Results 1 to 12 of 12

Thread: Gulzar ki kuch ghazals

  1. #1
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default Gulzar ki kuch ghazals

    "CHOTI SI GHALAT FEHMMI KER DAY GI JUDA HUM KO
    HALAT NA DABLAIN GEY MALOOM NA THA HUM KO

    RISHTOON KI HUMHAIN ITNI PEHCCHAN NA THE PEHLAY
    KEHNAY KO MARASIM TO APNAY PEY BOHHAT ROAY

    ASHKOON KEY SIYA LEYKIN KUCH BI NA MILI HUM KO
    HALAT NA DABLAIN GEY MALOOM NA THA HUM KO

    UTTH TAY HUAY QADMOOO MAIN ZANGEER SI PAR JATI
    EEESAAAS NEDAMMAT SEY TEHHLEEZ BIGAR JATI

    AIK BAR MOHABAT SE DEYTAY JO SAAADA HUM KO
    HALAT NA DABLAIN GEY MALOOM NA THA HUM KO

    CHOTI SI GHALAT FEHMMI KER DAY GI JUDA HUM KO
    HALAT NA DABLAIN GEY MALOOM NA THA HUM KO

    Gulzar
    ------------------------------------------------------------
    Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main,
    Teray masoom sawalon say pareshan hoon main,
    Jeenay k liye soch hi nahi, dard sambhalnay hoan gain,
    Muskuraein tou muskuranay k karz utaarnay hoon gay,
    Muskuraon kabhi to lagta hai,
    Jaisay honton pay karz rakha hai,
    Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main,

    Aaj agar bhar aaie hai boondain baras jayen gee,
    Kal kiya pata inn k liye aankhain taras jayen gee,
    Janay kahan ghum hua,
    Aik ansoo chupa k rakha thaa,
    Tujh say naraz nahi zindagi , hairan hoon main,

    Zindagi teray ghum nay humain rishtay naye samjhye,
    Milay jo humain dhoop main milay, chaoon k thanday saye,
    Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main,
    Teray masoon sawaloon say pareshan hoon main...

    Gulzar
    ------------------------------------------------------------------
    kitabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
    bari hasrat se takti hain
    maheeno ab mulakatein nahi hoti

    jo shaamein inki suhbat main kata karti thein, ab aksar
    guzar jaati hain computer ke pardon par
    badi bechain rahti hain kitabein

    inhe ab neend mein chalne ki aadat ho gayi hai
    koi safha palatta hoon to ik siski nikalti hai
    kayi lafzon ke maani gir bhi parte hain
    jo rishte woh sunaatee thein woh saare udhre udhre hain

    aur woh jo kitaabon mein, mila karte the sookhe phool
    kitne maangne, giraane, uthaane ke bahaane rishte bante the
    na jaane unka kya hoga?

    woh shaayad ab nahi honge!

    Gulzar
    ----------------------------------------------------------------------
    kissi din meray ghar aao,
    meray kamray main baitho,
    or har ek shay ko dekho,
    book shelf main pari hoye,
    kitabain or dairiyan,
    maiz par rakhi hoye tasveerain,
    or guldaan main murjhaye hoye phool,
    tumhain batain gay,
    draaz main mojood cassetes,
    deewaron par lagay cards,
    tum par ayan karain gay,
    kay kessay meray armaano'n nay teray khuab dekhay thay,
    agar ho sakay to kissi din meray ghar aao,
    deewaron par khuday hoye huroof,
    or bistar par naqsh bayqrari tum pay ayan karay gi,
    kay meri aarzoo'oan nay kis tarah tumhari aarzoo ki hai,
    or kessay meray khuabon nay tumharay khuab dekhay hain,
    agar ho sakay to kissi din meray ghar aao...

    Gulzar
    -------------------------------------------------------------------
    Mein Aksar Raat Main Tanha Akele Main,
    Tumhi Ko Yaad Karta Hoon,
    Tumhari Jheel Si Sharmati Aankhoon Ko,
    Jo Mujh Ko Deekh Kar Ek Pal Haya Ke Lal Pardon Main,
    Simat Si Jati Theen,
    Tumhare Haanth Ke Thande Paseene,
    Jo Tanha Deekh Kar Mujh Ko Bari Chahat Se Aatee Thay,
    Mein Joon Hi Haanth Main Apne Tumhara Haath Leeta Tha,
    Mere Haanthoon Ki Garmi Se,
    Paseene Bhap Ban Ke Iss Fiza Mein Kho Se Jate Thay,
    Unhi Ko Yaad Karta Hoon,
    Wo Jab Thak Kar Tumhari Goud Mein Sar Rukh Ke Soota Tha,
    Tum Apni Zulf Ki Thandi Hawaoon Ke,
    Hazaroon Qaflee Le Kar Mere Chehre Pe Jhukti Theen,
    Baree Hi Pyar Se Jab Mujh Ko Takti Theen,
    Aur Kehti Theen,
    Apni Aankhoon Ko Band Rukhna,
    Mujhay Bus Dekhne Dena,
    Aur Dheeree Se Mere Maathay Ko Apne Hoontoon Se Choo Kar,
    Tum Apne Pyaree Hanthoon Se,
    Chupanee Ke Liye Khud Ko Meri Aankhoon Ko Dhakti Theen,
    Wo Lamhee Yaad Karta Hoon,
    Mein Ab Tanha Hoon,
    Bohut Masroof Rehta Hoon,
    Subha Se Shaam Tak Iss Dhoop Main Khud Ko Ragarta Hoon,
    Thakan Se Choor Hokee Loot Ke Jab Ghar Ko Aata Hoon,
    Udasi Ke Ghanee Badal Mere Dil Pe Baraste Hain,
    Unhi Badal Se Buchne Ko,
    Laga Ke Shoola Hoontoon Se Mein Chuth Pe Bhaag Jata Hoon,
    Tehelta Hoon, Bohut Beechen Hota Hoon,
    Tumhi Ko Yaad Karta Hoon,
    Ke Tum Hoteen Tu Yee Hota, Ke Tum Hoteen Tu Wo Hota...

    Gulzar
    ----------------------------------------------------------------------
    mera kuch saaman

    mera kuch saamaan tumhare pas padaa hai,
    saawan ke kuch bhige-bhige din rakhe hai,
    aur mere ek khat me lipati raat padi hai,
    woh raat bhoojhaa do,mera woh saamaan lauta do...

    patjhad hai kuch ...hai na?
    patjhad me kuch pattoN aahat,
    kanoN me ek baar pehen ke laut aaee thee,
    patjhad ki woh shakh abhi tak kanp rahi hai,
    woh shakh giraa do,mera woh saamaan lauta do...

    ek akeli chatri me jub aadhe aadhe bhig rahe thye,
    aadhe sookhe,aadhe geele,sookha to mai le aaee thee,
    geela man shayad bistar ke pas padaa ho,
    woh bhijwa do,mera woh saamaan lauta do...

    ek sau saalaa chand ki rateN,
    ek tumhaare kaandhe ka til,
    gili mehendi ki khushboo,
    jhoothmooth ke shikwe kuch,
    jhoothmooth ke wade bhi sab yaar karaa dooN,
    sab bhijwa do,mera woh saman lauta do,

    ek ijaajat de do bass,
    jub inko dafnaaungi,
    mai bhi wahiN so jaungi...
    mai bhi wahiN so jaungi...


    Gulzar
    --------------------------------------------------------------
    •Nazm ulajhii huii hai siine main,

    •Misare aTake hue hain honThon par,

    •UDate-phirate hain Titaliyon kii tarah,

    •Lafz kaaGaz pe baiThate hii Nahi,

    •kab se baiThaa huu.N main jaanam,

    •saade kaaGaz pe likhake NaaM teraa,

    •bas teraa naam hii mukammal hai,

    •isay behtar bhii Nazm kyaa hogii !!

    Gulzar
    -------------------------------------------------------
    Yeh zindagi bari ajeeb si,
    Kabhi gulzar si kabhi bezar si,
    Kabhi khushi hamaray sath sath,
    Kabhi gammon ki barsat si,
    Yeh zindagi bari ajeeb si,
    Kabhi tofanon main bhi hain rastay,
    Kabhi manzilon ka pata nahi,
    Kabhi do kadam pay zindagi,
    Kabhi saddeuon tak intizar si,
    Yeh zindagi bari ajeeb si,
    Kabhi her pal emtihan hai,
    Kabhi bin mangay enam hai,
    Kabhi kuch nahi Kabhi sab kuch si,
    Yeh zindagi bari ajeeb si,
    Kabhi gulzar si kabhi bezar si...

    Gulzar
    ----------------------------------------------------------------

  2. #2
    Nahid's Avatar
    Nahid is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd June 2013 @ 12:02 PM
    Join Date
    06 Aug 2009
    Location
    ALLAH ki panha main
    Gender
    Female
    Posts
    12,059
    Threads
    905
    Credits
    960
    Thanked
    2774

    Default

    Bohat aacha collection hai janab..thanks for sharing...

  3. #3
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Smile thx

    Quote nahid said: View Post
    Bohat aacha collection hai janab..thanks for sharing...
    passand karne ka shukriya thanks

  4. #4
    thbkallar's Avatar
    thbkallar is offline Advance Member
    Last Online
    2nd November 2022 @ 01:44 PM
    Join Date
    17 Oct 2008
    Location
    The Land of Legends
    Age
    39
    Posts
    833
    Threads
    184
    Credits
    1,337
    Thanked
    37

    Default

    great sharing


    thx for sharing
    Hazrat Muhammad S.A.W said Duniya mein agar 4 cheezain tumharay paas hon to tumhein nuqsan nahi hoga Sachi Zaban' Amanat Dari' Khush Ikhlaqi' Rizq-e-Halal'

  5. #5
    saifi88 is offline Senior Member+
    Last Online
    8th December 2010 @ 05:00 PM
    Join Date
    16 Apr 2009
    Location
    AAP KE DIL MEIN
    Age
    43
    Posts
    6,513
    Threads
    28
    Credits
    990
    Thanked
    247

    Default

    Thanks 4
    nice sharing.........

  6. #6
    mhafeez is offline Member
    Last Online
    9th June 2010 @ 01:40 PM
    Join Date
    30 Aug 2009
    Location
    *~Aawaara Baadlou'n main~*
    Posts
    3,778
    Threads
    287
    Thanked
    239

    Default

    brother ye shayeri ap agar ek ek ghazal kar ke share karte to shayad subko parhne main aasaani hoti aur doosri sharing ko parhne ka bhi time miljata...Thanx for your nice sharing bro....keep sharing wid us....**

  7. #7
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default

    Quote thbkallar said: View Post
    great sharing


    thx for sharing

    thanks you so much...... Pasand karne ka shukriya brother....

  8. #8
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default

    Quote saifi88 said: View Post
    Thanks 4
    nice sharing.........
    thanks brother passand karne ka boht shukriya...

  9. #9
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default

    Quote mhafeez said: View Post
    brother ye shayeri ap agar ek ek ghazal kar ke share karte to shayad subko parhne main aasaani hoti aur doosri sharing ko parhne ka bhi time miljata...Thanx for your nice sharing bro....keep sharing wid us....**
    thank u soo much brother ... inshallah ab k baar next sharing aise hi karo ga .. boht shukriya passand karne ka ....

  10. #10
    iamshaby is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd January 2024 @ 01:28 PM
    Join Date
    10 Sep 2009
    Location
    Paradise on Earth means Pakistan
    Age
    50
    Gender
    Male
    Posts
    318
    Threads
    12
    Credits
    0
    Thanked
    33

    Default

    salam

    dear friend have anybody gulzar poetry books in pdf formate, plz let me know about website for the very purpose. regards

  11. #11
    Join Date
    24 Sep 2013
    Location
    Loading !!!!!!!
    Age
    26
    Gender
    Male
    Posts
    654
    Threads
    106
    Credits
    123
    Thanked
    31

    Default

    Quote BARi_Bhatti said: View Post
    "CHOTI SI GHALAT FEHMMI KER DAY GI JUDA HUM KO
    HALAT NA DABLAIN GEY MALOOM NA THA HUM KO

    RISHTOON KI HUMHAIN ITNI PEHCCHAN NA THE PEHLAY
    KEHNAY KO MARASIM TO APNAY PEY BOHHAT ROAY

    ASHKOON KEY SIYA LEYKIN KUCH BI NA MILI HUM KO
    HALAT NA DABLAIN GEY MALOOM NA THA HUM KO

    UTTH TAY HUAY QADMOOO MAIN ZANGEER SI PAR JATI
    EEESAAAS NEDAMMAT SEY TEHHLEEZ BIGAR JATI

    AIK BAR MOHABAT SE DEYTAY JO SAAADA HUM KO
    HALAT NA DABLAIN GEY MALOOM NA THA HUM KO

    CHOTI SI GHALAT FEHMMI KER DAY GI JUDA HUM KO
    HALAT NA DABLAIN GEY MALOOM NA THA HUM KO

    Gulzar
    ------------------------------------------------------------
    Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main,
    Teray masoom sawalon say pareshan hoon main,
    Jeenay k liye soch hi nahi, dard sambhalnay hoan gain,
    Muskuraein tou muskuranay k karz utaarnay hoon gay,
    Muskuraon kabhi to lagta hai,
    Jaisay honton pay karz rakha hai,
    Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main,

    Aaj agar bhar aaie hai boondain baras jayen gee,
    Kal kiya pata inn k liye aankhain taras jayen gee,
    Janay kahan ghum hua,
    Aik ansoo chupa k rakha thaa,
    Tujh say naraz nahi zindagi , hairan hoon main,

    Zindagi teray ghum nay humain rishtay naye samjhye,
    Milay jo humain dhoop main milay, chaoon k thanday saye,
    Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main,
    Teray masoon sawaloon say pareshan hoon main...

    Gulzar
    ------------------------------------------------------------------
    kitabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
    bari hasrat se takti hain
    maheeno ab mulakatein nahi hoti

    jo shaamein inki suhbat main kata karti thein, ab aksar
    guzar jaati hain computer ke pardon par
    badi bechain rahti hain kitabein

    inhe ab neend mein chalne ki aadat ho gayi hai
    koi safha palatta hoon to ik siski nikalti hai
    kayi lafzon ke maani gir bhi parte hain
    jo rishte woh sunaatee thein woh saare udhre udhre hain

    aur woh jo kitaabon mein, mila karte the sookhe phool
    kitne maangne, giraane, uthaane ke bahaane rishte bante the
    na jaane unka kya hoga?

    woh shaayad ab nahi honge!

    Gulzar
    ----------------------------------------------------------------------
    kissi din meray ghar aao,
    meray kamray main baitho,
    or har ek shay ko dekho,
    book shelf main pari hoye,
    kitabain or dairiyan,
    maiz par rakhi hoye tasveerain,
    or guldaan main murjhaye hoye phool,
    tumhain batain gay,
    draaz main mojood cassetes,
    deewaron par lagay cards,
    tum par ayan karain gay,
    kay kessay meray armaano'n nay teray khuab dekhay thay,
    agar ho sakay to kissi din meray ghar aao,
    deewaron par khuday hoye huroof,
    or bistar par naqsh bayqrari tum pay ayan karay gi,
    kay meri aarzoo'oan nay kis tarah tumhari aarzoo ki hai,
    or kessay meray khuabon nay tumharay khuab dekhay hain,
    agar ho sakay to kissi din meray ghar aao...

    Gulzar
    -------------------------------------------------------------------
    Mein Aksar Raat Main Tanha Akele Main,
    Tumhi Ko Yaad Karta Hoon,
    Tumhari Jheel Si Sharmati Aankhoon Ko,
    Jo Mujh Ko Deekh Kar Ek Pal Haya Ke Lal Pardon Main,
    Simat Si Jati Theen,
    Tumhare Haanth Ke Thande Paseene,
    Jo Tanha Deekh Kar Mujh Ko Bari Chahat Se Aatee Thay,
    Mein Joon Hi Haanth Main Apne Tumhara Haath Leeta Tha,
    Mere Haanthoon Ki Garmi Se,
    Paseene Bhap Ban Ke Iss Fiza Mein Kho Se Jate Thay,
    Unhi Ko Yaad Karta Hoon,
    Wo Jab Thak Kar Tumhari Goud Mein Sar Rukh Ke Soota Tha,
    Tum Apni Zulf Ki Thandi Hawaoon Ke,
    Hazaroon Qaflee Le Kar Mere Chehre Pe Jhukti Theen,
    Baree Hi Pyar Se Jab Mujh Ko Takti Theen,
    Aur Kehti Theen,
    Apni Aankhoon Ko Band Rukhna,
    Mujhay Bus Dekhne Dena,
    Aur Dheeree Se Mere Maathay Ko Apne Hoontoon Se Choo Kar,
    Tum Apne Pyaree Hanthoon Se,
    Chupanee Ke Liye Khud Ko Meri Aankhoon Ko Dhakti Theen,
    Wo Lamhee Yaad Karta Hoon,
    Mein Ab Tanha Hoon,
    Bohut Masroof Rehta Hoon,
    Subha Se Shaam Tak Iss Dhoop Main Khud Ko Ragarta Hoon,
    Thakan Se Choor Hokee Loot Ke Jab Ghar Ko Aata Hoon,
    Udasi Ke Ghanee Badal Mere Dil Pe Baraste Hain,
    Unhi Badal Se Buchne Ko,
    Laga Ke Shoola Hoontoon Se Mein Chuth Pe Bhaag Jata Hoon,
    Tehelta Hoon, Bohut Beechen Hota Hoon,
    Tumhi Ko Yaad Karta Hoon,
    Ke Tum Hoteen Tu Yee Hota, Ke Tum Hoteen Tu Wo Hota...

    Gulzar
    ----------------------------------------------------------------------
    mera kuch saaman

    mera kuch saamaan tumhare pas padaa hai,
    saawan ke kuch bhige-bhige din rakhe hai,
    aur mere ek khat me lipati raat padi hai,
    woh raat bhoojhaa do,mera woh saamaan lauta do...

    patjhad hai kuch ...hai na?
    patjhad me kuch pattoN aahat,
    kanoN me ek baar pehen ke laut aaee thee,
    patjhad ki woh shakh abhi tak kanp rahi hai,
    woh shakh giraa do,mera woh saamaan lauta do...

    ek akeli chatri me jub aadhe aadhe bhig rahe thye,
    aadhe sookhe,aadhe geele,sookha to mai le aaee thee,
    geela man shayad bistar ke pas padaa ho,
    woh bhijwa do,mera woh saamaan lauta do...

    ek sau saalaa chand ki rateN,
    ek tumhaare kaandhe ka til,
    gili mehendi ki khushboo,
    jhoothmooth ke shikwe kuch,
    jhoothmooth ke wade bhi sab yaar karaa dooN,
    sab bhijwa do,mera woh saman lauta do,

    ek ijaajat de do bass,
    jub inko dafnaaungi,
    mai bhi wahiN so jaungi...
    mai bhi wahiN so jaungi...


    Gulzar
    --------------------------------------------------------------
    •Nazm ulajhii huii hai siine main,

    •Misare aTake hue hain honThon par,

    •UDate-phirate hain Titaliyon kii tarah,

    •Lafz kaaGaz pe baiThate hii Nahi,

    •kab se baiThaa huu.N main jaanam,

    •saade kaaGaz pe likhake NaaM teraa,

    •bas teraa naam hii mukammal hai,

    •isay behtar bhii Nazm kyaa hogii !!

    Gulzar
    -------------------------------------------------------
    Yeh zindagi bari ajeeb si,
    Kabhi gulzar si kabhi bezar si,
    Kabhi khushi hamaray sath sath,
    Kabhi gammon ki barsat si,
    Yeh zindagi bari ajeeb si,
    Kabhi tofanon main bhi hain rastay,
    Kabhi manzilon ka pata nahi,
    Kabhi do kadam pay zindagi,
    Kabhi saddeuon tak intizar si,
    Yeh zindagi bari ajeeb si,
    Kabhi her pal emtihan hai,
    Kabhi bin mangay enam hai,
    Kabhi kuch nahi Kabhi sab kuch si,
    Yeh zindagi bari ajeeb si,
    Kabhi gulzar si kabhi bezar si...

    Gulzar
    ----------------------------------------------------------------
    Nice Brother...
    RANA ADEEL ARSHAD


  12. #12
    Baazigar's Avatar
    Baazigar is offline V.I.P
    Last Online
    24th April 2024 @ 04:11 AM
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,912
    Threads
    482
    Credits
    148,899
    Thanked
    970

    Default

    Nice Collection

Similar Threads

  1. zindagi gulzar hai
    By Refan in forum Design Poetry
    Replies: 2
    Last Post: 6th October 2022, 07:28 PM
  2. Dard (By Gulzar)
    By rizwan_kiyani in forum Design Poetry
    Replies: 10
    Last Post: 27th July 2018, 04:23 PM
  3. ~*~John Eliya ki kuch Ghazals~*~
    By BARi_Bhatti in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 11
    Last Post: 18th July 2010, 09:21 AM
  4. kuch GHAZALS
    By BARi_Bhatti in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 7
    Last Post: 8th February 2010, 11:31 AM
  5. Mirza Ghalib Ki Kuch GHAZALS
    By BARi_Bhatti in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 7
    Last Post: 25th November 2009, 12:16 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •