salam-o-alakum .
umaid karta hoon ke itdunya ke sabhi members thik thak hoon gay . aur dua karta hoon ke Allah Tallah aap sab ko youn hi kush rakhe . dosto mere aik masla hai jo main aap say share karna chata hoon aap please meri kuch madad zarood karain kyon ke main is bare main bohat confuse hoon
MASLA YEH HAI KE { main ne abhi abhi metric ka exam dia hai ab main colleage first year main addmission laye ne ga raha hoon ab masla yeh hai key mujhe samjh nahi ata ke main kis field main jayon {MEDICAL} main {NON MEDICAL } main {ICS} MAIN YA PHIR {D.COM } main jahan tak mere shok ka talook hai to mujhe biology pasand hai . lakin maine suna hai ke aaj kal doctors ki koi demand nahi hai aaj kal doctors itne aam ho gayan hain key wo khud lagoon ke darwaza paer jate hain. to dosto aap mujhe mashwara dain key main kis field main jayoon ? aur aaj kal kis field ki zayada demand hai?
aur kya mujhe Medical choose karna chaye. please apna mashwara de kar mujhe shukaria ka moka dayan.
MUJHE AAP KE REPLAYS KA BECHANI SE INTAZAR RAHE GA.
ALLAH AAP SAB KO DUNYA KE HAR MADAN MAIN KAMIAB KARE{AMIN}
AAP SAB KA DOST .
SYED GHAFFAR SHAH.