Results 1 to 12 of 18

Thread: Nimaz Kay Wajibat,Sunat Or MakrooKhat Kay Barin May Ek Thread

Threaded View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #10
    Join Date
    18 Jan 2006
    Location
    Karachi
    Age
    41
    Posts
    712
    Threads
    74
    Credits
    369
    Thanked
    0

    Default

    Assalam-o-Alaikum Brother!!!
    I am really sorry I dont know your name. Laiken main aap ko Islam Section main khushh Amadeed kahta hoon. Allah aap ki Islam say muhabbat main izafa farmay, jiss muhabbat k tehat aap nay itnee mehnat say islaah ki khatir itnee mehnatt kee. Yaqeen karain k aap jaisay bhaio ko daikh kar dill say doa nikaltee hay, k Allah aap ki Deeni Ghairat main izafa farmay. Ameen

    Mujhay khushi hay k aap nay response dia agarchay aap nay mujhay ghalat kaha hay. Laiken main itna aitemaad to rakhta hoon, k jab kisi adna say adna musalman k samnay bhee Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallam kee koi baat ya unn ka koi amall rakh dia jay to wo uss ka inkaar kabhee nahee karta. Bilkul aap hee kee tarah say sirf 2 years pahlay takk main bhee yahee dalayal dia karta thaa jo aap day rahay hain, laiken jabb Allah tala nay apnay fazal say deen kee mamoolee see samajh day dee to main nay Allah mian say toba kar lee.

    Meray bhai, Behass o mubahisa say hatt kar sirf aap ko aik fikr dainay kee gharz say main aap k samnay apnee har bat Dalayal kay saath paish kar raha hoon, aur aap say umeed karta hoon k agar mairee batain "SAHEE HADEES" say saabit ho jain to aap inn ko qubool kar lain gay. Allah aap kaa hami o nasir ho...

    1. Niyyat par aiteraz ka maqsad sirf itna thaa k aaj 98% log nimaz ki niyyat zuban say kartay hain, jo k bidat hay. Aap khud bhee apny aap ko check karain k nimaz shuroo karnay say pahlay kaheen aap bhee to zuban say niyyat nahee kartay hain? Bohat say log to Baqaida buland awaaz say niyyat kartay hain, iss liay unn bhaio say guzarish hay k jo cheez sunnat say sabit nahee uss kaa na karna hee bahtar hay.

    2. Quran daikh kar tilawat karnay k baray main jo hadees main nay zikr kee hay wo Sahee Bukhari main mojood hay jo k Hadees ki sahee tareen kitaab hay.

    8. Sajda -e- Sahw ka jo tareeqa main nay likha hay SIRF wohee sahee Ahadees say saabit hay aur iss maslay par main aik alag thread main yah ahadees paish kar chuka hoon, link yah hay.
    http://www.itdunya.com/showthread.php?t=2030

    3,4,5,6,7 --> Yahan par aap k aiterazat usooli hain, aur aap nay kaha hay k Allah nay sunnat ko char maslako main jama kar dia hay, aur Allah nay sunnat ko inhee char maslako main zinda rakha hay aur imam apne taraf say koi baat nahee kahtay.

    Meray bhai, aap aur main jab nimaz main rozana kaee dafa Soorat Fatiha parhtay hain to ussi main aik ayat hay k "IHDINAS SIRATAL MUSTAQEEM" yane ay Allah! Hamain seedhay rastay par chala. Yahan bataya gaya hay k Seedha Rasta aik hee hay warna doa yoon hotee, Ay Allah! Hamain seedhay rasto par chala.

    Iss k ilawa bhee Quran nay kaee jagho par ikhtilaf say bachnay ka kaha hay. To jab ham kahtay hain k charo maslak haqq hain to maray bhai, yaqeen karain ham Quran ki ayaat ko jhutla rahay hotay hain, Aap batain aap ko kiss ki baat mannee hay, Allah kii ya Buzurgo kee.

    Doosri baat yah hay k Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallam ki sahee hadees Abu Dawood main mojood hay k "Meri ummat main 73 firqay ban jain gay, SIRF AIK JAMAT jannat main jay gee aur baqi sab jahanum main jain gay."
    iss hadees main bhee Allah k Rasool Sallallaho Alaihe Wasallam nay yah nahee kaha k char jamatain jannat main jain gee.

    Teesri baat yah hay k CHARO Maslak aik hee waqt main haqq par ho hee nahee saktay, Examples bohat hain laiken main sirf do examples paish karta hoon.

    a) Imam Shafi K nazdeek Khun (Blood) nikalnay say wuzoo nahee tootta jabkay Imam Abu Hanefa k nazdeek Blood nikalnay say wuzzo toot jata hay. Aap batain dono batain aik hee waqt main kaisay sunnat ho saktee hain.

    b) Imam Shafi k nazdeek agar Azaad aurat say shadi kee ja saktee ho to Ghulam aurat say shadee karna HARAM Hay aur Imam Abu Haneefa k nazdeek Halaaal hay. Aap batain k Islam main TAZAAD mojood hay??? Harr gizz nahee!! to phir iss ka matlab yah hoa k kisi imam ki koi baat ghalat bhee ho saktee hay aur sahee bhee, Laiken Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallm kee har baat jo SAHEE AHADEES say saabit ho jay uss main kabhee bhee ikhtilaaf nahee ho sakta...

    Chota aiteraz aap ka yah thaa k koi imam apnee taraf say ghalat baat nahee kahta. Main aap say agree karta hoon. Laiken aap ko aik haqeeqat maloom nahee hay. Woh yah hay k Imam abu Haneefa nay apnee poori zindagee main koi FIQA ki book nahee likhee, Balkay Fiqa ki pahlee book "QUDDOORI" Imam abu Haneefa ki wafaat k 250 years k baad likhee gaeee hay.

    Iss liay Imam to theek thay laiken bohat say masayal aisay hain jinn ko JAAN BOOJH kar imamo ki taraf mansoob kar dia gaaya jab kay imamo nay wo baat kahee hee nahee theee. Shayad aap ko yaqeen nahee aa raha, aiay aap ko aik Example daita hoon.

    FIQA HANFI ki bohat see books main aik masla likha hoa hay k "Agar kisi shakhs kii NAKSEER phoot jay aur Shifa ka yaqeen ho to wo soorat Fatiha ko Khoon yani blood say aur Paishaab say likh sakta hay" [Fatawa Qazi Khan]

    Astaghfirullaaah, Suma Astaghfirullaaah, Meray bhai, kia aap soch saktay hain k aisa masla Imam Abu Haneefa nay bataya hoga, Quran ki itnee baree bay Adbee kia woh kar saktay hain, Yaqeenan Naheee.

    To jiss tara oopper ka masla Imam abu Haneefa nahee bata saktay issi tarah Nimaaz main naaf k neechay haath bandhna, Qunoot k waqt Takbeer kahna, Sajda Sahw ka tareeqa , Aurat Mard ki nimaaz ka farq waghaira jaisya masayal bhee Imam Abu Haneefa nahee bata saktay kio k Sahee Ahadees Fiqa Hanfi k Khilaaf hain.

    Aap yaqeen karain k mara maqsad aap ki dil-azaari har gizz nahee. Main nay bhee jab shuroo main yah batain sunee thee to mujhay bohat ghussa aya thaa k ulema par ilzam lagaya jaa raha hay aur imamo kee toheen ho rahee hay. Laiken imamo ki asal toheen to unn k mannay walay kar rahay hain, Koi shakhs aap ko Khalis Quran aur Sahee Hadees par amall ka mashwara daita hay to woh aap ka Mukhlis dost hay Dushman nahee.

    Aap say positive Discussion k liay yaa Deen ko mazeed samajhnay aur mazeed literature k liay aap kabhee bhee mujh say rabita kar saktay hain. Yaad rakhain k yaa to aap ghalat hain ya main ghalat hoon, Dono soorato main hamain aik doosray ko samjhana chahiay aur Dalayal k saath deen ko samajhna chahiay. Allah aap ka hami o naasir ho aur aap ko deen ki sahee samajh ata farmay Ameen

    Note: I am really very sorry k main yah sab urdu inpage main nahee likh saka aur reply bhee bohat dino baad kar raha hoon , waja sirf masroofiat hay aur softwares ka na hona hay. Aur agar kisi baat say aap ki dil aazari hoee ho to uss k liay Tah-e-Dill say aap say moazrat khuwah hoon, umeed hay k aap mujhay moaf farma dain gay..

    Wassalam,
    Aaap ka Mukhlis bhai,

    Muhammad Shakir
    Last edited by shikary; 12th April 2006 at 06:52 PM.

Similar Threads

  1. koi to batawo Ipl ki barin main?0
    By Ibrahem in forum Satellite stuff & info
    Replies: 12
    Last Post: 26th April 2015, 08:27 AM
  2. Replies: 0
    Last Post: 9th June 2010, 07:57 AM
  3. Nimaz-e-Ishraq and Nimaz-e-Zohr kay nawafil aur JANAT
    By Shaukat Hayat in forum Ramadan Kareem رمضان كريم
    Replies: 3
    Last Post: 4th September 2009, 06:51 PM
  4. Replies: 3
    Last Post: 30th May 2009, 01:04 PM
  5. google kay barin main
    By imran sdk in forum General Discussion
    Replies: 6
    Last Post: 11th February 2009, 07:53 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •