Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 18

Thread: Nimaz Kay Wajibat,Sunat Or MakrooKhat Kay Barin May Ek Thread

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Terminator's Avatar
    Terminator is offline Senior Member+
    Last Online
    14th February 2017 @ 09:13 AM
    Join Date
    17 Dec 2005
    Location
    PAKISTAN
    Age
    40
    Posts
    6,183
    Threads
    319
    Credits
    904
    Thanked
    8

    Smile Nimaz Kay Wajibat,Sunat Or MakrooKhat Kay Barin May Ek Thread

    1
    Attached Images Attached Images  

  2. #2
    Terminator's Avatar
    Terminator is offline Senior Member+
    Last Online
    14th February 2017 @ 09:13 AM
    Join Date
    17 Dec 2005
    Location
    PAKISTAN
    Age
    40
    Posts
    6,183
    Threads
    319
    Credits
    904
    Thanked
    8

    Smile

    2
    Attached Images Attached Images  

  3. #3
    Terminator's Avatar
    Terminator is offline Senior Member+
    Last Online
    14th February 2017 @ 09:13 AM
    Join Date
    17 Dec 2005
    Location
    PAKISTAN
    Age
    40
    Posts
    6,183
    Threads
    319
    Credits
    904
    Thanked
    8

    Smile

    3
    Attached Images Attached Images  

  4. #4
    Terminator's Avatar
    Terminator is offline Senior Member+
    Last Online
    14th February 2017 @ 09:13 AM
    Join Date
    17 Dec 2005
    Location
    PAKISTAN
    Age
    40
    Posts
    6,183
    Threads
    319
    Credits
    904
    Thanked
    8

    Smile

    4
    Attached Images Attached Images  

  5. #5
    Terminator's Avatar
    Terminator is offline Senior Member+
    Last Online
    14th February 2017 @ 09:13 AM
    Join Date
    17 Dec 2005
    Location
    PAKISTAN
    Age
    40
    Posts
    6,183
    Threads
    319
    Credits
    904
    Thanked
    8

    Smile

    5
    Attached Images Attached Images  

  6. #6
    Terminator's Avatar
    Terminator is offline Senior Member+
    Last Online
    14th February 2017 @ 09:13 AM
    Join Date
    17 Dec 2005
    Location
    PAKISTAN
    Age
    40
    Posts
    6,183
    Threads
    319
    Credits
    904
    Thanked
    8

    Smile

    6
    Attached Images Attached Images  

  7. #7
    Noman Khan is offline Senior Member+
    Last Online
    26th September 2014 @ 01:54 AM
    Join Date
    30 Nov 2005
    Posts
    1,117
    Threads
    2
    Credits
    0
    Thanked: 1

    Default

    walaykum salam bhai
    MASHA ALLAH bohat hi zabardast bhai
    MASHA ALLAH SUBHAN ALLAH
    bohat hi achi sharing ki hai bhai
    bohat hi malomat mili hain
    keep it up
    bhai
    ALLAH HAFIZ
    السلام وعلیکم
    ASSALAM_O_ALIKUM Hw R U Friends

  8. #8
    jaankaash's Avatar
    jaankaash is offline Senior Member+
    Last Online
    26th May 2022 @ 10:24 AM
    Join Date
    18 Nov 2005
    Location
    Karachi
    Age
    38
    Gender
    Male
    Posts
    2,139
    Threads
    117
    Credits
    1,384
    Thanked
    5

    Default

    Zafer bhai bohat hi pyari sharing ki hai app nay
    Email address + MFA web link not allowed...ITD Team

  9. #9
    Join Date
    18 Jan 2006
    Location
    Karachi
    Age
    41
    Posts
    712
    Threads
    74
    Credits
    369
    Thanked
    0

    Default

    Very nice brother Zafar, Aap nay bohat hee mehnat say deen-e-islam k aik intihaai aham rukn ki tafseel bayan kee hay. Allah aap ko jaza-e-Khair ata farmay.

    Laiken bhai, iss topic main sab batain Ahadees k reference k baghair kahee gaee hain. Main jaanta hoon k iss main ziada tarr batain ahadees say saabit hain. Laiken kuch batain aisee hain, k agar aap unn k liay koi Sahee Hadees talaash karnay jaain gay to aap ko nahee mil sakay gee. Chand aik ka zikr main kar raha hoon.

    1. Nimaaz ki niyyat dill main honee chahiay. Zubaan say urdu k alfaaz main niyyat karna Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallam say kisi sahee to chor dain zaeef hadees main bhee manqool nahee hay.

    2. Quran shareef daikh kar parhnay say nimaaz fasid nahee hotee, kio k Sahee Hadees mojood hay jiss main Bibi Aisha Raziallahu Anhaa ka ghulaam jiss ka naam ZAKWAN tha wo unn ko Quran daikh kar Tilawat kartay hoay nimaaz parhaya karta thaa.

    3. Dua-e-Qunoot say pahlay Takbeer kahnaa kisi bhee sahee Hadees say Saabit nahee hay. Balkay baghair Takbeer kahay aur baghair haath uthay Soorat-ul-Fatiha, phir doosri soorat aur phir Doa-e-Qunoot parhnee chahiay, yahee tareeqa Sahe Ahadees say saabit hay.

    4. Takbeer-e-Tahreema k waqt mard kano tak aur aurat kandho tak hath uthay, iss k baray main koi aik bhee sahee hadees mojood nahee hay, balkay Rasoolullah Sallallho Alaihe Wasallam say dono tarah saay saabit hay. Iss liay mard chahain to Kandho tak hath uthain aur chahain to Kano tak, issi tarah aurat k liay bhee yahee masla hay.

    5. Mard ka naaf k neechay haath bandhna kisi bhee Sahee Hadees say saabit nahee hay. Iss baat par Inshah Allah kabhee future main aik complete thread bhee likhooon gaa.

    6. Sirf aurtain seenay par haath bandhain iss k baray main aik bhee sahee hadees to chor dain Zaeef hadees bhee mojood nahee hay.

    7. Attahiat main bhee baithnay ka tareeqa mardo aur aurto k liay aik jaisa hay.

    8. Sajda Sahw ada karnay ka sahee tareeqa yahee hay k Poori Attahiat aur Durood aur Dua parh kar Salam phairay baghair Do Sajday kar lain aur phir Dono taraf salaam phair dain. Yahee tareeqa sahee ahadees say saabit hay.

    Koi bhai yah naa khayal karain k yah sab main nay apnee taraf say likh dia hay aur shayad sahee ahadees nahee hon gee. Laiken main nay ahadees share nahee kee iss ki waja sirf itnee hay k mairay paas koi software notebook main mojood nahee hay. Aur naa hee nimaaz ki book iss computer main mojood hay.

    Aap sab bhaio say guzarish hay k mairay signature main mojood nimaaz ki book ko download kar k uss ko zaroor parhain, Aap ko ooper mairee likhee hoee sabb bato k baray main Sahee Hadees mill jain gee.

    Jo logg haqq kee raah kee talash karna chahtay hain, unn k liay aik book ko download karna ya parhna koi baree bat nahee hay. Inshah Allah, Allah ham sabb ko Quran aur Sahee Hadees par amall karnay wala banaa day gaa. Ameen.
    edited

  10. #10
    Bee Nam is offline Senior Member+
    Last Online
    27th November 2019 @ 02:04 PM
    Join Date
    14 Nov 2005
    Posts
    174
    Threads
    27
    Credits
    26
    Thanked
    0

    Default

    Quote shikary said:
    Very nice brother Zafar, Aap nay bohat hee mehnat say deen-e

    -islam k aik intihaai aham rukn ki tafseel bayan kee hay. Allah aap ko jaza-e-

    Khair ata farmay.
    Laiken bhai, iss topic main sab batain Ahadees k reference k baghair kahee

    gaee hain. Main jaanta hoon k iss main ziada tarr batain ahadees say saabit

    hain. Laiken kuch batain aisee hain, k agar aap unn k liay koi Sahee Hadees

    talaash karnay jaain gay to aap ko nahee mil sakay gee. Chand aik ka zikr main

    kar raha hoon.
    Quote shikary said:
    1. Nimaaz ki niyyat dill main honee chahiay.

    Zubaan say urdu k

    alfaaz main niyyat karna Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallam say kisi sahee

    to chor dain zaeef hadees main bhee manqool nahee hay.
    1: Terminator Bai Nay Yeh Nahe lekaa hay kay Neyaat Zuban say keyaa jayee,

    Shahid App nay Sahee tarah Para Na hoo,.

    Quote shikary said:
    2. Quran shareef daikh kar parhnay say

    nimaaz fasid nahee hotee, kio k Sahee Hadees mojood hay jiss main Bibi Aisha

    Raziallahu Anhaa ka ghulaam jiss ka naam ZAKWAN tha wo unn ko Quran daikh

    kar Tilawat kartay hoay nimaaz parhaya karta thaa.
    2: Quran Deek kar Nemarz parna........App nay yeh joo hadees lekee hay app nay

    iss ka Sahee Hawala nahe deya hay.....App nay sirf Hadees Leke hay.........

    Quote shikary said:
    3. Dua-e-Qunoot say pahlay Takbeer kahnaa

    kisi bhee sahee Hadees say Saabit nahee hay. Balkay baghair Takbeer kahay

    aur baghair haath uthay Soorat-ul-Fatiha, phir doosri soorat aur phir Doa-e-

    Qunoot parhnee chahiay, yahee tareeqa Sahe Ahadees say saabit hay.
    3: Dua-e-Qonoot..............Emam E Abu Haneefa joo Tabe een main aatee

    hay............uss nay aik Sahabee nay uss say kaha kay main app ko nemaaz ka woo

    tareeka batawo joo HOZOOR (SAW) say sabeet hay aur main HOZOOR (SAW)

    ko parte deekaa hay.........aur per uss kay baad uss nay us kay saamnee nemaaz

    paree aur uss ka tareeka sekayaa............leekn wakat kay saat saat HOZOOR

    (SAW) kay nemaaz kay tareekee ALLAH kay Hukam say uss main toree bahut

    tabdeelee aayee........ALLAH koo uss kay sub tareekee pasand hay......aur

    ALLAH uss koo Mutaleef MASLAKOO kay zaryee ZINDA rakaa..........joo kee sub

    sahee hay...............

    Quote shikary said:
    4. Takbeer-e-Tahreema k waqt mard kano

    tak aur aurat kandho tak hath uthay, iss k baray main koi aik bhee sahee hadees

    mojood nahee hay, balkay Rasoolullah Sallallho Alaihe Wasallam say dono tarah

    saay saabit hay. Iss liay mard chahain to Kandho tak hath uthain aur chahain to

    Kano tak, issi tarah aurat k liay bhee yahee masla hay.
    4: Koi Bee Emam Apne Taraf say koi baat yaa koi tareeka bagheer HADEES

    yaa SOHABE koo Dekee Nahe lekeegaaa..........iss leyee.......jesaa kay main nay

    pehleee araz keyaa kay jitnee bee tareekee batayee gayee hay ,........yanee in 4

    MASLAKOO main........wo sub sahee hay...........aur in SUB koo manana

    chahyee.........IS main koi Akteelaaf nahee karnaa chahyee............keyon Sub

    Emama Kay tareekoo main AKTELF hay leekn aik Dosree kay tareekoo kee

    khalif nahee...............

    Quote shikary said:
    5. Mard ka naaf k neechay haath bandhna kisi

    bhee Sahee Hadees say saabit nahee hay. Iss baat par Inshah Allah kabhee

    future main aik complete thread bhee likhooon gaa.
    5: Honafaa Kay nazdeek joo kee mere khail main sub say baree maslaak hay

    ....yeh un say sabeet hay...............iss kaa jawab MUJ jesaaa kam elam nahee

    dee saktaa hay...........main nay bee UN say yeh seekaa hay..........aur koshish

    karonga........kay is ka Hawalaa talash kar sakooooooo aur app koo Mutmayeen

    kar sakooooooooo.........keyonkee jesaaa kay main nay phelee aaraaz keyaa kay

    ALLAH kooo HOZOOR (SAW) kay sub tareekee pasand hay aur us ko Muktaleef

    MASLAKOO kay zareeye is DUNYA main zinda raka hay.............

    Quote shikary said:
    6. Sirf aurtain seenay par haath bandhain iss

    k baray main aik bhee sahee hadees to chor dain Zaeef hadees bhee mojood

    nahee hay.
    6: Iss Kee Mutalq bee App mere 5 NO walaa jawab deek lee.........

    Quote shikary said:
    7. Attahiat main bhee baithnay ka tareeqa mardo aur aurto k

    liay aik jaisa hay.
    7: Keyonkee Hum 4roo MASLAKO koo Manee walee hay aur uss nay joo

    tareekaa share keya hay...........wo HONAFA kay Nazdeek Motabar hay...........aur

    esee per sub OLOMAA kaa Ateefaak hay.....
    MASALKOO main sirf wajeeb, sunnat, aur Namaaz kee tareekee main

    AKTELAAF hay leekn Khalif naheeeee..............aur sub tareeekee......apne apne

    jagaa per............drust hay.........

    Quote shikary said:
    8. Sajda Sahw ada karnay ka sahee tareeqa yahee hay k Poori

    Attahiat aur Durood aur Dua parh kar Salam phairay baghair Do Sajday kar lain

    aur phir Dono taraf salaam phair dain. Yahee tareeqa sahee ahadees say saabit

    hay.
    8: App Aksar Hawala Deenee kee baat kartee hoo leekn khood kesee hadees

    kaa Hawala nahe deeete hoo.....iss main bee app nay hawala nahe

    deyaa...........kabe kabe kesee aik maslaee kay leyee 2, 3 AHADEES mojood

    hoteee hay balkee uss say bee zeyada...........




    Quote shikary said:
    Koi bhai yah naa khayal karain k yah sab main nay apnee taraf say likh dia hay aur shayad sahee ahadees nahee hon gee. Laiken main nay ahadees share nahee kee iss ki waja sirf itnee hay k mairay paas koi software notebook main mojood nahee hay. Aur naa hee nimaaz ki book iss computer main mojood hay.

    Aap sab bhaio say guzarish hay k mairay signature main mojood nimaaz ki book ko download kar k uss ko zaroor parhain, Aap ko ooper mairee likhee hoee sabb bato k baray main Sahee Hadees mill jain gee.

    Jo logg haqq kee raah kee talash karna chahtay hain, unn k liay aik book ko download karna ya parhna koi baree bat nahee hay. Inshah Allah, Allah ham sabb ko Quran aur Sahee Hadees par amall karnay wala banaa day gaa. Ameen.
    .................App Book ke baat kartee hoo.........leekn app kee signatur main

    FAZAYEEL AMAAL aur TABLEEG kay mutalg joo BOOK hay uss main Fazayee

    AAML kay Mutalaq bahut say hawalee Ghalat deyee gaye hay shahid app ko

    FAZALE Aaam parnee kaa ITAFAQ nahe howaa hay.........aur Tableeg kaaa joo

    tarekaa hay woo Sohabaa say Zaheer hay..............uss kay kaye hawalee bahut

    say ketaboo main mojood hay...............umeed hay kay appp aayenda kay leye

    kesee bee Kebaab per kuch leknee yaa share karnee say pehlee uss ka Gehraa

    Mutaleeaa karengee...............

    ALLAH TALAA Hamee aur APp koo Deen koo Samjnee aur uss per Chalnee

    kee tofeeq aataa farmaye.........................
    Last edited by Afridi; 8th April 2006 at 01:55 PM. Reason: Akteelfee wordsssssssss

  11. #11
    Join Date
    18 Jan 2006
    Location
    Karachi
    Age
    41
    Posts
    712
    Threads
    74
    Credits
    369
    Thanked
    0

    Default

    Assalam-o-Alaikum Brother!!!
    I am really sorry I dont know your name. Laiken main aap ko Islam Section main khushh Amadeed kahta hoon. Allah aap ki Islam say muhabbat main izafa farmay, jiss muhabbat k tehat aap nay itnee mehnat say islaah ki khatir itnee mehnatt kee. Yaqeen karain k aap jaisay bhaio ko daikh kar dill say doa nikaltee hay, k Allah aap ki Deeni Ghairat main izafa farmay. Ameen

    Mujhay khushi hay k aap nay response dia agarchay aap nay mujhay ghalat kaha hay. Laiken main itna aitemaad to rakhta hoon, k jab kisi adna say adna musalman k samnay bhee Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallam kee koi baat ya unn ka koi amall rakh dia jay to wo uss ka inkaar kabhee nahee karta. Bilkul aap hee kee tarah say sirf 2 years pahlay takk main bhee yahee dalayal dia karta thaa jo aap day rahay hain, laiken jabb Allah tala nay apnay fazal say deen kee mamoolee see samajh day dee to main nay Allah mian say toba kar lee.

    Meray bhai, Behass o mubahisa say hatt kar sirf aap ko aik fikr dainay kee gharz say main aap k samnay apnee har bat Dalayal kay saath paish kar raha hoon, aur aap say umeed karta hoon k agar mairee batain "SAHEE HADEES" say saabit ho jain to aap inn ko qubool kar lain gay. Allah aap kaa hami o nasir ho...

    1. Niyyat par aiteraz ka maqsad sirf itna thaa k aaj 98% log nimaz ki niyyat zuban say kartay hain, jo k bidat hay. Aap khud bhee apny aap ko check karain k nimaz shuroo karnay say pahlay kaheen aap bhee to zuban say niyyat nahee kartay hain? Bohat say log to Baqaida buland awaaz say niyyat kartay hain, iss liay unn bhaio say guzarish hay k jo cheez sunnat say sabit nahee uss kaa na karna hee bahtar hay.

    2. Quran daikh kar tilawat karnay k baray main jo hadees main nay zikr kee hay wo Sahee Bukhari main mojood hay jo k Hadees ki sahee tareen kitaab hay.

    8. Sajda -e- Sahw ka jo tareeqa main nay likha hay SIRF wohee sahee Ahadees say saabit hay aur iss maslay par main aik alag thread main yah ahadees paish kar chuka hoon, link yah hay.
    http://www.itdunya.com/showthread.php?t=2030

    3,4,5,6,7 --> Yahan par aap k aiterazat usooli hain, aur aap nay kaha hay k Allah nay sunnat ko char maslako main jama kar dia hay, aur Allah nay sunnat ko inhee char maslako main zinda rakha hay aur imam apne taraf say koi baat nahee kahtay.

    Meray bhai, aap aur main jab nimaz main rozana kaee dafa Soorat Fatiha parhtay hain to ussi main aik ayat hay k "IHDINAS SIRATAL MUSTAQEEM" yane ay Allah! Hamain seedhay rastay par chala. Yahan bataya gaya hay k Seedha Rasta aik hee hay warna doa yoon hotee, Ay Allah! Hamain seedhay rasto par chala.

    Iss k ilawa bhee Quran nay kaee jagho par ikhtilaf say bachnay ka kaha hay. To jab ham kahtay hain k charo maslak haqq hain to maray bhai, yaqeen karain ham Quran ki ayaat ko jhutla rahay hotay hain, Aap batain aap ko kiss ki baat mannee hay, Allah kii ya Buzurgo kee.

    Doosri baat yah hay k Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallam ki sahee hadees Abu Dawood main mojood hay k "Meri ummat main 73 firqay ban jain gay, SIRF AIK JAMAT jannat main jay gee aur baqi sab jahanum main jain gay."
    iss hadees main bhee Allah k Rasool Sallallaho Alaihe Wasallam nay yah nahee kaha k char jamatain jannat main jain gee.

    Teesri baat yah hay k CHARO Maslak aik hee waqt main haqq par ho hee nahee saktay, Examples bohat hain laiken main sirf do examples paish karta hoon.

    a) Imam Shafi K nazdeek Khun (Blood) nikalnay say wuzoo nahee tootta jabkay Imam Abu Hanefa k nazdeek Blood nikalnay say wuzzo toot jata hay. Aap batain dono batain aik hee waqt main kaisay sunnat ho saktee hain.

    b) Imam Shafi k nazdeek agar Azaad aurat say shadi kee ja saktee ho to Ghulam aurat say shadee karna HARAM Hay aur Imam Abu Haneefa k nazdeek Halaaal hay. Aap batain k Islam main TAZAAD mojood hay??? Harr gizz nahee!! to phir iss ka matlab yah hoa k kisi imam ki koi baat ghalat bhee ho saktee hay aur sahee bhee, Laiken Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallm kee har baat jo SAHEE AHADEES say saabit ho jay uss main kabhee bhee ikhtilaaf nahee ho sakta...

    Chota aiteraz aap ka yah thaa k koi imam apnee taraf say ghalat baat nahee kahta. Main aap say agree karta hoon. Laiken aap ko aik haqeeqat maloom nahee hay. Woh yah hay k Imam abu Haneefa nay apnee poori zindagee main koi FIQA ki book nahee likhee, Balkay Fiqa ki pahlee book "QUDDOORI" Imam abu Haneefa ki wafaat k 250 years k baad likhee gaeee hay.

    Iss liay Imam to theek thay laiken bohat say masayal aisay hain jinn ko JAAN BOOJH kar imamo ki taraf mansoob kar dia gaaya jab kay imamo nay wo baat kahee hee nahee theee. Shayad aap ko yaqeen nahee aa raha, aiay aap ko aik Example daita hoon.

    FIQA HANFI ki bohat see books main aik masla likha hoa hay k "Agar kisi shakhs kii NAKSEER phoot jay aur Shifa ka yaqeen ho to wo soorat Fatiha ko Khoon yani blood say aur Paishaab say likh sakta hay" [Fatawa Qazi Khan]

    Astaghfirullaaah, Suma Astaghfirullaaah, Meray bhai, kia aap soch saktay hain k aisa masla Imam Abu Haneefa nay bataya hoga, Quran ki itnee baree bay Adbee kia woh kar saktay hain, Yaqeenan Naheee.

    To jiss tara oopper ka masla Imam abu Haneefa nahee bata saktay issi tarah Nimaaz main naaf k neechay haath bandhna, Qunoot k waqt Takbeer kahna, Sajda Sahw ka tareeqa , Aurat Mard ki nimaaz ka farq waghaira jaisya masayal bhee Imam Abu Haneefa nahee bata saktay kio k Sahee Ahadees Fiqa Hanfi k Khilaaf hain.

    Aap yaqeen karain k mara maqsad aap ki dil-azaari har gizz nahee. Main nay bhee jab shuroo main yah batain sunee thee to mujhay bohat ghussa aya thaa k ulema par ilzam lagaya jaa raha hay aur imamo kee toheen ho rahee hay. Laiken imamo ki asal toheen to unn k mannay walay kar rahay hain, Koi shakhs aap ko Khalis Quran aur Sahee Hadees par amall ka mashwara daita hay to woh aap ka Mukhlis dost hay Dushman nahee.

    Aap say positive Discussion k liay yaa Deen ko mazeed samajhnay aur mazeed literature k liay aap kabhee bhee mujh say rabita kar saktay hain. Yaad rakhain k yaa to aap ghalat hain ya main ghalat hoon, Dono soorato main hamain aik doosray ko samjhana chahiay aur Dalayal k saath deen ko samajhna chahiay. Allah aap ka hami o naasir ho aur aap ko deen ki sahee samajh ata farmay Ameen

    Note: I am really very sorry k main yah sab urdu inpage main nahee likh saka aur reply bhee bohat dino baad kar raha hoon , waja sirf masroofiat hay aur softwares ka na hona hay. Aur agar kisi baat say aap ki dil aazari hoee ho to uss k liay Tah-e-Dill say aap say moazrat khuwah hoon, umeed hay k aap mujhay moaf farma dain gay..

    Wassalam,
    Aaap ka Mukhlis bhai,

    Muhammad Shakir
    Last edited by shikary; 12th April 2006 at 06:52 PM.

  12. #12
    Join Date
    18 Jan 2006
    Location
    Karachi
    Age
    41
    Posts
    712
    Threads
    74
    Credits
    369
    Thanked
    0

    Default

    Aik baat bhool gayaa, Meray bhai, main nay naa sirf Fazaail-e-Aamaal parhee hay balkay kuch arsaa pahlay takk main bhee Tableeghi Jamaat main Tableegh ki niyyat say galio main phir chuka hoon.
    Aap nay kahaa hay k meray signature main mojood book main bohat say hawalay ghalat diay hoay hain. Main aaap ko bata doon k Fazail-e-Amaal bohat say idaro ki taraf say publish hotee hay, iss liay page number ka farq to laazmee see baat hay. Original hawalay kisi aik publisher ko samnay rakh kar batay gay hain.

    Aap ko koi hawala na mila ho to aap hawalay say aagay peechay k pages daikhain aap ko har baat wahan mill jay geee.

    Aur yahee waja hay k Fazail-e-Sadqaat aur Fazail-e-Hajj ko Fazail-e-Amaal say alagg kar k print kia jaa raha hay kio k sabb say ziada Ghalat Aqaid inhee main mojood hain. Tableeehgi jamat k log Fazaile Sadqat aur Hajj sirf APNEE PRIVATE mehfilo main parhtay hain Masajid main logo k samnay abb tableegh nahee kartay.. Aap jain aur unn say iss sawaal ka jawaab mangain k unho nay iss ki tableegh kio banddd kar dee hay???

    Iss k ilawa bhee aap ko kisii bat main koi shuba ho , koi hawala na milay, koi book chahiay ho to apna bhai samajh kar aap mujh say rabta kar saktay hain. Main aap ko apna bhai samajh kar aap ki rahnumai ki Inshah Allah zaroor koshish karoon gaaa.

    Wassalam,
    Muhammad Shakir

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. koi to batawo Ipl ki barin main?0
    By Ibrahem in forum Satellite stuff & info
    Replies: 12
    Last Post: 26th April 2015, 08:27 AM
  2. Replies: 0
    Last Post: 9th June 2010, 07:57 AM
  3. Nimaz-e-Ishraq and Nimaz-e-Zohr kay nawafil aur JANAT
    By Shaukat Hayat in forum Ramadan Kareem رمضان كريم
    Replies: 3
    Last Post: 4th September 2009, 06:51 PM
  4. Replies: 3
    Last Post: 30th May 2009, 01:04 PM
  5. google kay barin main
    By imran sdk in forum General Discussion
    Replies: 6
    Last Post: 11th February 2009, 07:53 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •