Aik chota sa larka tha main jin dinon,
Aik chota sa larka tha main jin dinon,
Aik mailay main pohocha humakta hoa,
Ji machhalta tha ik ik shay pe magar,
Jaib khali thi kuch mol lay na saka,
Lot aya liye hasratain sainkron,
Aik chota sa larka tha main jin dinon,
Khair mahroomiyon k wo din to gaye,
Aaj maila laga hai usi shan say,
Aaj chahoon to ik ik dukan mol loon,
Aaj chahoon to sara jahan mol loon,
Naarsai ka ab ji main dharka kahan?
Par wo chota sa alhar sa larka kahan.
[CENTER][IMG]http://i46.tinypic.com/ddou9z.jpg[/IMG]
[/CENTER]
Bookmarks