Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 12 of 27

Thread: Ahmed faraz

  1. #1
    syedanas's Avatar
    syedanas is offline Senior Member+
    Last Online
    21st November 2015 @ 04:47 AM
    Join Date
    04 Mar 2009
    Location
    cityradio :-)
    Gender
    Male
    Posts
    449
    Threads
    16
    Credits
    945
    Thanked
    39

    Smile Ahmed faraz

    bhai ap mai sy koe mjhy ahmed faraz k shairi ki link dydy ya un k shair yaha post kr daen to bohat meherbani ho gi ap sub ki shukrea

  2. #2
    Fatima Iqbal's Avatar
    Fatima Iqbal is offline Advance Member+
    Last Online
    28th May 2021 @ 07:59 PM
    Join Date
    02 Mar 2009
    Location
    JEDDAH ,SAUDI A
    Gender
    Female
    Posts
    23,336
    Threads
    1155
    Credits
    1,495
    Thanked
    4053

    Default

    Move to Urdu adab & shayeri

  3. #3
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    Ab k tajdeed-e-wafa ka imkan nahi JANAA
    Yaad kya tjh ko dilaen tera paiman JANAA


    Yunhi mosam ki ada dekh k yaad aya hai
    kis qadar jald badal jate hain insan JANAA


    Zindagi teri ataa thi to tere naam thi
    Hum ne jaise b basar ki tera ihsaan JANAA


    Dil ye kehta hai k shayad ho fasurda tu b
    Dil ki kya baat karen dil to hai nadan JANAA


    Mudaton se yahi aalam na tawaqo na umeed
    Dil pukaare hi chala jata hai JANAA JANAA


    Ab tera zikar b Shayad Ghazal main aye
    Aur se aur howe dard k unwaan JANAA


    Hum k roothi howi Rut ko b mana lete the
    Hum ne dekha hi na tha Mosam-e-hijraan JANAA


    Hosh aya to sabhi khwab the raiza raiza
    Jaise urte howe Auraq-e-Pareshan JANAA

    (AHMAD FARAZ)

  4. #4
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    Suna hai Log use Ankh bhar k dekhte hain
    So us k sheher main kuch din tehr k dekhte hain

    Suna hai Rabt hai usko kharab halon se
    So apne ap ko barbaad kar k dekhte hain

    suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naaz uski
    So hum b uski gali se guzar k dekhte hain

    Suna hai usko b hai sher o shayri se shughaf
    So hum b mujze apne hunar k dekhte hain

    Suna hai Bole to baton se phool jharte hain
    ye baat hai to chalo baat kar k dekhte hain

    suna hai raat use chaand takta rehta hai
    Sitare baam e falak se utar k dekhte hain

    Suna hai din ko use titliyan satate hain
    Suna hai raat ko jugno tehr k dekhte hain

    Suna hai hashar hain uski ghazaal c ankhen
    Suna hai usko heran dasht bar k dekhte hain

    Suna hai us ki seya chashmgi Qayamat hai
    So us ko surma farosh ah bhar k dekhte hain

    Suna hai us k labon se gulab jalte hain
    So hum bahar pe ilzaam dhar k dekhte hain

    Suna hai Chasm-e-tasawor se dasht-e-imkaan main
    Palang zawye us ki kamar k dekhte hain

    Suna hai us k badan ki taraash aisi hai
    K phol apni qabayen katar k dekhte hain

    Ruke to gardeshen us ka tawaaf karti hain
    Chale to zamane tehr k Dekhte hain

    kise naseeb k be perhn use dekhe
    kbi kbi dar o devar ghar k dekhte hain

    Kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi
    agar wo khwab hai tabeer kar k dekhte hain

    Ab us k sheher main tehren k kooch kar jayen
    FARAZ ao sitare safar k dekhte hain

  5. #5
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    Silsile tor gaya wo sabhi jate jate
    Warna itne to marasim the k ate jate


    Shikwa zulmat-e-shab se to behtar tha
    Apne hisse ki koi Shama jalate jate


    Kitna asan tha tere hijar main marna Janaa
    Phr b ik umar lagi jan se jate jate


    Us ki wo jaane use paas-e-wafa tha k na tha
    tum FARAZ apni taraf se to nibhate jate

  6. #6
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    tamam umar usi ke khiyaal mein guzri faraz

    mera khiyaal jise umar bhar nahein aaya

  7. #7
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    Us ne sakoot-e-shab main b apna pyaam rakh diya
    Hijr ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diya




    Aamad-e-Dost ki naveed koye wafa main garam thi
    Main ne b aik charagh sa dil Sar-e-shaam rakh diya




    Shidat-e-tishnagi main b ghairat-e-maikashi rahi
    Us ne jo phair li nazar main ne b jaam rakh diya




    Us ne nazar nazar main hi aise bhale sukhan kahe
    Main ne to us k paon main sara kalaam rakh diya




    Dekho ye mere khwaab the dekho ye mere zakham hain
    Main ne to sab hissab-e-jaan bar sar-e-aam rakh diya




    Jo b mila usi ka dil halqa bagosh-e-yaar tha
    Us ne to saare shehr ko kar k ghulaam rakh diya




    Aur FARAZ chaheyen kitni Muhabaten tjhe
    Maon ne tere naam par bachon ka naam rakh diya

  8. #8
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    Is se pehle k Be wafa ho jayen
    Q na A Dost hm juda ho jayen


    Tu b heere se ban gya Pathar
    Hum b kal jane kya se kya ho jayen


    Tu k yakta tha be shumaar howa
    Hum b toten to ja baja ho jayen


    Hum b majboriyun ka uzar karen
    Phr kaheen aur mubtilla ho jayen


    Dair se soch main hain parwane
    Raakh ho jayen ya Hawa ho jayen


    Ishq b khel hai nasibon ka
    Khaak ho jayen , kemia ho jayen


    Ab k gar to mile to hum tujh se
    Aise lipten k teri qabaa ho jayen


    BANDAGI HUM NE CHOR DI HAI FARAZ
    KYA KAREN LOG JAB KHUDA HO JAYEN

  9. #9
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    Hijr e janaa ki gari achi lagi
    Ab k tanhai bari achi lagi


    Zndagi ki ghup andheri raat main
    Yaad ki aik puljhari achi lagi


    Shehr-e-dil aur itne logo ka hujum
    Wo alag sab se khari achi lagi


    Ik shehzaadi magar dil ki faqeer
    Us ko meri jhonpri achi lagi


    Dil main aa bethi ghazal c wo ghazaal
    Ye taswor ki gari achi lagi


    Tera dukh,Apni wafa,Kaar e jahan
    Jo b shay mehngi pari achi lagi


    Ankh b barsi bohot badal k sath
    Ab k sawan ki jhari achi lagi


    Ye ghazal mjh ko pasand ayi FARAZ
    Ye ghazal us ko Bari achi lagi

  10. #10
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    tum bhi khafa ho loog bhi burhum hein dosto
    ab ho chala yaqin keh bouray hum hein dosto

    kis ko hamare hal se nisbut hai kya karein
    aankhein to dushmanooN ki bhi purnum hein dosto

    apne siwa humaray na hoonay ka ghum kise
    apni talaash mein to humein hum hein dosto

    kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
    kuch shahr ke chiragh bhi mudhum hein dosto

    iss shahr-e aarjo se bhi baahar nikal chalo
    ab dil ki raunaqein bhi koi dum hein dosto

    sub kuch sahi Faraz per itna zaroor hai
    dunya mein aise loog bauhut kum hein dosto

  11. #11
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    barason ke baad dekhaa ik shaKhs dil rubaa saa
    ab zahan mein nahin hai par naam thaa bhalaa saa

    abaruu khinche khinche se aankhein jhukii jhukii si
    baatein rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

    alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar mein
    ban jaaye jangaloon mein jis tarah raastaa saa

    Khvaaboon mein Khvaab us ke yaadoin mein yaad us kii
    niindoon mein ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa

    pahale bhii log aaye kitane hii zindagii mein
    vo har tarah se lekin auroon se thaa judaa saa

    agalii muhabbatoon ne vo naa muraadiyaan dien
    taazaa rafaaqatoon se dil thaa Daraa Daraa saa

    kuchh ye ke muddatoon se ham bhii nahin thay roye
    kuchh zahar mein bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

    phir youn huaa ke saavan aankhoon mein aa base the
    phir youn huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

    ab sach kahain to yaaro ham ko Khabar nahin thii
    ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa saa

    tevar the berukhii ke andaaz dostii ke
    vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

    ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
    naahaq thaa zoam ham ko jab vo nahin thaa pyaasaa

    ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
    apanaa bhii haal hai ab logo Faraz ka saa

  12. #12
    koiaya's Avatar
    koiaya is offline Advance Member
    Last Online
    15th May 2020 @ 01:00 PM
    Join Date
    02 Mar 2006
    Posts
    1,624
    Threads
    20
    Credits
    88
    Thanked
    94

    Default

    Chaloo kh kucha-e-Dildar chal k daykhtay hain
    kisay kisay hai ya aazaar chal k daykhtay hain

    Suna hai aysa masiha kahi say aaya hai
    kh us ko shayher k beemar chal k daykhtay hain

    hum apnay bot ko , Zulay-kha leya hai Yosaf ko
    hai kon ronaq-e-bazar chal k daykhtay hain

    suna hai dair-o-harem mian wo nahi milta
    so ab k us ko sir-e-dar chal k daykhtay hain

    us aik shaks ko daykho to ankheen bherti nahi
    us aik shaks ko her bar chal k daykhtay hain

    wo maray gher ka kerey qasd jab tu saaey say
    kaee qadam dar-o-deewar chal k daykhtay hain

    faraz aseer hai is ka kh wo faraz ka hai
    hai kon? kiss ka griftar? chal k daykhtay hain

Page 1 of 3 123 LastLast

Similar Threads

  1. Ahmed Faraz
    By kiran22 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 23
    Last Post: 15th May 2012, 12:17 PM
  2. See Faraz Ahmed Faraz
    By DeadMan in forum Photo Gallery
    Replies: 17
    Last Post: 25th October 2011, 09:29 PM
  3. ahmed faraz
    By szaib in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 9
    Last Post: 11th June 2010, 05:56 AM
  4. ahmed faraz
    By Sadaf Awan in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 11
    Last Post: 27th May 2010, 10:38 PM
  5. ~"A Classic Ghazal of FARAZ AHMED FARAZ~"
    By Desire.libra in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 11
    Last Post: 23rd October 2009, 03:18 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •