Page 3 of 3 FirstFirst 123
Results 25 to 33 of 33

Thread: Sorry BUT itdunya ki site mein kuch khaas nahi

  1. #25
    Irfan_Qureshi's Avatar
    Irfan_Qureshi is offline Senior Member+
    Last Online
    26th July 2013 @ 05:21 AM
    Join Date
    03 Jan 2007
    Age
    39
    Posts
    1,085
    Threads
    15
    Credits
    970
    Thanked
    0

    Default



    nicefeeling bro ap ki pehli shikayet ke it dunya me kuch khas nahi aur ye bachon wale thread hen jo bar bar repeat ho rahe hen

    is ka matleb ye hua ke mashallah ap ki maloomat itni zyada he ke ye thread ap ke liye kuch khas mani nahi rakhte its good balke great

    lekin isi it dunya me main ne ap ko kaye jaga help ki request karte dekha he

    http://www.itdunya.com/showthread.php?t=5751
    http://www.itdunya.com/showthread.php?t=5973
    http://www.itdunya.com/showthread.php?t=12765
    http://www.itdunya.com/showthread.php?t=24300

    yahan ap ne help ki request ki ap ki help ki gye lekin bro ap ko itni zehmat bhi na hue ke mur ker dubara in threads ko dekha jaye

    ap ne in me se kisi bhi thread me reply nahi kia halanke humare members ne ap ke questions ka answer bhi dia tha

    ager ap ka problem solve nahi hua tab bhi ap ko kam se kam reply karke batana chahye tha take apke problem ko mazeed parkha jaye

    is ke ilawa bhi main ne ap ko kaye jaga crack aur serials ki request karte bhi paya he jo ke yahan allow hi nahi he ager ap kahen gay to un ke lik bhi de doon ga

    doosri bat ap ne kahi ke networking ka section start kia jaye to ye site behtreen ho jaye gi (ap ne un tamam tutorials aur courses ko jo ke bari mehnat se likhe gye hen sab ko aik taraf rakh kar networking ko la khara kia aur ke nazdeek wo tamam courses koi mani nahi rakhtey mani rakhtey hen to cheez jo ap ko aati he aur humare members ne jo sharing ki wo kisi bhi khate me nahi)

    ager ap ko networkin me maharat he to ye

    buhet achi bat he balke hum ap ke mashkoor honge ager ap is tarah ka koi silsela start karen aur humen mazeed kuch sikha den .

    lekin ye kam ab bina tanqeed kiye bhi kar sakte they aur hume is cheez ki buhet khushi hoti.

    dekhye nicefeeling bhai mere kisi bat ka bura mat manye ga

    ager ap it dunya ke member hen to ye ap hi ka ghar bhi he ye ap ka haq banta he ke ise sunware admin sahib ne kabhi bhi new thread likhne per pabandi nahi lagaye

    ap aram se new thread start kar sakte hen kis me jurrat he jo ap ko roke ye me ap se is liye keh raha hoon q ke ap bhi is family ka hissa hen

    aur ghar ka koi bhi fard apne baro per tanqeed nahi karta han wo tajweez zaroor de sakta hen

    umeed he ke ap mere baton ko dil se samajh gye honge
    Last edited by Irfan_Qureshi; 6th December 2007 at 05:06 AM.



  2. #26
    Irfan_Qureshi's Avatar
    Irfan_Qureshi is offline Senior Member+
    Last Online
    26th July 2013 @ 05:21 AM
    Join Date
    03 Jan 2007
    Age
    39
    Posts
    1,085
    Threads
    15
    Credits
    970
    Thanked
    0

