Aye Naye Saal bata tujh main naya kia hai?
Har taraf khalaq nai kion shor machaya hai
Roshni din ki wohi, Taron bhari raat wohi
Aaj bhi hum ko nazar aati hai hur baat wohi
Aasman badla hai, na badli hai ye afsurda zameen
Ek hindsay ka badalna koi jiddat to nahi
Pichlay barson ki tarha hon gai qareenay tere
Kisey maloom nahi 12 mahinay tere
Besabab detay hain kion loog mubarak baaden
Sub kia bhool gaye waqat ki karwein yaadain?
Tu naya hai to dekha, subha nayi shaam nayi
Warna in ankhon nai dekhe hain naye saal kayee.....
Bookmarks