اب زرا یہ آیت بھی دیکھو "اور ا ن سے لڑو یہاں تک کہ فساد باقی نہ رہے اور اللہ کا دین قاہم ہوجاہے پھر اگر یہ باز آجاہیں تو سواء
ظالموں کے کسی پرسختی جاہز نہیں" سورۃ البقرہ آیت 193
اب زرا یہ آیت بھی دیکھو "اور ا ن سے لڑو یہاں تک کہ فساد باقی نہ رہے اور اللہ کا دین قاہم ہوجاہے پھر اگر یہ باز آجاہیں تو سواء
ظالموں کے کسی پرسختی جاہز نہیں" سورۃ البقرہ آیت 193
zolum he
image mai jo khawateen peh danday barsa raha hai...i think us ne pak army ki wardi pehnihoi hai...m i right? mr cry
Kia Ho Ga Iss Mulk Ka
lekin waqat ki zarorat muslah jehad hai
paletine may humri bhaion or bano per zulm ho raha is kay lia kon say jehad hai????
iraq may humri bhaion or bano per zulm ho raha is kay lia kon say jehad hai????
afganistan may bay guna marray ja rahay hain or kal ko yeah humaray sath bhi ho sakta hai
jis ummat ko aik jism qrar di giya uskay kitnay hisson par zulm ho raha or hum sirf jehad bl nafs kartay aur agar jehad kar nahi saktay to usko support to karsaktay ho na????????
jehad to qayyamat tak jari rehay ga issliya is ki mukhalfat chor do
Dear brother about2cry,
Aaap kay inn Talibani-darindoun, saffaak-qaatiloun kay Zulm-o-Sittam aur Jarraaim ki List bohot Lambi hay, aap kiss kisss tasweer par objection karo gayy, inn kay kisss kisss Gunah Par parday daalou gayy. Khudda naan karray lekin Jiss din ye aap kay bhai behen ya kissi azeez rishtay-daar ko bedardi say Zibah kar dain gayy tab shayed aap ko khud inn ki saffaaki aur Zalimana-khaslat ka andaza achhi tarrah ho jai ga.
Abhee tau mein aap kay saath woh videos share hee nahin ki jin mein ye Talibani-karrai-kay-qaatil sawat mein sawat kay masoom betoun ko Zibbah kar rahay hain, kiyunkay inn masoomoun nain Talibani-darindoun ki baat nahin maani aur unn ka saath nahin diyya, aaj bhee Sawat kay unn masoom shaheedoun ki maain inn Talibani-darindoun ko Jhouliyaan phayla phayla kar dil sayy bed-duaain deti hain, kaaash keh tum (about2cry) unn dukhi maaoun ka dard apnay seenay mein feel kar saktay, unhoun nain kitni jaan-joukhoun say apnay betoun ko pala pousa ho ga, kitni mehnat ki ho gi unn par, kitna piyaar karti houn gi apnay Jiggar-goshoun sayy, magar inn zaalim-talibanoun nain unn kay aik inkaar kar dene par unko bedardi say unn kay ghar waloun kay saamnay litta kar zibbah kar diyya.
Kaash tum kuchh soucho, kay yeh khooni-darinady kitnay barray Zaalim aur Faasiq hain. Woh videos Insaani-Huqooq ki aalimi tanzeem (Human-Rights-Watch) nain internet say mitwa dee hain. Lekin Khuda Gawah hay, kucch arsa pehle tak woh internet par moujood thee.
The Holy Quran Says:
"LA IKRAHA FI-D-DEEN" . (Quran, Sure Al-Baqarah, Ayat 256).
Translation: " Aur deen mein koi Zabardasti nahin" .
Last edited by popatpipa; 8th November 2009 at 10:59 PM.
about2cry ab bolo ...ye to shalwar qameez walai he hain na ya ye bhi army ki wardi hai
Bookmarks