    Default



    syed bhai ap ka kehna he ke log it dunya per time zaya karne ate hen aur daleel ke tor per ap ne 4 thread bhi pesh kar diye

    syed bhai ye jo itdunya me itne sections mojood hen kia ap ki nazar wahan nahi gye

    jahan free courses hen aur tutorials mojood hen wo bhi urdu me

    jahan logo ka masla hal kia jata he

    jahan mobiles ke har pehloo ke bare me maloomat di jati he

    jahan latest softwares aur websites ke bare me bataya jata he

    jahan humare members deen islam ki itni umda sharing karte hen

    lekin ap ko sirf wo 4 thrad nazar aye jo ke baat cheet section me hen jis matleb yahi hota he ke baat cheet

    phir ap kehte hen ke hum abhi bhi purane khyalat ke log hen jo 1947 ke dor me jee rahe hen jahan great english nahi balke urdu use ki jati he

    to mere bhai humara mulk pakistan abhi tarakki ki rah per chal raha he us ne abhi tak manzil nahi paye

    aur humare kaye aise members hen jo english achi tarah samajh nahi sakte ager hum bhi goron ki tarah english me kam karna shuroo kar den to un logon ka kia hoga jo itni qabliyet nahi rakhte ke english samajh saken

    means yahan bhi hum angrezon ke naqsheqadam per chalen aur apni awam ko bhool jayen jinho ne abhi buhet kuch seekhna he

    ye website humare un bhayon ke liye he jo urdu me likhna parhna chahte hen apni qoumi zuban ko farogh dena chahte hen


    na ke abhi tak un goron ki ghulami karen jo har jaga se humen hit kar rahe hen aur is koshish me hen ke hum apni pehchan kho den aur un ke tareeq kar ko apna len

    kia ap bhi yahi chahte hen?

    jahan tak english ki bat he to humare admin sahib us ka section start kar rahe hen jahan english sharing ho gi lekin urdu is web ki bunyad he aur humen is per fakher he q ke ye humari zuban he qoumi zuban he

    aur mere bhai english ki to is waqt websites ki bharmar he lekin urdu ki kitni sites hen ? koi andaza he ?

    is websites ke members mashallah engineers doctors it specialists aur mashallah buhet parhe likhe log hen jo english bakhoobi samajhte hen

    lekin itdunya me ane ki un ki waja kia he sirf un ka apne mulk aur apni qoumi zuban se pyar aur yahi wafadari ka taqaza he ke apne mulk aur apni zuban ko ooper laya jaye nake humare dushmano ki zuban ko is per musallat kia jaye

    aur ye bat to ap ki buhet mazedar lagi ke" hum post isi liye nahi karte q ke humen positive response nahi milta"

    bhai kia ap ye batayen gay ke positive response kia hota he?

    kia ap ka wazeefa laga diya jaye ya phir ap ko tamgha diya jaye?

    zara bataye ga

    dekhye positive response yahi hota he ke ager ap ne koi achi sharing ki he to us ki hosla afzai ki jaye jo ke hum karte hen

    mazeed positive response se ap ka kia matleb he zaroor bataye ga

    sohail sahib wali bat bilkul drust he

    tanqeed ki bajaye amal karen ap ki mojoodgi ka ahsaas us waqt humen buhet achey tareeqe se hoga

    umeed he ke ap humari is itdunya ke mazeed age leker jane me buhet madad karen gay aur inshallah aisa waqt aye ga jub hum ap per fakhar kar saken

  3. #27
    syed_mst's Avatar
    syed_mst is offline Senior Member+
    Last Online
    5th December 2009 @ 01:58 AM
    Join Date
    10 Feb 2007
    Location
    Karachi
    Age
    46
    Posts
    185
    Threads
    57
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Yaar ap log ko itni si bat samjh nahi ati k may itdunya ko bura nahi kha raha balky kuch management ki bat kar raha hoon. Ap ko agar acha nahi lagta k app ko koi itdunya ko acha karny ko khy tu bata dain. Ap log ko sirf dalil dena ata hai. Thek hai itdunya may sub kuch theek hai.

    Ok Are you Happy?

    Ab may ya forum use nahi karoonga.

    Take care.

  4. #28
    Zaara's Avatar
    Zaara is offline Advance Member
    Last Online
    26th December 2022 @ 06:33 PM
    Join Date
    24 Jun 2007
    Age
    36
    Gender
    Female
    Posts
    10,423
    Threads
    728
    Credits
    611
    Thanked
    1484

    Default

    aap may be thik keh rahain hain magar baat karny ka aik andaaz hota hai sab ko ye hi lag raha hai k ap shayad?
    Any way.... koi bhi aap ko ghalat nahi keh raha..jo jis k mind main hai explain kar raha hai

  5. #29
    Irfan_Qureshi's Avatar
    Irfan_Qureshi is offline Senior Member+
    Last Online
    26th July 2013 @ 05:21 AM
    Join Date
    03 Jan 2007
    Age
    39
    Posts
    1,085
    Threads
    15
    Credits
    970
    Thanked
    0

    Default

    Quote syed_mst said: View Post
    Yaar ap log ko itni si bat samjh nahi ati k may itdunya ko bura nahi kha raha balky kuch management ki bat kar raha hoon. Ap ko agar acha nahi lagta k app ko koi itdunya ko acha karny ko khy tu bata dain. Ap log ko sirf dalil dena ata hai. Thek hai itdunya may sub kuch theek hai.

    Ok Are you Happy?

    Ab may ya forum use nahi karoonga.

    Take care.
    syed bhai ap ne manegment ki bat kam aur it dunya per tanqeed zyada ki he

    aur syed bhai daleel us cheez ki di jati he jis me koi sachai ho

    aur ap ke poore thread me mujhe koi tajweez nazar nahi aye siwaye english ke

    aur english ki ap ki tajweez per amal kia gya aur ye section start hone ja rah he


    umeed he ke ap apne send kie hue thread per nazar sani karen gay

    shayed ap ko realize ho jaye ke ap kitno ka dil dukha bethe hen

    jinho ne it dunya ko is muqam tak lane ke liye itni mehnat ki he

  6. #30
    antic's Avatar
    antic is offline Junior Member
    Last Online
    11th December 2007 @ 08:52 PM
    Join Date
    08 Dec 2007
    Age
    35
    Posts
    14
    Threads
    1
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    hum ne tu bohat kuhc sekha hai I LOVE
    [SIGPIC][/SIGPIC]

  7. #31
    Rizwan saleem is offline Senior Member+
    Last Online
    5th March 2016 @ 04:35 PM
    Join Date
    12 Nov 2006
    Posts
    70
    Threads
    14
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Jis qadar information hi us say zayada tough rules hain..

  8. #32
    ZAHOOR NOOR is offline Junior Member
    Last Online
    6th November 2008 @ 02:55 PM
    Join Date
    06 Nov 2008
    Age
    37
    Posts
    2
    Threads
    0
    Credits
    826
    Thanked
    0

    Default

    hi many aj he is doni go join kia ha man bhi networking man bohat se chzeyn chata hon jis man ip-protocol,etc plice man appka bohat bara thanks kahon go app is ky nots muhy urdu man mill kar dan plice

  9. #33
    ZAHOOR NOOR is offline Junior Member
    Last Online
    6th November 2008 @ 02:55 PM
    Join Date
    06 Nov 2008
    Age
    37
    Posts
    2
    Threads
    0
    Credits
    826
    Thanked
    0

    Default

    mari e mail address ha zahooraali************* mujh basic chizon ki bohat zarorat ha khaskar kay urdu man taky man jaldi apny zahan man bithlon

Page 3 of 3 FirstFirst 123

Similar Threads

  1. kuch khaas hy
    By chandio don in forum Ask an Expert
    Replies: 0
    Last Post: 23rd September 2013, 05:47 PM
  2. kuch khaas
    By sister in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 4
    Last Post: 12th March 2010, 11:58 PM
  3. Kuch site khulti hai kuch nahi
    By meloverboy420 in forum Ask an Expert
    Replies: 5
    Last Post: 13th October 2009, 03:17 PM
  4. *~* Kasoor nahi is mein kuch b unka *~*
    By xXxpert in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 1
    Last Post: 4th October 2009, 02:20 PM
  5. kuch nahi wafaon mein..
    By ahoor in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 14
    Last Post: 11th June 2009, 04:59 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •