HAR SAGAR K DO KENARAY HOTAY HEIN
KHUCH LOG JAN SE PEYARAY HOTAY HEIN
YE ZARORI NAHI HAR KOI PAS HO ZINDAGE MEIN
YADION K B SAHRAY HOTEY HEIN
----------
apne qatil ki zahanat se pareshan hon main
roz ek moat naye tarz ki ijaad karay
----------
Mushkilat itni bhi nhi k zindagi haar jain ge hum
Jab tak chalain gi sasain in ko asan banain ge hum
----------
INSAAN ITNA KHUDGHARZ KIYUN HOTA HAI
HUM PE HAMARAY FRAIZ KA QARZ KIYUN HOTA HAI
CHAH K BHI HUM KIYUN KISI KO SAMAJH NHI PATAY
KISI KO SAMAJHNA ITNA MUSHKIL KIYUN HOTA HAI
----------
Ek pal jo tujhe bhoolne ko sochta hun Fraz
Meri sansen meri taqdir se ulajh jati hain
----------
kuch sitaroon ki chamak nhi jati
kuch yadoon ki khank nhi jati
kuch logoon se hota hai easa Rishta
ke door rah ke bee un ki mahk nhi jati
----------
Is Haseen Mosam me Jab Yad Tumari Aati he
Dil Tarpta he Aur Jan Nikal jati he
Kese Guzaren ye Barsat ki Sard shamein
Barish ki har Bond Teri Yad De jati he
----------
Is Haseen Mosam me Jab Yad Tumari Aati he
Dil Tarpta he Aur Jan Nikal jati he
Kese Guzaren ye Barsat ki Sard shamein
Barish ki har Bond Teri Yad De jati he
----------
Piyaas aisi ke pee jaon samunder saaray
Naseeb aisa ke Muyassar “Zeher” bhi nahi
Wafaain koi humse seekhay “Faraz”
“Jisse” toot ke chaha “Usse” khabar nahi
----------
Jin se Aanchal bhi duppatay ka sumbala na Giya
Un Se kia khak meray dil ki hifazat hogi
----------
Ajeeb Dastoor Hai Tere Mai-Khane Ka Saaqi
Jaam Usse Milta Hai Jisse Pina nahi Aata
Me Khuddar Hon Izhar-e-Talab Kar Nahi Sakta
Saaqi Ye Samajhta Hai Mujhay Piyas Nahi Hai
----------
palkon k band tor k daaman pe aa gira
ik aansu mere zabt ki tauheen kar gaya
----------
Tumhara naam likh likh kar mittana bhool jata houn
Tumhain jab yaad karta hun bhulana bhoool jata houn
Bahot si aisi batain hain jo mery dil main rehti hain
Magar jub tum se milta houn sunnana bhool jata houn
----------
Kisi ki yaad main palkain zara bhigo letay
Udaas raat ki tanhaiyon main ro letay
Dukhon ka bojh akele nahi sambhalta hai
Kahin woh milta to us se lipat k ro letay
Agar safar main hamara bhi hamsafar hota
Bari khushi se in hi pattharon pe so letay
----------
Mohabbat k chand ko apni panahon main rehne do
Lab na kholo ankhon ko kehne do
Dil pe hath rakho or kuch dair rehne do
Mujhe mehsus karo or pas hi rehne do
----------
bus ek haan k intezar mein raat yuhin guzar jaay gi
ab tu bus uljhan hai saath mere neend kahan aay gi
subha ki kiran najaney koun sa sandesh lay gi
rimjhim si gungunay gi ya piyaas adhoori reh jaiy gi
----------
Teri Chahat ka sila yaad nahi
Yaad hai hr jurm saza yaad nhi
Torr kr Humsafri ka rishata
Woh kahan chor gaya yaad nhi
Apne girne ka sabab yaad to hai
Kis bulandi se gira yaad nhi
Yaad hai uska bicharna hum ko
Phir hume jo b Milla yaad nhi
----------
pocha jo unsay chand nikelta hai kis tarhan
zulfon ko rukh pay dall k jhatka diya key yon
----------
Mat khol mrer dil ka udas darwaza
Hawa ka shor meri uljhan barha de ga
Me khoob waqif hn apne "TABEEB'' ki fitret sy
Wo jab de ga dard to rula de ga
----------
Qadam rukh se gaey hain phool bikhte dekh kar
Main aksar uss se kehta tha Mohabbat phool hoti hai
----------

Saaz Tanha, Awaaz Tanha
Uske Bin Parwaaz Tanha
Uske Dil Ko Kya Pata Hai
Mere Dil Ke Raaz Tanha
Kaise Kar Payenge Ab
Ek Naya Aagaaz Tanha
----------
apni har sans main abaad kya hai tumko
meri jan bohat yaad kiya hai tumko
meri zindgi main tum nahi to kuch nahi
humney is qadar pyar kia hai tumko
----------
mohabat ki saza bemisal de us ne
udas rahana ke adat dal de us ne
main na jab b apanana chaha us ko
baton baton mein baat tal de us na
----------
kuch batan hum sa suna karo
kuch batan hum sa kiya karo
muja dil ki bat bata dalo
tum hont na apnay siya karo
jo bat labon tak na aa saki
wo ankhon sy keh dia karo
kuch baten khana mushkil han
tum chehry sy parh liya karo
----------
phr chand khila phir raat thami
phir dil ne kaha teri hay kami
phir yaad kay jhonky mehk gay
phir pagal arman bahk gay
phir janat c lagti hai zamen
phir dil ney kaha teri hay kami
----------
Ay shamy ghareeban too he bata kab shamy ghareeban bety gi
Ham aj bhe tanha hain in rang bhary bazaron main
----------
ab mein samjha us ki chamakti ankhoun ka raz
wo rota nahin ansoun ko qaid ker leta hai
----------
TUJHE PYAR MERA SATAYE GA AKSAR
YADON K TOFAN UTHAYEGA AKSAR
ZIKAR MERA KRNE SE PHLY
TU KUCH SOCH K MUSKURAYE GA AKSAR
MERA NAAM LIKH KR KITABON MAIN APNI
TO LOGON K DAR SAY MITAY GA AKSAR
----------
chahny waly muqadar se mila kartay hain faraz
is baat ko wo samjha mere jane k baad
----------
meray mayaar ko samjhnay k liay itna he kafi hai
mein us ka hargiz nahin hota jo her kisi ka ho jaay
----------
ISHQ-E-WAFA MA HAM YON SOOLI PAY CHAR GAY
ESA BHI A GIA THA MANZIR YE DEKHNAY
----------
Ah hawa ab agar tera guzar sher-a-jana sy ho toh
sargoshion main kehna k tum bahot yad atay ho
----------
Jis shaks ki khatir duniya ke her sukh ko meine chor dia
us shaks ne meri ankhon ko askhon se jorr dia
Mein prem nagar ki baasi thi ek chahat ki mein pyaasi thi
na pyaas bhuji na prem mila ek pathar se dil jorr lia
----------
Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bus Mujh Say Yoonhi Bicharr Gaya Tha
Lafzoon Ki Hadoon Say Mawara Tha
Aab Kis Say Kahoon Woh Shakhs Kia Tha
----------
mujh ko khud se juda mat samajna kabi
tooto gay tum to bikhar jaon ga mai
----------
kiya ajub ahtisab apna tha
jaan apni azaab apna tha
kuch millay loog zamanay saaz
kuch muqadar kharab apna tha
ye k mukhlis thay hum doosti main
jurm bus ye janab apna tha
ab kiya krna us shakhs sy gilla kr k faraz
wo b to intikhab apna tha
----------
HAYA ANKHO MAY HO TO PARDA DIL KA HE KAFI HAY YASIR
WARNA NAQABON SAY BHI HOTAY HAIN ISHARAY MUHABAT K
----------
meri pagal mohabbat tumhain yaad ayegi
jab chand sitare chamak rahen hon
jab yaadoon ke phool mehak rahe hon
jab deed ko naintaras rahe hon
jab ankhoon se ansoo baras rahe hon
meri pagal mohabbat tumhain yaad ayegi
----------
Log muntazir he rahey kay hamain toota dekhain
Hum zabet krtey krtey pathar kay ho gaye
----------
Hum mein kaya hai ka humein koi yaad kara
Log tu Achay Achon ko bhula detay hain
Teray shehar ka dekha yeh Usool hai
Giray Pattta tu Darkht jala detay hain
----------
BE_AITBAAR SHAKHS THA SO WAAR KAR GYA
LAKIN MERY SHAOOR KO BEDAAR KR GYA
KUCH MAIN NY ISHTEAL MAIN SHIKWY GILY KIAY
KUCH WO SHAKAYTEIN SAR_E_BAZAAR KAR GYA
PEHLY WO MERI ZAAT KI TAMEER MAIN RAHA
PHIR MUJKO APNY HATH SY MASMAAR KR GYA
WO AA MILA TO FASLY KAT_E_TY CHALY GAYE
BICHRA TO RASTY MERY DUSHWAAR KAR GYA
----------
FRAAZ DOSTOO SY NAHI KUCH GILA MUJHY
BARBAAD KAR GIYA MERA ZOUQ_E_WAFA MUJHY
JIN DOSTOO NY HAAL NA POOCHA TMAAM UMR
RAHI AAJ TAK UNHI SY UMEED_E_WAFA MUJHY
----------
MERY HAMSAFAR KA YEH HUKAM THA
K MAIN KALAAM US SY KAM KAROON
MERY HOUNT AISAY SILAY K PHIR
MERI CHUPP NY US KO RULA DIA
----------
wahan tak le gai mujh ko meri anna sagher
jahan tak ja kar muqaddar k sitarey toot jatey hein
----------
Atay jatay saray mousam us sy nisbat rkhtay hain
us ka hijar khizaon jaysa us ka qurab bhaaroon sa
----------
bichar k phir milain gay yakeen kitna thaa
thaa to ik khawab magar haseen kitna thaa
woh mujhay chor gya meray zawal sy pehlay hi
haseen to thaa hi zaheen kitna thaa
----------
mere hathon main jo hota agar sooraj ka nizam FARAZ
Teri rahon main kabi dhoop na aane data
----------
sada ati hai mere dil se faraz
kiya tere dil se bi sada aati hai
----------
udas lamhon ka na koi malal rakhna
tufan me bhi wajood sambhal rakhna
kisi k liye shart-e-zindagi ho tum
kisi ki khatir hi apna khayal rakhna
----------
wo parinda jise apni parwaz se fursat na thi faraz
aj tanha hua to meri hi deewar par aa betha
----------
us ki bewafai par bhi fida hoti he jan apni faraz
Khuda jane agar us me wafa hoti to kiya hota
----------
jo hum mehsus karte hain
agar tum tuk ponch jae
to bas itna samjh lena
ye un jazbon ki khushbu he
jinhen hum keh nahi sakte
magar tum jo ijazat do
to chand lafzon me kehdun k
tum bin jee nahi sakte
k tum bin mar nahi sakte
----------
bat pay bat tum ko yad kartay ha
bhol kar zat tum ko yad kartay ha
rooth jati ha nend bhi ham say
jis rat tum ko yad kartay ha
----------
jo do bhanwar tere galoon pe raqs kerty hain
Dil aaj bhi in hi tugyanio me reha ha
----------
tum sy buhat kuch kehna hay
Mager kabhi tm nai milty ho to kabhi lafaz nai milty
aik nai dunia basana chata ho
Mager
kabhi neend nai ati aobhi khuwab nai milty
yeh doorian to mita do main aik pal main
Mager
kabhi qadam nai chlaty to kabhi rishty nai milty
----------
To kisi or ki jageer hay ay jan-e-ghazal
Log tofan utha day gy mere sath na chal
Phely haq tha tere chahat k chaman per mera
Phely haq tha tere khushbo_e_badan per mera
Ab kisi or k shanon pey hay tera anchal
Log tofan utha day gy mere sath na chal
----------
rooth jane ki ada hum ko bhi aati he faraz
kash hota koi hum ko bhi manane wala
----------
hazaron tukre kiye usne mere dil k faraz
khud hi ro para har tukre per apna naam dekh kar
----------
mudaton bad mila to mera naam pooch liya faraz
bicharte waqt jisne kaha tha tum bht yaad aaoge
----------
karenge tark-e-talluk,ye tumse wada raha faraz
badan se saans ka rishta to tut jane do
----------