Hazrat Ali A.S. )
    ------------

    kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.( Hazrat Ali A.S. )
    ------------

    "Golden Words"
    "Her INSAN ki izat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai"
    ( Hazrat Ali A.S. )
    ------------

    "Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi"... .( Hazrat Ali A.S. )
    -----------

    Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai
    Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
    jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
    ( Hazrat Ali A.S. )
    ------------

    Tum acha karo aur zamzna tum ko bura samjhe
    ye tumaray haq main behtar he
    Bajaye es k tum bura karo aur
    zamana tum ko acha samjhe
    ( Hazrat Ali A.S. )
    ------------
    Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
    ( Hazrat Ali A.S.)
    ------------
    Bay shak dunya or akhrat ki misal
    asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian
    hon 1 ko razi karta ha to dosri roth
    jati ha
    HAZRAT ALI(A.S)
    ------------------------
    naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se dor ho jao gai.(Hazrat Ali A.S.)
    ------------
    "3 kaam kisi k dil main ap ki izat barhatay hain:
    1- Salam karna.
    2- Kisi ko jagah dena.
    3- ASAL NAM SE PUKARNA."
    (Hazrat Ali A.S.)
    ------------
    -Achi zindagi guzar ny k 2 tareeky hain.
    ¤ Jo pasand hain usay hasil kr lo
    ya Phr
    ¤ Jo hasil hain usay pasand kr lo.
    (Hazrat Ali A.S.)
    ------------
    3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge
    1.Ghusay wala Durust faisly se
    2.Jhoota Izzat se
    3.Jald baaz Kamyabi se.
    (Hazrat Ali A.S.)
    ------------
    Agr Tm Usy Na Pa Sako Jise Tm Chahte Ho,Tu Usy Zror Pa Lena Jo Tmhe Chahta Hy
    QK Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hy.
    HAZRAT ALI (A.S.)
    ------------

  2. #2
    noman_right is offline Member
    Last Online
    27th April 2015 @ 12:32 PM
    Join Date
    26 Jun 2008
    Posts
    587
    Threads
    1
    Thanked
    29

    Default

    jazak ALLAH

    Nice Sharing

  3. #3
    aliimran127's Avatar
    aliimran127 is offline Advance Member
    Last Online
    30th June 2023 @ 06:12 AM
    Join Date
    09 Oct 2008
    Age
    44
    Posts
    686
    Threads
    40
    Credits
    188
    Thanked
    64

    Default

    jazak ALLAH

  4. #4
    ABDUR RAHIM is offline Senior Member+
    Last Online
    12th November 2017 @ 01:25 AM
    Join Date
    07 Mar 2010
    Posts
    145
    Threads
    4
    Credits
    1,098
    Thanked
    4

    Default

    very nice

  5. #5
    fayazdubai's Avatar
    fayazdubai is offline Senior Member+
    Last Online
    1st January 2011 @ 08:08 PM
    Join Date
    11 Feb 2010
    Age
    40
    Posts
    1,282
    Threads
    381
    Credits
    0
    Thanked
    474

    Default

    salam nice sharing dear thanks

  6. #6
    Join Date
    28 Dec 2009
    Location
    ***************
    Gender
    Female
    Posts
    507
    Threads
    76
    Thanked
    20

    Default


    Great Sharing

  7. #7
    Aalik's Avatar
    Aalik is offline Advance Member
    Last Online
    15th November 2020 @ 03:31 PM
    Join Date
    08 May 2009
    Location
    Oghi (Mansehra)
    Age
    39
    Posts
    1,104
    Threads
    16
    Credits
    1,441
    Thanked
    20

    Default

    nice

    AHMED ALI KHAN OGHI

  8. #8
    Eagel_Gang's Avatar
    Eagel_Gang is offline Programmer
    Last Online
    6th September 2022 @ 12:21 PM
    Join Date
    09 May 2010
    Location
    Islamabad
    Age
    33
    Gender
    Male
    Posts
    951
    Threads
    60
    Credits
    1,385
    Thanked
    36

    Default

    Excellent Work Dear...

  9. #9
    waqasahmad1's Avatar
    waqasahmad1 is offline Advance Member
    Last Online
    14th May 2023 @ 11:51 PM
    Join Date
    27 Nov 2010
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    8,021
    Threads
    280
    Credits
    73
    Thanked
    599

    Default

    JazzakAllah

  10. #10
    Join Date
    29 Jul 2010
    Location
    JHeLuM
    Gender
    Male
    Posts
    2,949
    Threads
    170
    Credits
    142
    Thanked
    266

    Default

    BRiLianT BRo.

    THaNxXx............

  11. #11
    Psychosis's Avatar
    Psychosis is offline Senior Member
    Last Online
    19th October 2012 @ 12:16 AM
    Join Date
    14 Sep 2011
    Location
    BacK StreeT
    Age
    37
    Gender
    Male
    Posts
    264
    Threads
    1
    Thanked
    12

    Default

    Thaks for Sharing

  12. #12
    saifahmed18 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd January 2017 @ 01:15 PM
    Join Date
    13 Nov 2011
    Age
    41
    Gender
    Male
    Posts
    256
    Threads
    5
    Credits
    0
    Thanked
    6

    Default

    bohot achai mera bhai

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Aqwal-e-Zareen
    By mnaeem05 in forum General Knowledge
    Replies: 9
    Last Post: 9th November 2016, 05:56 PM
  2. aqwal Zareen
    By meerabkhan in forum Baat cheet
    Replies: 2
    Last Post: 10th May 2013, 11:50 PM
  3. ^^^^aqwal e zareen^^^^^^
    By M.Jawad in forum Islam
    Replies: 3
    Last Post: 4th November 2011, 06:44 PM
  4. Aqwal e Zareen
    By Zaamna in forum Islam
    Replies: 2
    Last Post: 29th October 2011, 11:33 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •