kash main paida madinay main hoti
gumbad_e khizara kai sahay main hoti
jo hota main khaak madinay ki
to app(pbuh) kai kadmoo talay aa gaye hoti
majid e nabwi(pbuh) kai farch main laga
main pathar ka ik tukra hi hoti
awara kuta hi sahi jo main hoti
madinay ki galiyoo main pirti hoti
agar insan na hoti to hoti parinda
pak rozay pay hazir rozana main hoti
gumbad e khizara ka jo karta nizara door say
kash main madinay ka kadagar hoti
phool agar kohi hota jo main
ban kai chadar main rozay py bich gayi hoti
badal jo main usman ki hoti
madinay main barss gayi hoti
kash kai dewana MUHAMMAD(PBUH) ki
jhum jhum kai naat madinay main sunati hoti
Bookmarks