Results 1 to 8 of 8

Thread: Mirza Ghalib Ki Kuch GHAZALS

  1. #1
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Smile Mirza Ghalib Ki Kuch GHAZALS

    a ki meri jan mein qarar nahi hai,
    taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai,

    dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle,
    nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai,

    giriya nikle hai teri bazm se mujh ko,
    haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai,

    ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir,
    khak mein ushshaq ki gubar nahi hai,

    dil se utha lutf-e-jalwa haye mani,
    gair-e-gul aina-e-bahar nahi hai,

    qatl ka mere kiya hai ahad to bare,
    waye! agar ahad ustawar nahi hai,

    tu ne qasam maikashi ki khai hai 'Ghalib',
    teri qasm ka kuch aitabar nahi hai...

    Mirza Ghalib


    ----------------------------------------------------------

    aah ko chahiye ik umr asar hone tak,
    kaun jita hai teri zulf k sar hone tak,

    dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang,
    dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak,

    ashiqi sabr-talab aur tamanna betab,
    dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak

    ham ne mana k taaful na karoge lekin,
    khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak..

    Mirza Ghalib

    ----------------------------------------------------

    aina kyun na dun k tamasha kahen jise,
    aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise,

    hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein,
    guldasta-e-nigah suweda kahen jise,

    phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda,
    afsun-e-intazar tamanna kahen jise,

    sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye,
    wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise,

    hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan,
    shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise,

    darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko,
    subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise,

    "ghalib" bura na man jo waiz bura kahe,
    aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise...

    Mirza Ghalib

    -----------------------------------------------------
    amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost,
    dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost,

    ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar,
    kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost,

    khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye,
    surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost,

    ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe,
    kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost,

    chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai,
    dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost..

    Mirza Ghalib
    ----------------------------------------------------------------
    arz-e-niyaz-e-ishq k qabil nahi raha,
    jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha,

    jata hun dag-e-hasrat-e-hasti liye hue,
    hun shamma-e-kushta darkhur-e-mahfil nahi raha,

    marne ki ai dil aur hi tadbir kar k main,
    shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahi raha,

    ba-ru-e-shash jihat dar-e-ainabaz hai,
    yan imtiaz-e-nakis-o-qamil nahi rahaa,

    wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn,
    gair az nigah ab koi hail nahi raha,

    go main raha rahin-e-sitam haye rozgar,
    lekin tere khayal se gafil nahi raha,

    dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit k wan,
    hasil siwaye hasrat-e-hasil nahi raha,

    bedad-e-ishq se nahi darta magar 'Asad',
    jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha..

    Mirza Ghalib
    ---------------------------------------------------------
    bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai,
    gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai,

    tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai,
    raqib par hai agar lutf to sitam kya hai,

    sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani,
    yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai...

    Mirza Ghalib

    -----------------------------------------------------------
    bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai,
    bhatke hue insan se kuch bhul hui hai,

    ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein,
    phulon k nigehban se kuch bhul hui hai,

    jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai,
    us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai,

    hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe,
    mere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai,

    huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat,
    zahid tere irfan se kuch bhul hui hai...

    Mirza Ghalib

    -------------------------------------------------------------
    bas k dushwar hai har kam ka asan hona,
    admi ko bhi mayassar nahi insan hona,

    giriya chahe hai kharabi mere kashane ki,
    dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona,

    wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko,
    ap jana udhar aur ap hi hairan hona,

    jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai,
    jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona,

    ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch,
    id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona,

    le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat,
    tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona,

    ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana,
    lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona,

    ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba,
    haye us zodpasheman ka pasheman hona,

    haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib',
    jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona..

    Mirza Ghalib


    ---------------------------------------------------------------------
    bazicha-e-atfal hai duniya mere age
    hota hai shab-o-roz tamasha mere age

    ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
    ik bat hai ejaz-e-masiha mere age

    juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur,
    juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age,

    hota hai nihan gard mein sehra mere hote,
    ghista hai jabin khak pe dariya mere age,

    mat puch k kya hal hai mera tere piche,
    tu dekh k kya rang hai tera mere age,

    sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun,
    baitha hai but-e-aina sima mere age,

    phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar,
    rakh de koi paimana-e-sahba mere age,

    nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra,
    kyon kar kahun lo nam na us ka mere age,

    iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr,
    kaba mere piche hai kalisa mere age,

    ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam,
    majnun ko bura kahti hai laila mere age,

    khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate,
    ai shab-e-hijaran ki tamanna mere age,

    hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho,
    ata hai abhi dekhiye kya-kya mere age,

    go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai,
    rahne do abhi sagar-o-mina mere age,

    hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera,
    'ghalib' ko bura kyon kaho acha mere age...

    Mirza Ghalib
    ---------------------------------------------------------------------

    be-aitadaliyon se subuk sab mein ham hue,
    jitne ziyada ho gaye utne hi kam hue,

    pinhan tha dam sakht qarib ashiyan k,
    urne na paye the k giraftar ham hue,

    hasti hamari apni fana par dalil hai,
    yan tak mite k ap ham apni qasam hue,

    sakhtikashan-e-ishq ki puche hai kya khabar,
    wo log rafta-rafta sarapa alam hue,

    teri wafa se kya ho talafi ki dahar mein,
    tere siwa bhi ham pe bahut se sitam hue,

    likhte rahe junun ki hikayat-e-khunchakan,
    harchand is mein hath hamare qalam hue,

    Allah re! teri tundi-e-khu jis k bim se,
    azza-e-nala dil mein mere rizqe-ham hue,

    ahal-e-hawas ki fatah hai tark-e-nabard-e-ishq,
    jo panw uth gaye wo hi un k alam hue,

    nal-e-adam mein chand hamare supurd the,
    jo wan na khinch sake so wo yan aa k dam hue,

    chori 'Asad' na ham ne gadai mein dillagi,
    sail hue to ashiq-e-ahal-e-karam hue...

    Mirza Ghalib
    -------------------------------------------------------------
    chahiye achon ko jitna chahiye,
    ye agar chahen to phir kya chahiye,

    sohbat-e-rinda se wajib hai hazar,
    ja-e-mai apne ko khencha chahiye,

    chahne ko tere kya samjha tha dil,
    bare ab is se bhi samjha chahiye,

    chak mat kar jeb be ayyam-e-gul,
    kuch udhar ka bhi ishara chahiye,

    dosti ka parda hai beganagi,
    munh chupana ham se chora chahiye,

    dushmani main meri khoya gair ko,
    kis qadar dushman hai dekha chahiye,

    apni ruswai main kya chalti hai sai,
    yar hi hangama ara chahiye,

    munhasir marne pe ho jis ki umid,
    naumidi us ki dekha chahiye,

    gafil in mah talaaton k waste,
    chahne wala bhi acha chahiye,

    chahte hain khubruon ko asad,
    ap ki surat to dekha chahiye...

    Mirza Ghalib
    -----------------------------------------------------
    dard minnat kashe-dawa na hua,
    main na acha hua, bura na hua,

    jama karte ho kyon raqibon ko,
    ik tamasha hua gila na hua,

    ham kahan qismat azmane jayen,
    tu hi jab khanjar azma na hua,

    kitne shirin hain tere lab k raqib,
    galiyan khak bemaza na hua,

    hai khabar garm un k ane ki,
    aj hi ghar mein boriya na hua,

    kya wo namard ki khudai thi,
    bandagi mein mera bhala na hua,

    jan di, di hui usi ki thi,
    haq to yun hai k haq ada na hua,

    zakhm gar dab gaya lahu na thama,
    kam gar ruk gaya rawa na hua,

    rahzani hai k dilsitanee hai,
    lek dil, dilsitan rawa na hua,

    kuch to parhiye k log kahte hain,
    aj 'ghalib' gazalsara na hua...

    Mirza Ghalib


  2. #2
    Join Date
    05 Nov 2009
    Location
    USA
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    1,195
    Threads
    90
    Credits
    0
    Thanked
    131

    Default

    Bohat zbardast mojood bhai

  3. #3
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default

    thanks boy

  4. #4
    ^NajanyQ^'s Avatar
    ^NajanyQ^ is offline Advance Member
    Last Online
    5th January 2021 @ 10:37 AM
    Join Date
    23 Mar 2009
    Location
    ھزارہ
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    13,306
    Threads
    439
    Credits
    995
    Thanked
    701

    Default

    Very nice sharing bro...*

  5. #5
    12rounds is offline Member
    Last Online
    10th August 2010 @ 07:31 PM
    Join Date
    22 Oct 2009
    Location
    Faisalabad
    Age
    36
    Posts
    1,023
    Threads
    182
    Thanked
    28

    Smile

    Nice Sharing.
    Thanks For sharinG



    I Proud to Be A PakistanI

  6. #6
    Aasi_786's Avatar
    Aasi_786 is offline Advance Member
    Last Online
    2nd February 2024 @ 10:00 PM
    Join Date
    14 Jan 2008
    Location
    Islamabad
    Posts
    19,001
    Threads
    2012
    Credits
    1,386
    Thanked
    1109

    Default

    Bohat umdha ... !!

  7. #7
    Najaf Ali is offline Member
    Last Online
    31st May 2017 @ 12:20 PM
    Join Date
    06 Oct 2009
    Location
    Karachi Pakistan
    Posts
    1,563
    Threads
    64
    Thanked
    56

    Default

    Haq Mojood shukreya bohut umda sharing ki hay aapne g thank you very much

  8. #8
    saifi88 is offline Senior Member+
    Last Online
    8th December 2010 @ 05:00 PM
    Join Date
    16 Apr 2009
    Location
    AAP KE DIL MEIN
    Age
    43
    Posts
    6,513
    Threads
    28
    Credits
    990
    Thanked
    247

    Default

    Thanks 4
    nice sharing.........

Similar Threads

  1. Mirza Ghalib
    By kmyaseenkhan in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 1
    Last Post: 5th February 2022, 06:33 AM
  2. Mirza Ghalib
    By kmyaseenkhan in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 3
    Last Post: 5th February 2022, 06:30 AM
  3. kuch GHAZALS
    By BARi_Bhatti in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 7
    Last Post: 8th February 2010, 11:31 AM
  4. Mirza Ghalib
    By allbestmessages in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 1
    Last Post: 21st July 2009, 10:08 PM
  5. mirza ghalib
    By jams_88 in forum Ask an Expert
    Replies: 1
    Last Post: 2nd May 2009, 06:14 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •