asalam alaikum dostoun mujhay norton ghost ki usb bana ni hai,kahan say download kia jayai.. GHOST ka backup toa mera bana wa hai jis ko main use karta tha..par masla yai hai k abb meri cd rom kharab ho gai hai aur mujhay usb sai boot kara k poora process complete karna hai....
aik baar usb addition try kia tha samajh nahi aia....
cd rom wala method toa asan tha k backup khud hi mil jata tha k kis drive main hai aur c main instaal karna hai....lakin usb wala kuch complicated hai
dar hai k kahin d main na recovery ho jai aur sab data mera d drive ka zaya ho jayai

umeed hai koi meri madad karay ga.........
screen short k zariyai hi sahi aur koi acha link jahan say download kar lia jayai...
main abhi filhal rom nahi lay sakta jis ki wajah say ye solution mang raha houn

shukria