Results 1 to 2 of 2

Thread: « Bachpan Ki Yadai'n - Ammi, Bhook Lagi Hay

  1. #1
    coolbouy is offline Senior Member+
    Last Online
    21st April 2015 @ 03:52 PM
    Join Date
    31 May 2007
    Posts
    57
    Threads
    14
    Credits
    0
    Thanked
    2

    Default « Bachpan Ki Yadai'n - Ammi, Bhook Lagi Hay

    .Bachpan ki yaadein
    Ammi, Bhook lagi he…

    Ye kalma sunte hi maan ki mamta tarap uth-ti he, wo apna araam chor kr kitchen ki taraf dorti he aur koshish krti he k jld se jld us k raaj dulare k liye khane ka bandobast kare. Mehnat mazdoori krne se chand rupay milte hein jis se ham apni bhook mitate hein Magar Maan ko us k bachoon ki bhook dekhi nehen jaati apne bachoon ka pait bharne tak wo chen se neehn bethti.

    Yahaan pardes mein maan bht yaad aati he. Bukhar mein zabardasti hamare munh mein dawai thonsti he, barish mein bheego to daant-ti phir toliye se hamara sar poonchti he, school se ghr waapsi p dair ho jae to darwaze p parishan khari rehti he, aadhi raat ko uth kr hamare kambal seedhe krti he, subh sawere piyar se jagana, zid karo to kambal khench lena, Jaldi jaldi naashta banae, naashte mein masti karo to hamare gaal nochti he kaan khenchti he phir hamare balloo pr kangha b krti he, bukhar aur bimaari mein poori rraat hamare sarhane baith jaati he thand lage to apni chadar bhi de de. Ghuse mein jis gaal p thapar maray ba;d mein phir usi gaal ko choomti he. Zyada dair tak jaagein to khenchte huwe hamare bister pr la kr sulati he. Bure kaam pr daantna aur ache kaam pr shabaash dena, pyar se hamare sar pr haath pherna bahir se gangadi mitti le kr aao to hamare baal khenchte huwe bathroom lekar jaana school k homework mein hamari madad krna bagher khae so jaein to zabardasti jaga kr hamein khilana.

    Is k bawajood school se wapis aate hi kitaboon ka basta aik taraf phenk sofay pr pair phsare baith kr zor se chilate hein “Ammi bhook lagi he jaldi se khana do” aur maan apna sakoon chor kr dori chali aati he bhale wo bimaar ho “Haath munh dho le beta abhi khana lagati hoon”

    Dostoon maan ka koi ne’m al badal nehen isi lye kehte hein Maan k paoon mein jannat hoti he yehi maan he jo burhaape mein bhi apni awlaad se dukh utha kr uska bhala hi sochti he.

    Maan is dunya mein Allah ka anmol namoona aur atya he. Bacha khwah kitna hi bura ho Maan hamesha uski bhalai hi chahti he. Intihai bad-qismat he wo awlaad jis ne maan ki qadar na jaani.

    Allah ta’la ham sab ko apne Maan baap Ki khidmat krne ki toufeeq ata farmaein- Aameen Summa Aameen

  2. #2
    IT.BOY's Avatar
    IT.BOY is offline Senior Member
    Last Online
    17th November 2017 @ 12:13 PM
    Join Date
    26 Dec 2007
    Location
    *MAA KI AGOOSH*
    Gender
    Male
    Posts
    28,374
    Threads
    651
    Credits
    998
    Thanked
    3079

    Default

    بہت اچھی شیئرنگ کی ہے آ پ نے
    شکریہ
    [FONT="Jameel Noori Nastaleeq"][CENTER][COLOR="Blue"][SIZE="5"][B]Coming Soon...:)[/B][/SIZE][/COLOR][/CENTER][/FONT]

Similar Threads

  1. bhook
    By ABDULLAH. in forum Sunnat aur Hadees
    Replies: 5
    Last Post: 25th April 2014, 01:39 PM
  2. ministers ki bhook
    By fayaz_ali in forum Halat-e-Hazra
    Replies: 8
    Last Post: 9th April 2013, 09:49 PM
  3. Bhook ho to esi,,,,,,,,,,,,,,,,,
    By omairfayyaz in forum Photo Gallery
    Replies: 20
    Last Post: 2nd March 2012, 01:14 PM
  4. bhook
    By hibban in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 0
    Last Post: 14th October 2011, 03:59 PM
  5. Shahid Bhai ko bohat bHOok lagi hai
    By Sami840 in forum Photo Gallery
    Replies: 4
    Last Post: 3rd February 2010, 03:45 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •