Page 2 of 2 FirstFirst 12
Results 13 to 18 of 18

Thread: Shab e Mairaj - Orr Ibadaten!!

  1. #13
    wahidawan's Avatar
    wahidawan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th July 2020 @ 10:56 AM
    Join Date
    16 Sep 2008
    Location
    Waldain Ki Duaon K Saay Main
    Gender
    Male
    Posts
    486
    Threads
    135
    Credits
    806
    Thanked
    107

    Default

    Aik shaks ko farz ki ahmiyat ka hi nahi pata tu wo nafal ko kia ada kary ga. Mein zati tor par aisy logon ko janta hon jo aisi mehfilon mein bohat josh-o-kharosh k sath jatey hein lekin wo log deen k bunyadi elam taq se mehroom hein na unhein wazo, ghusal aur namaz k faraiz taq ka ilm hai na un ko aqeedon ka elm hai wahan unhein kisi ne bataya hota tu elam hota isliye unhon ne apni zindgion ka bohat bara hissa isi ghaflat mein guzar dia aur un mein akseeriyat mizaron py walion ki qabron py sajday karne walon ki hai wahan kon un ki islah kary kon Quran-O-Sunat samjhay wahan tu un ko ye bataya jata hai k Giyarahin pr lutao Barhavin ki jhoti khushian manao jo Aur bazurgon k Mizaron py hazrian do ta k tum py rehmat ki barsat ho. Agr koi in ko in bidaat se bachny ko kehy tu un k liye lafz wahabi in k pass mojood hai aur phir kehty hein is naik kaam se shetan ko takleef hoti hai is liye wo log mana karty hein k tum Allah k walion mizaron py na jaya karo.
    Kuch logon ko thora sa ilm ajata hai tu wo josh mein akr nafil namazein rozay zikar-o-azkar mein agy nikalny ki koshih karty hein lekin jald ki tahk k ghafil ho jaty hein phir deen ko muskil samjhty hein aur farz ko b tark kar dety hein isliye k wo nafal ko b farz samjhty hein.
    Is se logon k andar ikhtilaf aur nafrat ka beej boya jata hai. Phir in se koi banda in ki bahalai k liye b bat kary tu ye osy apna dushman samjhty hein aur phir wohi kam karty hein jin se mana kia jaiy.
    Aap ne post k andar tu kehin b farz ki ahmiyat ka zikr nahi kia aur na jis se ye maloom hota k farz ada karney se kitna sawab aur chorny se kitna gunah hota hai is liye darkhawast k tor pr arz karta hon k dosron ki islah ki koshish karein aur khud b haqeeqat ko samjhein k deen kia hai aur kia nahi…!

  2. #14
    silentsmile's Avatar
    silentsmile is offline Advance Member
    Last Online
    26th February 2022 @ 09:36 AM
    Join Date
    01 Aug 2009
    Location
    In a Forest ,), Islamabad
    Age
    35
    Posts
    737
    Threads
    48
    Credits
    95
    Thanked
    53

    Default

    Shukriya Waheed bhai..

    meray khyal say app naraz ho rahay hain ab shayad meray say

    asal men mera maqsad app ko harana yaa neecha dhikhana nahi hai.. deen kay maa'mlay men kaheen koi ghalat baat nikal gaee too sakht gunah ka andesha hai islye men behas barhana nahi chahta sirf 1,2 points hain app kay lye jau kay umeed hai kay app ko burray nahi lagay gay orr app inhen samjhen gay (hopefully)

    1.Bhai men nay sirf orr sirf Iss Raat men ibadat ka kaha hai woo iss lye kay yeh iss say related thread hai app nay kis tarah samajh lya kay men Farz kay muqablay men issay tarjeeh dainay ka keh raha hon.. Farz yaqeenan awwal number per aata hai Insha Allah naya thread banaya too uss men sirf Farz kay baray men bayan keron ga her cheez kay baray men aik thread men discuss kerna impossible hai (umeed hai app samajh jaen gay)

    2. iss kay elawa dosri baat jo app walion kay mazaron kay baray men keh rahay hain too men app say agree kerta hon kay wahan sajda kerna jaiz nahi orr dosray ulama bhi yehi kehtay hain orr jau nahi kehtay woo kam ilm hain men nay too ajj tak kisi alam, faqeer, wali ko ye baat kehtay nahi dhekha ye kuch logon ka khud sakhta amal hai iss kay lye app iss Maslak kay logon kay baray men iss tarah na kahiye.. Udher kay orr rohani faiday hain jin kay lye laug wahan jatay hain..

    3. Insha Allah jitni Islah hogi karen gay.. Meri app say guzarish hai kay ajj kel ka daur firqon say bhara hoa hai orr koi dosray ki baat sunn'nay ya mann'nay ko tayyar nahi.. yaqeen karen men nay app ki baaten bagher kisi dil men kaji rakhay orr ghussa kertay batoor bhai sunni hain.. mera app ko baradrana mashwara hai orr iss ko kisi ghalat context men na lay jaye ga "Kisi kay mazhab deen ko matt cherho na apna deen/ mazhab ya aqaid ko mat chorho"

    Bohat Shukriya Take Care

  3. #15
    hassanzaman is offline Junior Member
    Last Online
    28th July 2010 @ 12:36 AM
    Join Date
    05 Jul 2010
    Age
    46
    Posts
    27
    Threads
    0
    Credits
    0
    Thanked
    3

    Default

    JazakAllah khairen

  4. #16
    azybro's Avatar
    azybro is offline Senior Member+
    Last Online
    24th October 2013 @ 09:35 PM
    Join Date
    27 Dec 2011
    Location
    Lahore
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    360
    Threads
    78
    Credits
    945
    Thanked
    18

    Default

    Shab e-Meraj is one Holly day for all Muslims. According to nature of this day every one prays from ALLAH in order to remove those activities that are not correct. So Shab e-Meraj ibadat is too much important.

  5. #17
    azybro's Avatar
    azybro is offline Senior Member+
    Last Online
    24th October 2013 @ 09:35 PM
    Join Date
    27 Dec 2011
    Location
    Lahore
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    360
    Threads
    78
    Credits
    945
    Thanked
    18

    Default

    Shab e-Meraj is one Holly day for all Muslims. According to nature of this day every one prays from ALLAH in order to remove those activities that are not correct. So is too much important.

  6. #18
    hashimbadani's Avatar
    hashimbadani is offline Senior Member+
    Last Online
    6th October 2014 @ 08:41 AM
    Join Date
    30 Apr 2013
    Location
    khairpur sadat
    Gender
    Male
    Posts
    260
    Threads
    8
    Credits
    0
    Thanked
    5

    Default

    best of luck wahid ma ap ke traf hon

Page 2 of 2 FirstFirst 12

Similar Threads

  1. Shab-e-Mairaj Ka Mukhtasar Tazkira(شبِ معراج کا مختصر تذکرہ)
    By Najam Mirani in forum Islamic History aur Waqiat
    Replies: 9
    Last Post: 3rd August 2016, 03:01 PM
  2. Rab Ka Mahman (Shab-e-Mairaj)
    By NADEEMUDDIN in forum Ibadat
    Replies: 3
    Last Post: 9th July 2010, 07:11 PM
  3. Naikian Samatnay Ki Raat (Shab-e-Mairaj)
    By NADEEMUDDIN in forum Ibadat
    Replies: 1
    Last Post: 9th July 2010, 03:24 PM
  4. Tohfa-e-Khan (Shab-e-Mairaj)
    By NADEEMUDDIN in forum Ibadat
    Replies: 0
    Last Post: 9th July 2010, 11:20 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •