meray humsafar meray humnasheen
maine rab se manga to kuch nahi,
maine jab bhi mangi koi dua
nahi manga kuch bhi teray siwa,
ye talab kiya k meray khuda
sabhi rahatain sabhi chahatain
wo ata kare tujhe manzilain
ye talab kiya k meray khuda
tujhe bakht de
tujhe taaj de
tujhe takht de
meray humsafar meray charagr
ye hai pyaar ka kathan safar
meray saath chalna zara soch kar
zara dekh to mera hosla
meray paas jo bhi wo hai tera
nahi or kuch bhi teray siwa
meri dosti
meri saadgi
meri khamoshi
meri bebasi
mera ilm bhi
mera naam bhi
k meri subha
k meri shaam bhi
k jo mil sakain meray daad bhi
wo sabhi kuch tujhe ata kare
meray charagar tu yaqeen to kar
mujhay mangna tu na sikha
maine phir bhi mangi yahi dua
k gawahi dega mera khuda
maine jab bhi usay talab kiya....,
nahi manga kuch bhi teray siwa.
Bookmarks