tumhain bakshi hay dil pay hukmarini aur keya datay
yehi thi humri rajdhani aur keya datay
sitaroon say kisi ke mang bharna aik fasana hay
tumharay nam likh de zindgani aur keya datay
who hum say mangta tha umar ki aik dilnisheen hissa
na datay us ko hum apni jawani aur keya datay
bishartay waqat us ko aik na aik tofa dana to tha
humaray pass tha aankhoon main pani aur kea datay
malik420
Bookmarks