Results 1 to 8 of 8

Thread: kuch GHAZALS

  1. #1
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Smile kuch GHAZALS

    Wahin rudaad-e-jaan thehri hui hai wahin zikr-e-iltemaas thehra hua hai,
    Jahan hum pichle dinon chup hue they wahin sara sukhan thehra hua hai,

    Ajab ratein ajab din hain humare pare hain dast-o-pa apne ganwa ker,
    Baha jata hai sara waqt lekin humara saal-o-sin thehra hua hai,

    Naya hota chala jata hai ye shehar mager ab bhi purani ek gali mein,
    Koi ghar hai jahan ek aaine mein koi aks-e-kohn thehra hua hai,

    Suno paighaam ye shah-e-****** ka khilaf-e-dasht batein band ker do,
    Tumhare shehar ki sarhad per aa ker abhi deewana pan thehra hua hai,

    Tumhi dariya mein utro farhat ahsaas naye lafz aue naye maani nikalo,
    Ke farsudah radifon qafiyon mein ghazal ka sara fun thehra hua hai.....!!

    ************************************************** ********************************************
    bhoOl shaYad bOhat bari Ker li,
    dil nY duniYa sY dOstii Ker li,

    tum mOhabbat kO Khail KehtY hO,
    hum nY barbaad zindagi Kar li,

    us nY deKha bari inaaYat sY,
    aanKhoOn aanKhoOn mein baat bhi Kar li,

    aashiqi mein bOhat zarOori hY,
    beWafaai Kabhi Kabhi Kar li,

    hum nahi jantY chiraaGhoOn nY,
    KiOon andhairoOn sY dOsti Kar li,

    dharKanein dafn hO gaYi hoOn gi,
    dil mein deeWaar KioOn Khari Kar li...

    ************************************************** *********************
    Us Ki Ankhoo'n Mai Dharakta Hai Ghazzab Ek Sawaal,
    Us Ne Bandha Meray Anchal Se Ajjab Ek Sawaal,

    Neend Khawaboo'n Se Jo Uljhi Hai Seher Honay Tak,
    Justuju Ek Tammana Thi, Tallab Ek Sawaal,

    Apni He Zaat Se Karna Hai Kinaraa Mujh Ko,
    Pochna Ho Tu Rahoo'n Meher-ba-Lab Ek Sawaal,

    Meray Khawaboo'n Se Bhi mujhay Aasi Tanhai Di,
    Mujh Se Pocha He Nahi Ajj Ki Shub Ek Sawaal,

    Janti Hoon Kay Aaye Ga Ba-Waqat-e-Rukhsat ,
    Mujhay Uljhay Kisi Orr Sabub Ek Sawaal,

    Meray Kaisay Mai Nahi Is Kay Koi Jawaab,
    Us Kay Kassay Mai Raha Jaan Balub Ek Sawaal,

    Is Barrus Baam Se Guzeray Ga Ager Mousam-e-Gul,
    Mai Bhi Pochoo'n Gi Basad-e-Ejiz-o-Addab Ek Sawaal...

    -----------------------------------------------------------------------

    mana k terey dill mai koi aur makee'n hai,
    tu bhi tau meri jaan hai aur mera yaqee'n hai,

    mai jabr k sajdo'n mai giroo'n toot na jaao'n,
    patthar k Khudao.. meri shishey ki jabee'n hai,

    aainey tujhey teri khabar de na saken'gey,
    aa dekh meri aankh mai tu kitna hasee'n hai,

    deewar mai chunwa k mujhey jurm e wafa par,
    ai merey shehnshah tu paresha'n to nahee'n hai,

    palko'n se tha tarasha, jisey hamm ne wo heera,
    matt puchh k wo kiski angoothi ka nagee'n hai...

    ************************************************** ******************
    Pani ki lehron pe harf-e-bayan likhna chorh do,
    Saahil pe rait k kacche makaan banana chorh do,

    Chaho to be-sabab chaho mujhe werna,
    Meri maano to chahat k asbaab banana chorh do,

    Zamana naam hai mushkilon aur nafraton ka,
    Mujhe zamane k liyeh ya mere liyeh zamana chorh do...!

    -------------------------------------------------------------------------


  2. #2
    *khuahish* is offline Member
    Last Online
    18th December 2013 @ 01:24 PM
    Join Date
    19 Oct 2009
    Age
    33
    Posts
    485
    Threads
    53
    Thanked
    48

    Default

    Wah
    Zabardast
    Bohat acchi shayari share ki hai aap ne
    Shukriy a
    keep sharing

  3. #3
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default

    Pasand karne ka shukriya .... thanks

  4. #4
    thbkallar's Avatar
    thbkallar is offline Advance Member
    Last Online
    2nd November 2022 @ 01:44 PM
    Join Date
    17 Oct 2008
    Location
    The Land of Legends
    Age
    39
    Posts
    833
    Threads
    184
    Credits
    1,337
    Thanked
    37

    Default

    bhut khubbbbb

    +++++++++++++++++++++
    +++++++++++++++++++++
    Hazrat Muhammad S.A.W said Duniya mein agar 4 cheezain tumharay paas hon to tumhein nuqsan nahi hoga Sachi Zaban' Amanat Dari' Khush Ikhlaqi' Rizq-e-Halal'

  5. #5
    saifi88 is offline Senior Member+
    Last Online
    8th December 2010 @ 05:00 PM
    Join Date
    16 Apr 2009
    Location
    AAP KE DIL MEIN
    Age
    43
    Posts
    6,513
    Threads
    28
    Credits
    990
    Thanked
    247

    Default

    Thanks 4
    nice sharing.........

  6. #6
    Gr8^Masood's Avatar
    Gr8^Masood is offline Senior Member+
    Last Online
    18th September 2013 @ 10:50 AM
    Join Date
    23 Jul 2009
    Location
    Khi
    Age
    39
    Gender
    Male
    Posts
    42,351
    Threads
    1398
    Credits
    970
    Thanked
    2855

    Default


    اسلام علیکم
    بہت خوب .... عمدہ انتخاب
    امید ہے آپ اُردو ادب کے بزم
    کو اسی طرح اچھے اور
    معیاری اشعار سے سجاتے رہینگے
    شکریہ
    محسود

  7. #7
    Imran Butt's Avatar
    Imran Butt is offline Senior Member+
    Last Online
    17th February 2010 @ 04:49 PM
    Join Date
    04 Feb 2010
    Age
    36
    Posts
    66
    Threads
    0
    Credits
    955
    Thanked
    6

    Default

    nice sharing........

  8. #8
    Join Date
    15 Dec 2009
    Location
    Islamabad
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    724
    Threads
    23
    Credits
    1,193
    Thanked
    29

    Default

    nice

Similar Threads

  1. Gulzar ki kuch ghazals
    By BARi_Bhatti in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 11
    Last Post: 5th March 2017, 02:25 AM
  2. Eid ghazals
    By sahir ch in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 19
    Last Post: 21st September 2015, 01:22 PM
  3. ~*~John Eliya ki kuch Ghazals~*~
    By BARi_Bhatti in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 11
    Last Post: 18th July 2010, 09:21 AM
  4. kuch asi bhaty jo khud kuch samta hai... aur kuch nahi samjta..
    By naveed_NSkhan in forum Happy New Year 2024
    Replies: 9
    Last Post: 29th December 2009, 10:40 AM
  5. Mirza Ghalib Ki Kuch GHAZALS
    By BARi_Bhatti in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 7
    Last Post: 25th November 2009, 12:16 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •