Aslam O Alykum!!!
mere pass wireless internet router hai jis mein sirf ek RJ45 port hai aur meine us ke agay ek LAN Switch (8 Ports) laga ke apnay samait 5 logo ko internet line de rakhi hai yani wireless to wired networking,
ab masla yeh hai ke chonkay sab ko direct router se auto ip detect kiya howa hai aur router mein bhi kisi kisam ki Band width control system nahi hai jis ki wajah se speed ka masla rehta hai yani agar koi ek kuch heavy website daikhta hai, zyada load dalta hai ya phir zyada downloading kerta hai to baqi sab ki speed baith jati hai,
to kiya koi mujhko bata sakta hai ke mein bgair XP Server ya phir ISA server ke kis tarhan se Brand Width Control Ker Sakta hon ta ke koi kitna bhi net use karay dosray ki speed mein kisi kisam ka koi faraq na nay paye

Shukriya