jo bhi karta hai bhala
jo bhi karta hai bhala uska bhala hota hai
har bure kaam ka anjaam bura hota hai
aage badhte hai.n yeh zarre kabhie rukte hi nahi.n
jo na harkat kare insa.n woh fana hota hai
paise waalo.n ko jahaa.n wale bada kehte hai.n
rab ki nazro.n mei.n to kirdaar bada hota hai
har sakhi karta sakhaawat hai hamesha ginkar
rizq behad hame.n moula se ata hota hai
mutmain dil hai mera mujhko yaqee.n hai mohkam
jo bhi hota hai mere haq mei.n baja hota hai
gham na kar badhta chala ja teri manzil ki taraf
sacche muslim ka madad gaar khuda hota hai
gar jawaani mei.n ibaadat ko baja laa na sake
qarz mushkil se budhaape mei.n ada hota hai
zindagi guzri gunaaho.n mei.n hamaari *haamid
aakhri waqt mei.n hosh aaye to kya hota hai
Bookmarks