Page 3 of 20 FirstFirst 12345613 ... LastLast
Results 25 to 36 of 233

Thread: Ghazalz Collection

  1. #25
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    9

    Tum Mosam Mosam lagtay ho


    Jo pal pal Rang bdaltay ho

    Tum Sawan Sawan lagtay ho

    Jo Sadyoo bad Barastay ho

    Tum Sapna Sapna lagtay ho

    Jo Mujh ko kam kam dikhtay ho

    Tum pal pal Mujh say Lartay ho

    Per phir bhee Achay lagtay ho

    Baat to hai Sharmeeli si

    Par Kehnay ko dil karta hay

    Lo Aj Yeh hum ne Keh hi Dala

    TUM MUJH KO ACHAY LAGTAY HO

  2. #26
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    10

    SAGHAR SADDIQI

    Kab hoi Pyaar ki Barsaat humay Yaad nahi
    Khof mein Doobi Mulaqat hume Yaad nahi

    Hum to Madhosh thay itna us ki Chahat mein
    Us nay Kab Chor dia sath Hume Yaad nahi

    Zindagi Jabr-E-Musalsal ki trah Kati hai
    Janay kis Jurm ki pai hay Saza Yaad nahi

    Me nay Palko say Dar-E-Yaar par Dastak di hay
    Mein wo Sail hon jise koi Sada Yaad nahi

    Aao Ek Sajda karein Aalam-E-Madhoshi mein
    Log kehtay hein Saghar ko KHUDA Yaad nahi

  3. #27
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    11


    Ye Ghzal meri Jaan teray Naam Aakhri hay


    Hamara Yeh tum ko Salam Aakhri hay
    Suno Aaj tum say Kalam Aakhri hay

    Dilon ki Batein Dilon mein rahein gi
    Mulaqat ki Lakin yeh Sham Aakhri hay

    Chaho jo ge bhar k pi lo issay tum
    Deedar ki may ka yeh Jaam Aakhri hay

    Dil-E-Muztarab bara Bechain-O-Behis
    Chahat ka lagta hay Muqaam Aakhri hay

    Aaj k Baad mein na Zinda milon ga
    Meri Zindagi ka Yeh Kaam Aakhri hay

    Phir is k baad meri na batein milein gi
    Ye Ghzal meri Jaan teray Naam Aakhri hay

  4. #28
    k_mbhutta is offline Senior Member+
    Last Online
    27th December 2020 @ 01:01 AM
    Join Date
    01 Dec 2009
    Age
    35
    Posts
    58
    Threads
    22
    Credits
    61
    Thanked
    2

    Smile

    WSLM:: HOME PAGE PER THREAD BAJNY KA TAREQA TO BATAIN

  5. #29
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    Quote k_mbhutta said: View Post
    WSLM:: HOME PAGE PER THREAD BAJNY KA TAREQA TO BATAIN
    Dear Aap kissi bhee section ka thread bnaien ge to wo Automatic Home page p aa jai ga

  6. #30
    Confuse's Avatar
    Confuse is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd May 2015 @ 03:53 PM
    Join Date
    17 Jan 2009
    Location
    Khamosh NaGaR
    Gender
    Male
    Posts
    8,124
    Threads
    778
    Credits
    0
    Thanked
    785

    Default

    bahi wah , kia baat ha itne ghazals aap ko pasand hain , acha ZoQ ha

  7. #31
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    12

    AARZU


    Eik Arzu hay Poori Parwardigar karay
    Mein dair se Jaon wo mera Intizaar karay

    Apnay Hathon say Sanwaray Zulfain meri
    Woh Itra kar Mohabbat Ka Iqrar karay

    Lipat Jai Mujh se Aalam-E-Madhoshi mein
    Aur Josh-O-Junun mein Mohabbat ka Izhar karay

    Ho Shab Wisaal ki Eisi Ghari Ya Rab
    K Choom k Matha Mujhay Bedaar karay

    Jab usay Chor k Chahun mein jana
    Wo Rokay eik or Raat ka Israar karay

  8. #32
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    13


    Sahil Udaas tha k Samundar Udaas thaa
    Lagta tha jaise Sara Manzar Udaas thaa

    Loti Falak se to bari Dilgeer thi Dua
    Eik Khawab totnay par Muqaddar Udaas thaa

    Phir Chaand ko lga kar Galay ro pari Ghtta
    Aisa laga Tofaan bhee Falak par Udaas thaa

    Meri Tabahiyon pe usay bhee Malal thaa
    Aina khud ka tor k Pathar Udaas thaa

    Jo Shkhs shehr me sb hi ko Hansi Bant,ta rha
    Yeh Dil usi ki Bazm mein Ja kr Udaas thaa

  9. #33
    M-Qasim's Avatar
    M-Qasim is offline Advance Member+
    Last Online
    7th September 2022 @ 07:41 PM
    Join Date
    22 Mar 2009
    Gender
    Male
    Posts
    33,351
    Threads
    915
    Credits
    1,718
    Thanked
    3391

    Default

    Superb Sharing

  10. #34
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    14

    Bhot Asaan hay Kehna
    Mohabbat tm se karta hon
    Mgar Matlab Mohabbat Ka
    Smjh lena nai Asaan

    Mohabbat pa k kho dena
    Mohabbat kho k pa lena
    Yeh un logon k Qissay hein
    Mohabbat k jo Mujrim hein

    Jo mil janay pe Hanstay hein
    Bichar janay pe Rotay hein

    Sunoo....

    Mohabbat karnay walay to
    Bhot Khamosh hotay hein
    Jo Qurbat mein b Jeetay hein
    Jo Furqat mein b Jeetay hein

    Na woh Faryaad kartay hein
    Na woh Ashkon ko Peetay hein

    Mohabat k kisi b lafz ka chrcha ni krtay
    Wo Mar k Apni Chahat kbi Ruswa ni kartay

  11. #35
    sameerKKKK is offline Senior Member+
    Last Online
    19th September 2012 @ 09:18 AM
    Join Date
    11 Jan 2008
    Age
    36
    Posts
    64
    Threads
    15
    Credits
    0
    Thanked: 1

    Default

    keep it up yar very nice

  12. #36
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    15

    Kbhi Barish Barasti he
    To mjhko Yaad Aata hay
    Wo Aksar mjh se Khta Tha

    "Mohabbat Eik Barish hay"
    Sbhi p jo Barasti hay

    Mgar Phir bhee nai hoti Sbhi k Wastay Yaksaan
    Kissi k Waste Rehmat,,
    Kissi k Waste Zehmat,,

    Mein Aksar Sochta hon ab
    Woh mjh se Theek kehta thaa

    "Mohabbat Eik Barish he"
    Sbhi p jo Barasti hay

    Kbhi mujh p bhee Barsi thi
    Mgar meray Liye Barish,,

    Kbhi na ban saki Rehmat,,
    Ye Rehmat keyn nai banti???
    Kbhi mein khud se Pochoon to
    Ye Dil Duhai Deta hay

    """Kbhi Kachay Makaano ko bhee
    Barish Raas Aai hay?????"""

Page 3 of 20 FirstFirst 12345613 ... LastLast

Similar Threads

  1. (¤·.My Ghazalz Collection.·¤)
    By mehar_tanha in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 9
    Last Post: 18th April 2021, 01:50 AM
  2. Replies: 92
    Last Post: 27th September 2012, 05:40 PM
  3. Nice Ghazalz
    By cute_charming786 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 17
    Last Post: 23rd December 2011, 11:24 AM
  4. ghazalz
    By frhan in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 0
    Last Post: 26th August 2011, 06:01 PM
  5. Urdu Sahiri ghazalz dekhen
    By musaddique in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 8
    Last Post: 13th March 2009, 05:40 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •