Zakhm Muskuratay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par


Zakhm Muskuratay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par
Dard Bhool Jatay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par

Shabnami Sitaaron Main Phool Khilnay Lagtay Hain
Chaand Muskuratay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par

Umar Kaat Di Laikin Bachpana Nahin Jata
Hum Diye Jalatay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par

Ghantiyan Si Bajti Hain Raqs Honay Lagta Hai
Dard Jagmagatay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par

Teri Yaad Aaye Tu Neend Jati Rehti Hai
Khaab Toot Jatay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par

Jo Sitam Karay Aa Kar Sab Qabool Hain Humain
Hum Khushi Manatay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par

Ab Bhi Teri Aahat Par Chaand Muskurata Hai
Khaab Ghungunatay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par

Terey Hijar Main Hum Par Ek Azaab Taari Hai
Choonk Choonk Jatay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par

Dustakain Sajanay K Manzar Nahin Rehtay
Raastay Sajatay Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par

Ab Bhi Teri Aahat Par Aass Lout Aati Hai
Hum Diye Jalatay Hain Ab Bhi Teri Aahat Par


aslam,taj,roni