doston mera hp ka laptop he or jis mein windows 7, 64 bit os he. mera masla ye he k wese to mera laptop boht hi acha chalta he Masha Allah or koi bhi problem nahi karta.
mere pas wateen ki usb "wimax" wala net he. or speed wagera sub best aati he.. mgr agar wateen ki usb zara si bhi hil jae to sudden mere laptop ki screen blue hojati he.or likha ata he k laptop ko damage se bachane k liye shut down kia ja ra he. or shut down ho jata he.

or phir start karo to sub kuch wahen se shru hojata he jahan chorra tha.
mgr ye "blue screen" problem ne mujhe pagal kar diya he. halki si bhi usb hili or bus blue screen shru. or ek bat note kar len k blue screen srf net wali usb mein ati he. warna normal data usb men koi masla nahi he. or meine phir apni wateen usb bhai k laptop mein check ki. mgr wahan hilaane per bhi koi blue screen nahi dikhai.

bhaiyon meine google pe search kiya. kafi logon ko ye masla he. mgr is ka solution mje nahi mil saka. please do something....