Asslam-O-Alaikum
ITD k tamam doston ko mera salam
Dosto! kiya koi aisa software hai k jis sey hum window ki file's jo k Winrar main hon ya kisi aur extension main hoon aur usay hum ISO main convert kar k bootable cd bana saken.
Abhi main Window's k baray main ITD main search kar raha tha kuch Windows mujhe pasand bhi aaen, main nay download bhi ki hain lakin wo .rar extension main hain.
Agar kisi dost ko aisa software ka pata hai tou kindly bata day lakin software ka use asaan hona chahye, Matlab k aik ya do step main files ISO main convert ho jean aur software ka use bhi bata dain.
main bohat shukar guzaar hoon ga.
Bookmarks