Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin
Mein ne tab tab ye bataya ke tumhara mohsin
Log sadiyon ki khataon pe bhi khush baste hein
humko lamho ki wafaon ne ujada mohsin
wo tha jab paas to jeene ko bhi dil kerta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara mohsin
Usko pana to muqadar ki lakiroun mein nahi
Uska khona bhi karen kese gawara mohsin
Bookmarks