Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 14

Thread: Qayamat Ki Lamehdood Information......aap Kelie

  1. #1
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default Qayamat Ki Lamehdood Information......aap Kelie

    Bismilla Hirrahma Nirraheem.

    Part:1

    Qayamat Kab Aae Gi?is Ke Bare Mein Koi Saheeh Peshbini Nahin Ki Ja Sakti.ye Allah Tahala Ka Apna 1 Raaz Hai Jis Ko Raaz Hee Mein Rakhna Us Ki Maslehat Hai.albatta 1 Partajassus Mohaqqaq Is Ki Aamad Ke Bare Mein Kuch Andaze Laga Sakta Hai.saaensdan Is Ka Andazab Apne Mushahedon,hisab Aur Tehqeeq Se Laga Rahe Hain.leken Aam Aadmi Kelie Bhi Allah Tahala Ne Quran Pak Mein Aur Rasool Pak (saw) Ne Apni Ahadees Mubaraka Mein Beshumar Shawahid Beyan Kar Diye Hain Jin Ko Samajhne Kelie Na Saaensdan Ka Demagh Chaheye Aur Na Sufi Ki Baseerat.
    Quran Pak Mein Jo Alamat E Qayamat Irshad Farmai Gaeen Woh Zyada Tar Esi Alamat Hain Jo Qurbe Qayamat Mein Zahir Hon Gi Aur Aanhzarat (saw) Ne Ahadees Mein Qareeb Aur Door Ki Choti Bari Har Qisam Ki Alamat Biyan Farmaeen.
    Allama Mohammad Bin Abdul Rasool Baurzingi Ne Apni Kitab "alishahata La Shartassaha" Mein Alamat E Qayamt Ki 3 Qismen Byan Keen Hain-
    (hawala Kitab"alamat E Qayamat Aur Nazool E Maseeh" Mufti Azam Pakistan Mulana Mohammad Rafih Usmani)
    1:alamat E Baheeda ( Woh Jo Ho Chuki Hain )

    2:alamat E Mutawassita Jin Ko Alamat E Sughraa "little Signs" Bhi Kaha Jata Hai ( Aaj Kal Zahir Ho Rahi Hain )

    3:alamat E Qareeba Jin Ko Alamat E Kubraa
    "biggest Sings" Bhi Kaha Jata Hai ( Jin Ka Zahoor Abhi Nahin Howa )

    Jab Hum In Peshangoyon Ka Guzre Hoe Aur Majooda Zamana Ke Halaat Se Mawazna Karte Hain To Maloom Hota Hai Ke Hum Qurb E Qayamat Mein Zinda Hain Aur Qayamat Aane Mein Ab Zyada Waqt Baqi Nahin Hai.

    In Mein Kai Ek Waqeaat Ab Tareekh Ka Hissa Ban Chuke Hain,boht Se 20th Century Mein Mazaar E Aam Par Aae Hain Aur Ab 21th Century Unhen Poora Hote Dekh Rahee Hai.kuch Waqeaat Abhi Baqi Hain Jo Intehai Qurb E Qayamat Ki Nishanian Hain.jahan Tak Inferadi Qayamat Ka Tahalluq Hai Allah Tahala Ke Nahi (saw) Ne Farmaya Hai Ke Woh Har Kisi Kee Death Ke Saath Shroo Ho Jati Hai.jahan Tak Saare Nizam E Shamsi Ki Qayamat Ya Total Kaenaat Ki Qayamat Ki Baat Hai To Abb Maghrabi Saaensdan Bhi Kehte Hain Ke Esa Zaroor Ho Kar Rahe Ga.ye Qanoon E Qudrat Hai.har Cheez Ka Anjaam Uss Ki Fanna Hai.
    Leken Islam Insaan Ko Ye Yaad Karata Hai Ke Insaan Ki Maut Ho Ya Kaenaat Ki Qayamat Ye Sab Aane Wale 1 Azeem Daur Ka Pesh Khema Hain.jahan Majooda Nizam Ke Tamam Log Khawa Woh Kisi Bhi Planet Mein Kisi Bhi Waqt Rahe Hon,baik Waqt Akatthe Kar Diye Jaen Ge Taake Wo Apne Aamaal Ka Badla Paa Saken.
    Haqdaar Ko Uss Ka Haq Mil Sake Aur Zaamil Apne Zul Ki Saza Pae.yoon Qayamat Muat Aur Hayat Ke Maqasid Ki Takmeel Hai.
    Ye Insaaf Ki Zaroorat Hai.esa Ho Kar Rahe Ga.

    Iss Lie Hamari Nazar Qayamat Se Aage Yaumuddin Par Rehni Chaheye,taake Rauz E Hisab Kamyaab Ho Jaen.


    Dosto..........aap Sab Ye Kahen Ge Ke Iss Ne Thread Ka Naam To Itna Bara Rakh Diaa Leken Informations Itni Zayada Nahin Deen To Janab Maine Title Ke Sath Ye Bhi Likha Ke Part-1 So Main Try Kar Raha Hoon Ke Urdu Mein Next Parts Share Karoon Leken Agar Urdu Mein Nahin Kar Saka To Aap Sab Se Yehii Guzarish Hai Ke General Discussion Ke Section Mein Roman Urdu Mein Hee Parh Lia Kejie...

    Plz Plz Plz Issi Ignore Na Kijie Ga Ye Bara Important Topic Hai Jo Maine Start Kar Diaa Hai.

    Aap Plz Reply Zaroor Karen Taake Mujhe Pata Chal Sake Ke Kitna Interest Liaa Hai Itdunya.com
    Ke Members Ne Iss Mein

    Aap Sab Ka Friend Aur Duaon Ka Talib
    Hafiz Fasih Ud Din

  2. #2
    Join Date
    31 Mar 2007
    Location
    Tanhai...
    Age
    35
    Posts
    6,231
    Threads
    157
    Thanked
    31

    Default

    mashalla fasih bhai...bohat umda sharing ki ha aapnay..welldone...keep it up.......hamain aap ki agly sharing ka intazaar rehay ga......take care

  3. #3
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default

    thx dear....mujhe umeed hai ke aaesta aaesta meree is sharing per log reply karen ge...
    aur meri hosila afzaaee karen ge..
    pasand karne kelie shukriaa

  4. #4
    iRFAnSajiD's Avatar
    iRFAnSajiD is offline Advance Member
    Last Online
    18th February 2023 @ 06:09 PM
    Join Date
    27 Apr 2007
    Location
    Bhakkar
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    5,535
    Threads
    230
    Credits
    244
    Thanked
    13

    Default

    nice sharing janab..
    Jari rakhain

  5. #5
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default

    thx.....bhai jan
    pasand karne kelie 1 daffa phir se thxxxxxxxxxxx

  6. #6
    MShahzad's Avatar
    MShahzad is offline Senior Member+
    Last Online
    29th December 2011 @ 11:52 PM
    Join Date
    09 Dec 2006
    Location
    Hyderabad
    Posts
    395
    Threads
    33
    Credits
    965
    Thanked
    0

    Default

    Masha-Allah.....................khob
    M Shahzad

  7. #7
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default

    thx bhaiya.............

  8. #8
    Join Date
    17 Dec 2005
    Age
    34
    Posts
    68
    Threads
    9
    Credits
    940
    Thanked
    0

    Default

    Nice.
    MFA Blog link not allowed....ITD Team

  9. #9
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default

    thank u very much.

  10. #10
    Join Date
    23 Oct 2006
    Location
    Lalamusa
    Age
    39
    Posts
    7,054
    Threads
    198
    Credits
    0
    Thanked
    9

    Default

    nice sharing

  11. #11
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default

    stolen moments bhai...ap ko bhi thxxx.

  12. #12
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default

    abb inshallah boht jaldd part 3 post kar doon gaaaaaaaaaa

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Qayamat Ki Lamehdood Information........aap Kelie (PART2)
    By Fasih ud Din in forum General Discussion
    Replies: 20
    Last Post: 23rd September 2014, 10:02 PM
  2. Replies: 9
    Last Post: 13th December 2011, 02:49 PM
  3. 1 Duaaa...........sab Kelie.
    By Fasih ud Din in forum Islam
    Replies: 7
    Last Post: 4th July 2007, 03:45 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •