kya aap mujhe batein please k torrent files ko kaise download karte hai kyun k mein bittorrent bhi use karta hoon magar downloading nahin hoti hai aur bittorrent windows ka neeche checking for firewall likha howa aata hai is or na he downloading hoti hai aur mere paas INTERNET CABLE hai aur mujhe proxy use karni parti hai or bittorrent mein proxy ka option nahin hai is liye mein bitcommet bhi use karta hoon mgar us mein proxy ka option diya howa hai magar mein kaun sa option use karon us mein
(HTTP1.1 (Connent)
(SOCKS4)
(SOCKS4a)
(SOCKS5)
(No proxy)
ka option diya howa hai is liye aap mujhe batein ka mein kaun sa iption use karon or meri pROXY yeh hai (26.27.80.2:8080) aur kabhi yeh proxy bhi use karta hoon (26.27.80.122:8080)or MERA IP ADDRESS (26.27.80.91)

aur is ka ilawa mein BIRSPIRIT bhi use karta hoon magar kaoi faida nahi

aap mujhe pictures ka zareeya batein kyun mere posting mein attach file ka option nahin aaraha hai is liye mein aap ko picture show kar wa daita

aur mein torrent k programms bhi use kiye hai magar koi results nahin mila aap mujhe TORRENT ki kuch websites bateye ga jahan se mein TORRENTS ki files ko easy downloading kar sakoon kyunka mein kafi MB / GB ka hisaab se downloading karta hoon aap mujhe yeh bhi bateye ga KAUN SA DOWNLOADING MANAGER SUB SE ACCHA HAI kunka mein ORBIT Downloader use karta hoon jo k lisence freeware hai us ki speed kafi acchi milti hai


thank u